ʻIbrá Níoṉ 11
11
1Ab ímán ummed kí húí chízoṉ ká iʻtimád, aur andekhí chízoṉ ká subút hai. 2Kyúṉki usí kí bábat buzurgoṉ ke haqq meṉ achchhí gawáhí dí gayí. 3Ímán hí se ham maʻlúm karte haiṉ, ki ʻálam Ḳhudá ke kahne se bane haiṉ; yih nahíṉ, ki jo kuchh nazar átá hai záhirí chízoṉ se baná ho. 4Ímán hí se Hábíl ne Qayin se afzal qurbání Ḳhudá ke liye guzrání; aur usí ke sabab us ke rástbáz hone kí gawáhí dí gayí; kyúṉki Ḳhudá ne us kí nazroṉ kí bábat gawáhí dí: aur agarchi wuh mar gayá hai, táham usí ke wasíle se ab tak kalám kartá hai. 5Ímán hí se Hanok uṭhá liyá gayá, táki maut ko na dekhe; aur chúṉki Ḳhudá ne use uṭhá liyá thá, is liye us ká patá na milá: kyúṉki uṭháe jáne se peshtar us ke haqq meṉ yih gawáhí dí gayí thí, ki yih Ḳhudá ko pasand áyá hai: 6aur bagair ímán ke us ko pasand áná námumkin hai: is liye ki Ḳhudá ke pás ánewále ko ímán láná cháhiye, ki wuh maujúd hai, aur apne táliboṉ ko badla detá hai. 7Ímán hí ke sabab se Núh ne un chízoṉ kí bábat, jo us waqt tak nazar na átí thíṉ, hidáyat pákar, Ḳhudá ke ḳhauf se apne gharáne ke bacháo ke liye kishtí banáí; jis se us ne dunyá ko mujrim ṭhahráyá, aur us rástbází ká wáris húá, jo ímán se hai. 8Ímán hí ke sabab se Ibráhím jab buláyá gayá, to hukm mánkar us jagah chalá gayá, jise mírás meṉ lenewálá thá; aur agarchi jántá na thá, ki maiṉ kaháṉ játá húṉ, táham rawána ho gayá. 9Ímán hí se us ne waʻda kiye húe mulk meṉ is tarah musáfirána taur par búd o básh kí, ki goyá gair mulk hai, aur Izháq aur Yaʻqúb samet jo us ke sáth usí waʻde ke wáris the, ḳhaimoṉ meṉ sukúnat kí. 10Kyúṉki wuh us páedár shahr ká ummedwár thá, jis ká miʻmár aur banánewálá Ḳhudá hai. 11Ímán hí se Sáráh ne bhí sinn i yás ke baʻd hámila hone kí táqat páí, is liye ki us ne waʻda karnewále ko sachchá jáná: 12pas ek shaḳhs se jo murda sá thá, ásmán ke sitároṉ ke barábar kasír, aur samundar ke kanáre kí ret ke barábar beshumár aulád paidá húí.
13Yih sab ímán kí hálat meṉ mare, aur waʻda kí húí chízeṉ na páíṉ, magar dúr hí se unheṉ dekhkar ḳhush húe, aur iqrár kiyá, ki ham zamín par pardesí aur musáfir haiṉ. 14Jo aisí báteṉ kahte haiṉ, wuh záhir karte haiṉ, ki ham apne watan kí talásh meṉ haiṉ. 15Aur jis mulk se wuh nikal áe the, agar us ká ḳhayál karte, to unheṉ wápas jáne ká mauqaʻ thá. 16Magar haqíqat meṉ wuh ek bihtar, yaʻní ásmání, mulk ke mushtáq the. Isí liye Ḳhudá un se, yaʻní un ká Ḳhudá kahláne se, sharmáyá nahíṉ: chunáṉchi us ne un ke liye ek shahr taiyár kiyá.
