YouVersion Logo
Search Icon

ʻIbrá Níoṉ 10

10
1Kyúṉki sharíʻat jis meṉ áyanda kí achchhí chízoṉ ká ʻaks hai, aur un chízoṉ kí aslí súrat nahíṉ, un ek hí tarah kí qurbáníoṉ se, jo har sál bilánága guzrání játí haiṉ, pás ánewáloṉ ko hargiz kámil nahíṉ kar saktí. 2Warna un ká guzránná kyúṉ mauqúf na ho játá? Is liye ki jab ʻibádat karnewále ek bár pák ho játe, to phir un ká dil unheṉ gunahgár na ṭhahrátá. 3Balki wuh qurbáníáṉ sál ba sál gunáhoṉ ko yád dilátí haiṉ. 4Kyúṉki mumkin nahíṉ ki bailoṉ aur bakroṉ ká ḳhún gunáhoṉ ko dúr kare. 5Isí liye wuh dunyá meṉ áte waqt kahtá hai, ki
Tú ne qurbání aur nazr ko pasand na kiyá,
Balki mere liye ek badan taiyár kiyá;
6Púrí soḳhtaní qurbáníoṉ aur gunáh kí qurbáníoṉ se tú ḳhush na húá:
7Us waqt maiṉ ne kahá, ki Dekh maiṉ áyá húṉ,
(Kitáb ke warqoṉ meṉ merí nisbat likhá húá hai,)
Táki, ai Ḳhudá, terí marzí púrí karúṉ.
8Úpar to wuh kahtá hai, ki Na tú ne qurbáníoṉ aur nazroṉ aur púrí soḳhtaní qurbáníoṉ, aur gunáh kí qurbáníoṉ ko pasand kiyá, aur na un se ḳhush húá; háláṉki wuh qurbáníáṉ sharíʻat ke muwáfiq guzrání játí haiṉ; 9aur phir yih kahtá hai, ki Dekh, maiṉ áyá húṉ, táki terí marzí púrí karúṉ; garaz wuh pahle ko mauqúf kartá hai, táki dúsre ko qáim kare. 10Usí marzí ke sabab ham Yisúʻ Masíh ke jism ke ek hí bár qurbán hone ke wasíle se pák kiye gaye haiṉ. 11Aur har ek káhin to khaṛe hokar har roz ʻibádat kartá hai, aur ek hí tarah kí qurbáníáṉ bár bár guzrántá hai, jo hargiz gunáhoṉ ko dúr nahíṉ kar saktíṉ: 12lekin yih shaḳhs hamesha ke liye gunáhoṉ ke wáste ek hí qurbání guzránkar, Ḳhudá kí dahiní taraf já baiṭhá; 13aur usí waqt se muntazir hai, ki us ke dushman us ke páṉwoṉ tale kí chaukí baneṉ; 14kyúṉki us ne ek hí qurbání chaṛháne se un ko hamesha ke liye kámil kar diyá hai, jo pák kiye játe haiṉ. 15Aur Rúhuʼl Quds bhí ham ko yihí batátá hai; kyúṉki yih kahne ke baʻd, ki
16Ḳhudáwand farmátá hai;
Jo ʻahd maiṉ un dinoṉ ke baʻd un se báṉdhúṉgá, wuh yih hai, ki
Maiṉ apne qánún un ke diloṉ par likhúṉgá,
Aur un ke zihn meṉ dálúṉgá;
17phir wuh yih kahtá hai, ki
Un ke gunáhoṉ aur bedíníoṉ ko phir kabhí yád na karúṉgá.
18Aur jab in kí muʻáfí ho gayí hai, to phir gunáh kí qurbání nahíṉ rahí.
19Pas ai bháiyo, chúṉkí hameṉ Yisúʻ ke ḳhún ke sabab us nayí aur zinda ráh se pák makán meṉ dáḳhil hone kí dilerí hai; 20jo us ne parde yaʻní apne jism meṉ se hokar, hamáre wáste maḳhsús kí hai; 21aur chúṉki hamárá aisá baṛá káhin hai, jo Ḳhudá ke ghar ká muḳhtár hai; 22to áo, ham sachche dil aur púre ímán ke sáth, aur dil ke ilzám ko dúr karne ke liye diloṉ par chhíṉṭe lekar, aur badan ko sáf pání se dhulwákar, Ḳhudá ke pás chaleṉ: 23aur apní ummed ke iqrár ko mazbútí se tháme raheṉ; kyúṉki jis ne waʻda kiyá hai, wuh sachchá hai: 24aur mahabbat aur nek kámoṉ kí targíb dene ke liye ek dúsre ká liház rakkheṉ; 25aur ek dúsre ke sáth jamaʻ hone se báz na áeṉ, jaisá baʻz logoṉ ká dastúr hai, balki ek dúsre ko nasíhat kareṉ; aur jis qadr us din ko nazdík hote húe dekhte ho usí qadr ziyáda kiyá karo.
26Kyúṉki haqq kí pahchán hásil karne ke baʻd agar ham ján bújhkar gunáh kareṉ, to gunáhoṉ kí koí âur qurbání báqí nahíṉ rahí; 27háṉ, ʻadálat ká ek haulnák intizár aur gazabnák átish báqí hai, jo muḳhálifoṉ ko khá legí. 28Jab Músá kí sharíʻat ká na mánnewálá do yá tín shaḳhsoṉ kí gawáhí se, bagair rahm kiye márá játá hai, 29to ḳhayál karo ki wuh shaḳhs kis qadr ziyáda sazá ke láiq ṭhahregá, jis ne Ḳhudá ke Beṭe ko pámál kiyá, aur ʻahd ke ḳhún ko, jis se wuh pák húá thá, nápák jáná, aur fazl kí Rúh ko beʻizzat kiyá. 30Kyúṉki use ham jánte haiṉ, jis ne kahá, ki Intiqám lená merá kám hai, badla maiṉ hí dúṉgá: aur phir yih, ki Ḳhudáwand apní ummat kí ʻadálat karegá. 31Zinda Ḳhudá ke háthoṉ meṉ paṛná haulnák bát hai.
32Lekin un pahle dinoṉ ko yád karo, ki tum ne munawwar hone ke baʻd dukhoṉ kí baṛí khakheṛ uṭháí; 33kuchh to yúṉ ki laʻn taʻn aur musíbatoṉ ke báʻis tumhárá tamásha baná; aur kuchh yúṉ ki tum un ke sharík húe, jin ke sáth yih badsulúkí hotí thí. 34Chunáṉchi tum ne qaidíoṉ kí hamdardí bhí kí, aur apne mál ká luṭ jáná bhí ḳhushí se manzúr kiyá, yih jánkar ki tumháre pás ek bihtar aur dáimí milkíyat hai. 35Pas apní dilerí ko háth se na do, is liye ki us ká baṛá ajr hai. 36Kyúṉki tumheṉ sabr karná zarúr hai, táki Ḳhudá kí marzí púrí karke waʻda kí húí chíz hásil karo.
37Aur ab bahut hí thoṛí muddat báqí hai, ki
Ánewálá áegá, aur der na karegá.
38Aur merá rástbáz banda ímán se jítá rahegá:
Aur agar wuh haṭegá, to merá dil us se ḳhush na hogá.
39Lekin ham haṭnewále nahíṉ ki halák hoṉ, balki ímán rakhnewále haiṉ ki ján bacháeṉ.

Currently Selected:

ʻIbrá Níoṉ 10: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in