YouVersion Logo
Search Icon

Wá‘iz 8

8
1Dánishmand ke barábar kaun hai? aur kisí bát kí tafsír karná kaun jántá hai? Insán kí hikmat us ke chihre ko raushan kartí hai, aur us ke chihre kí saḳhtí us se badal játí hai. 2Maiṉ tujhe saláh detá húṉ, ki Tú bádsháh ke hukm ko Ḳhudá kí qasam ke sabab se mántá rah. 3Tú jaldbází karke us ke huzúr se g̣áib na ho; aur kisí burí bát par isrár na kar; kyúṉki wuh jo kuchh cháhtá hai kartá hai. 4Is liye ki bádsháh ká hukm báiḳhtiyár hai, aur us se kaun kahegá, ki Tú yih kyá kartá hai? 5Jo koí hukm mántá hai, buráí ko na dekhegá; aur dánishmand ká dil mauqa‘ aur insáf ko samajhtá hai. 6Is liye ki har amr ká mauqa‘ aur qá‘ida hai, lekin insán kí musíbat us par bhárí hai; 7kyúṉki jo kuchh hogá, us ko ma‘lúm nahíṉ; aur kaun use batá saktá hai ki kyúṉkar hogá? 8Kisí ádmí ko rúh par iḳhtiyár nahíṉ, ki use rok sake; aur marne ká din bhí us ke iḳhtiyár se báhar hai; aur us laṛáí se chhuṭṭí nahíṉ miltí, aur na sharárat us ko jo us meṉ g̣arq hai chhuṛáegí. 9Yih sab maiṉ ne dekhá, aur apná dil sáre kám par, jo dunyá meṉ kiyá játá hai, lagáyá; aisá waqt hai jis meṉ ek shaḳhs dúsre par hukúmat karke apne úpar balá látá hai.
10Is ke ‘aláwa maiṉ ne dekhá, ki sharír gáṛe gaye, aur log bhí áe, aur rástbáz pák maqám se nikle, aur apne shahr meṉ farámosh ho gaye. Yih bhí butlán hai. 11Chúṉki bure kám par sazá ká hukm fauran nahíṉ diyá játá, is liye baní Ádam ká dil un meṉ badí par bashiddat máil hai. 12Agarchi gunahgár sau bár buráí kare, aur us kí ‘umrdarází ho, taubhí maiṉ yaqínan jántá húṉ, ki un hí ká bhalá hogá, jo ḳhudátars haiṉ, aur us ke huzúr káṉpte haiṉ: 13lekin gunahgár ká bhalá kabhí na hogá, aur na wuh apne dinoṉ ko sáye kí mánind baṛháegá; is liye ki wuh Ḳhudá ke huzúr káṉptá nahíṉ. 14Ek batálat hai, jo zamín par wuqú‘ meṉ átí hai; ki nekokár log haiṉ, jin ko wuh kuchh pesh átá hai jo chahiye thá ki badkirdároṉ ko pesh átá; aur sharír log haiṉ, jin ko wuh kuchh miltá hai jo cháhiye thá ki nekokároṉ ko miltá: maiṉ ne kahá, ki Yih bhí butlán hai. 15Tab maiṉ ne ḳhurramí kí ta‘ríf kí; kyúṉki dunyá meṉ insán ke liye koí chíz is se bihtar nahíṉ, ki kháe aur piye, aur ḳhush rahe; kyúṉki yih us kí mihnat kí daurán meṉ us kí zindagí ke tamám, aiyám meṉ jo Ḳhudá ne dunyá meṉ use baḳhshí, us ke sáth rahegí.
16Jab maiṉ ne apná dil lagáyá, ki hikmat síkhúṉ, aur us kám káj ko, jo zamín par kiyá játá hai, dekhúṉ: (kyúṉki koí aisá bhí hai jis kí áṉkhoṉ meṉ na rát ko níṉd átí hai, na din ko:) 17tab maiṉ ne Ḳhudá ke sáre kám par nigáh kí, aur jáná, ki insán us kám ko jo dunyá meṉ kiyá játá hai, daryáft nahíṉ kar saktá; agarchi insán kitní hí mihnat se us kí talásh kare, par kuchh daryáft nahíṉ karegá; balki harchand dánishmand ko gumán ho, ki us ko ma‘lúm kar legá, par wuh kabhí us ko daryáft nahíṉ kar sakegá.

Currently Selected:

Wá‘iz 8: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in