YouVersion Logo
Search Icon

ʻIbrá Níoṉ 12

12
1Pas jab ki gawáhoṉ ká aisá baṛá bádal hameṉ ghere húe hai, to áo, ham bhí har ek bojh, aur us gunáh ko jo hameṉ ásání se uljhá letá hai dúr karke, us dauṛ meṉ sabr se dauṛeṉ, jo hameṉ darpesh hai; 2aur ímán ke bání aur kámil karnewále Yisúʻ ko takte raheṉ, jis ne us ḳhushí ke liye jo us kí nazaroṉ ke sámne thí, sharmindagí kí parwá na karke, salíb ká dukh sahá, aur Ḳhudá ke taḳht kí dahiní taraf já baiṭhá. 3Pas us ko gaur karo, jis ne apne haqq meṉ buráí karnewále gunahgároṉ kí is qadr muḳhálafat kí bardásht kí; táki tum bedil hokar himmat na háro. 4Tum ne gunáh se laṛne meṉ ab tak aisá muqábala nahíṉ kiyá, jis meṉ ḳhún bahá ho. 5Aur tum us nasíhat ko bhúl gaye, jo tumheṉ farzandoṉ kí tarah kí játí hai, ki
Ai mere beṭe, Ḳhudáwand kí tambíh ko náchiz na ján,
Aur jab wuh tujhe malámat kare, to bedil na ho;
6Kyúṉki jis se Ḳhudáwand mahabbat rakhtá hai, use tambíh bhí kartá hai,
Aur jis ko beṭá baná letá hai, us ke koṛe bhí lagátá hai.
7Tum jo kuchh dukh sahte ho wuh tumhárí tarbiyat ke liye hai. Ḳhudá farzand jánkar tumháre sáth sulúk kartá hai; wuh kaun sá beṭá hai, jise báp tambíh nahíṉ kartá? 8Aur agar tumheṉ wuh tambíh na kí gayí, jis meṉ sab sharík haiṉ, to tum harámzáde ṭhahre, na ki beṭe. 9ʻAláwa is ke, jab hamáre jismání báp hameṉ tambíh karte the, aur ham un kí taʻzím karte rahe, to kyá rúhoṉ ke Báp kí is se ziyáda tábiʻdárí na kareṉ, jis se ham zinda raheṉ? 10Wuh to thoṛe dinoṉ ke wáste apní samajh ke muwáfiq tambíh karte the, magar yih hamáre fáide ke liye kartá hai, táki ham bhí us kí pákízagí meṉ shámil ho jáeṉ. 11Aur biʼlfiʻl har qism kí tambíh ḳhushí ká nahíṉ, balki gam ká báʻis maʻlúm hotí hai: magar jo us ko sahte sahte puḳhta ho gaye haiṉ, un ko baʻd meṉ chain ke sáth rástbází ká phal baḳhshtí hai. 12Pas ḍhíle háthoṉ aur sust ghuṭnoṉ ko durust karo; 13aur apne páṉwoṉ ke liye sídhe ráste banáo, táki laṉgṛá beráh na ho, balki shifá páe.
14Sab ke sáth mel miláp rakhne, aur us pákízagí ke tálib raho, jis ke bagair koí Ḳhudáwand ko na dekhegá. 15G̣aur se dekhte raho ki koí shaḳhs Ḳhudá ke fazl se mahrúm na rah jáe; aisá na ho ki koí kaṛwí jaṛ phúṭkar tumheṉ dukh de, aur us ke sabab se aksar log nápák ho jáeṉ; 16aur na koí harámkár yá ʻEsáú kí tarah bedín ho, jis ne ek waqt ke kháne ke ʻiwaz apne pahlauṭhe hone ká haqq bech ḍálá. 17Kyúṉki tum jánte ho ki is ke baʻd, jab us ne barakat ká wáris honá cháhá, to manzúr na húá, chunáṉchi us ko níyat kí tabdílí ká mauqaʻ na milá, go us ne áṉsú bahá bahákar us kí baṛí talásh kí.
18Tum us paháṛ ke pás nahíṉ áe, jis ká chhúná mumkin thá, aur wuh ág se jaltá thá, aur us par kálí ghaṭá, aur táríkí, aur túfán, 19aur narsinge ká shor, aur kalám karnewále kí aisí áwáz thí, jis ke sunnewáloṉ ne darḳhwást kí, ki ham se âur kalám na kiyá jáe: 20kyúṉki wuh is hukm kí bardásht na kar sake, ki Agar koí jánwar bhí us paháṛ ko chhúe, to saṉgsár kiyá jáe; 21aur wuh nazzára aisá ḍarauná thá, ki Músá ne kahá; Maiṉ niháyat ḍartá aur káṉptá húṉ. 22Balki tum Siyyon ke paháṛ, aur zinda Ḳhudá ke shahr, yaʻní ásmání Yarúshalem ke pás, aur lákhoṉ firishtoṉ, 23aur un pahlauṭhoṉ kí ʻámm jamáʻat, yaʻní kalísiyá, jin ke nám ásmán par likhe haiṉ, aur sab ke munsif Ḳhudá, aur kámil kiye húe rástbázoṉ kí rúhoṉ, 24aur naye ʻahd ke darmiyání Yisúʻ, aur chhiṛkáo ke us ḳhún ke pás áe ho, jo Hábíl ke ḳhún kí nisbat bihtar báteṉ kahtá hai. 25Ḳhabardár, us kahnewále ká inkár na karná, kyúṉki jab wuh log zamín par hidáyat karnewále ká inkár karke na bach sake, to ham ásmán par ke hidáyat karnewále se muṉh moṛkar kyúṉkar bach sakeṉge? 26Us kí áwáz ne us waqt to zamín ko hilá diyá: magar ab us ne yih waʻda kiyá hai, ki Ek bár phir maiṉ faqat zamín hí ko nahíṉ, balki ásmán ko bhí hilá dúṉgá. 27Aur yih ʻibárat, ki Eḳ bár phir, is bát ko záhir kartí hai, ki jo chízeṉ hilá dí játí haiṉ maḳhlúq hone ke báʻis ṭal jáeṉgí, táki behilí chízeṉ qáim raheṉ. 28Pas ham wuh bádsháhat pákar jo hilne kí nahíṉ, us fazl ko háth se na deṉ, jis ke sabab se pasandída taur par Ḳhudá kí ʻibádat ḳhudátarsí aur ḳhauf ke sáth kareṉ. 29Kyúṉki hamárá Ḳhudá ḳhák kar denewálí ág hai.

Currently Selected:

ʻIbrá Níoṉ 12: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in