17Ímán hí se Ibráhím ne ázmáish ke waqt Izháq ko nazr guzráná: aur jis ne waʻdoṉ ko sach mán liyá thá, wuh us iklaute ko nazr karne lagá, 18jis kí bábat yih kahá gayá thá, ki Izháq hí se terí nasl kahláegí: 19kyúṉki wuh samjhá, ki Ḳhudá murdoṉ meṉ se jiláne par bhí qádir hai; chunáṉchi un hí meṉ se tamsíl ke taur par wuh use phir milá. 20Ímán hí se Izháq ne honewálí bátoṉ kí bábat bhí Yaʻqúb aur ʻEsáú donoṉ ko duʻá dí. 21Ímán hí se Yaʻqúb ne marte waqt Yúsuf ke donoṉ beṭoṉ meṉ se har ek ko duʻá dí, aur apne ʻasá ke sire par sahárá lekar sijda kiyá. 22Ímán hí se Yúsuf ne, jab wuh marne ke qaríb thá, baní Isráíl ke ḳhurúj ká zikr kiyá, aur apní haḍḍiyoṉ kí bábat hukm diyá. 23Ímán hí se Músá ke máṉ báp ne us ke paidá hone ke baʻd tín mahíne tak us ko chhipáe rakkhá; kyúṉki unhoṉ ne dekhá ki bachcha ḳhúbsúrat hai, aur wuh bádsháh ke hukm se na ḍáre. 24Ímán hí se Músá ne baṛe hokar Firʻaun kí beṭí ká beṭá kahláne se inkár kiyá; 25is liye ki us ne gunáh ká chandroza lutf uṭháne kí nisbat, Ḳhudá kí ummat ke sáth meṉ badsulúkí ká bardásht karná ziyáda pasand kiyá; 26aur Masíh ke liye laʻn taʻn uṭháne ko Misr ke ḳhazánoṉ se baṛí daulat jáná; kyúṉki us kí nigáh ajr páne par thí. 27Ímán hí se us ne, bádsháh ke gusse ká ḳhauf na karke, Misr ko chhoṛ diyá, is liye ki wuh andekhe ko goyá dekhkar sábitqadam rahá. 28Ímán hí se us ne Fasah karne aur ḳhún chhiṛakne par ʻamal kiyá, táki pahlauṭhoṉ ká halák karnewálá baní Isráíl ko háth na lagáe. 29Ímán hí se wuh Bahr i Qulzum se is tarah guzar gaye, jaise ḳhushk zamín par se, aur jab Misríoṉ ne yih qasd kiyá to dúb gaye. 30Ímán hí se Yarího kí shahrpanáh, jab sát din tak us ke gird phir chuke, to gir paṛí. 31Ímán hí se Ráháb fáhisha náfarmánoṉ ke sáth halák na húí, kyúṉki us ne jásúsoṉ ko amn se rakkhá thá. 32Ab âur kyá kahúṉ? Itní fursat kaháṉ ki Gidʻon, aur Báráq, aur Shimshon, aur Yiftah, aur Dáúd, aur Samwíl, aur âur nabíoṉ ká ahwál bayán karúṉ? 33Unhoṉ ne ímán hí ke sabab se bádsháhatoṉ ko maglúb kiyá, rástbází ke kám kiye, waʻda kí húí chízoṉ ko hásil kiyá, sheroṉ ke muṉh band kiye, 34ág kí tezí ko bujháyá, talwár kí dhár se bach nikle, kamzorí meṉ zoráwar húe, laṛáí meṉ bahádur bane, gairoṉ kí faujoṉ ko bhagá diyá. 35ʻAuratoṉ ne apne murde phirke zinda páe; baʻz már kháte kháte mar gaye, magar riháí manzúr na kí, táki un ko bihtar qiyámat nasíb ho; 36baʻz ṭhaṭṭhoṉ meṉ uṛáe jáne, aur koṛe kháne, balki zanjíroṉ meṉ báṉdhe jáne aur qaid meṉ paṛne se ázmáe gaye; 37saṉgsár kiye gaye; áre se chíre gaye; ázmáish meṉ paṛe; talwár se máre gaye; bheṛoṉ aur bakriyoṉ kí khál oṛhe húe, muhtájí meṉ, musíbat meṉ, badsulúkí kí hálat meṉ máre máre phire; 38dunyá un ke láiq na thí; wuh jangaloṉ, aur paháṛoṉ, aur gároṉ, aur zamín ke gaṛhoṉ meṉ áwára phirá kiye. 39Aur agarchi in sab ke haqq meṉ ímán ke sabab se achchhí gawáhí dí gayí, táham unheṉ waʻda kí húí chíz na milí; 40is liye ki Ḳhudá ne peshbíní karke hamáre liye koí bihtar chíz tajwíz kí thí, táki wuh hamáre bagair kámil na kiye jáeṉ.
Currently Selected:
ʻIbrá Níoṉ 11: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)