YouVersion Logo
Search Icon

Wá‘iz 7

7
1Neknámí beshbahá ‘itr se bihtar hai; aur marne ká din paidá hone ke din se. 2Mátam ke ghar meṉ jáná ziyáfat ke ghar meṉ dáḳhil hone se bihtar hai; kyúṉki sab logoṉ ká anjám yihí hai; aur jo zinda hai apne dil meṉ is par sochegá. 3G̣amgíní haṉsí se bihtar hai; kyúṉki chihre kí udásí se dil sudhar játá hai. 4Dáná ká dil mátam ke ghar meṉ hai; lekin ahmaq ká jí ‘ishratḳháne se lagá hai. 5Insán ke liye dánishwar kí sarzanish sunná ahmaqoṉ ká rág sunne se bihtar hai. 6Jaisá háṉḍí ke níche káṉṭoṉ ká chaṭakná, waisá hí ahmaq ká haṉsná hai: yih bhí butlán hai. 7Yaqínan zulm dánishwar ádmí ko diwána baná detá hai; aur rishwat ‘aql ko tabáh kartí hai. 8Kisí bát ká anjám us ke ág̣áz se bihtar hai; aur burdbár mutakabbir mizáj se achchhá hai. 9Tú apne jí meṉ ḳhafá hone meṉ jaldí na kar; kyúṉki ḳhafagí ahmaqoṉ ke sínoṉ meṉ rahtí hai. 10Tú yih na kah, ki Agle din in se kyúṉkar bihtar the? kyúṉki tú dánishmandí se is amr kí tahqíq nahíṉ kartá. 11Hikmat ḳhúbí meṉ mírás ke barábar hai; aur un ke liye jo súraj ko dekhte haiṉ ziyáda súdmand hai. 12Kyúṉki hikmat waisí hí panáhgáh hai, jaise rupaya; lekin ‘ilm kí ḳháss ḳhúbí yih hai, ki hikmat sáhib i hikmat kí ján kí muháfiz hai. 13Ḳhudá ke kám par g̣aur kar; kyúṉki kaun us chíz ko sídhá kar saktá hai, jise us ne ṭeṛhá kiyá hai? 14Iqbálmandí ke din ḳhushí meṉ mashg̣úl ho, par musíbat ke din meṉ soch; balki Ḳhudá ne is ko us ke muqábil baná rakkhá hai, táki insán apne ba‘d kí kisí bát ko daryáft na kar sake.
15Maiṉ ne apní batálat ke dinoṉ meṉ yih sab kuchh dekhá: koí rástbáz apní rástbází meṉ martá hai, aur koí badkirdár apní badkirdárí meṉ ‘umrdarází pátá hai. 16Hadd se ziyáda nekokár na ho; aur hikmat meṉ i‘tidál se báhar na já; is kí kyá zarúrat hai ki tú apne áp ko barbád kare? 17Hadd se ziyáda badkirdár na ho, aur ahmaq na ban; tú apne waqt se pahle káhe ko maregá? 18Achchhá hai ki tú is ko bhí pakṛe rahe; aur us par se bhí háth na uṭháe; kyúṉki jo ḳhudátars hai in sab se bach niklegá.
19Hikmat sáhib i hikmat ko shahr ke das hákimoṉ se ziyáda zoráwar baná detí hai. 20Kyúṉki zamín par koí aisá rástbáz insán nahíṉ, ki nekí hí kare, aur ḳhatá na kare. 21Níz un sab bátoṉ ke sunne par, jo kahí jáeṉ kán na lagá; aisá na ho ki tú sun le ki terá naukar tujh par la‘nat kartá hai; 22kyúṉki tú to apne dil se jántá hai ki tú ne áp isí tarah se auroṉ par la‘nat kí hai.
23Maiṉ ne hikmat se yih sab kuchh ázmáyá hai: maiṉ ne kahá, ki Maiṉ dánishmand banúṉgá; par wuh mujh se kahíṉ dúr thí. 24Jo kuchh hai, so dúr aur niháyat gahrá hai; use kaun pá saktá hai? 25Maiṉ ne apne dil ko mutawajjih kiyá, ki jánúṉ, aur taftísh karúṉ, aur hikmat aur ḳhirad ko daryaft karúṉ, aur samjhúṉ, ki badí hamáqat hai, aur hamáqat díwánagí. 26Tab maiṉ ne maut se talḳhtar us ‘aurat ko páyá, jis ká dil phandá aur jál hai, aur jis ke háth hathkaṛiyáṉ haiṉ: jis se Ḳhudá ḳhush hai, wuh us se bach jáegá, lekin gunahgár us ká shikár hogá. 27Dekh, Wá‘iz kahtá hai, Maiṉ ne ek dúsre se muqábala karke yih daryáft kiyá hai, 28jis kí mere dil ko ab tak talásh hai, par milá nahíṉ: maiṉ ne hazár meṉ ek mard páyá, lekin un sabhoṉ meṉ ‘aurat ek bhí na milí. 29Lo, maiṉ ne sirf itná páyá, ki Ḳhudá ne insán ko rást banáyá; par unhoṉ ne bahut sí bandisheṉ tajwíz kíṉ.

Currently Selected:

Wá‘iz 7: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in