YouVersion Logo
Search Icon

Wá‘iz 6

6
1Ek zabúní hai, jo maiṉ ne dunyá meṉ dekhí aur wuh logoṉ par girán hai. 2Koí aisá hai, ki Ḳhudá ne use dhan, daulat, aur ‘izzat baḳhshí hai, yaháṉ tak ki us ko kisí chíz kí, jise us ká jí cháhtá hai, kamí nahíṉ, taubhí Ḳhudá ne use taufíq nahíṉ dí, ki us se kháe, balki koí ajnabí use khátá hai; yih butlán aur saḳht bímárí hai. 3Agar ádmí ke sau farzand hoṉ, aur wuh bahut barasoṉ tak jítá rahe, yaháṉ tak ki us kí ‘umr ke din beshumár hoṉ, par us ká jí shádmání se ser na ho, aur us ká dafn na ho, to maiṉ kahtá húṉ, ki wuh haml jo gir jáe, us se bihtar hai: 4kyúṉki wuh batálat ke sáth áyá, aur táríkí meṉ játá hai, aur us ká nám andhere meṉ poshída rahtá hai; 5us ne súraj ko bhí na dekhá, na kisí chíz ko jáná; pas wuh us dúsre se ziyáda árám meṉ hai: 6háṉ, agarchi wuh do hazár baras tak zinda rahe, aur use kuchh ráhat na ho; kyá sab ke sab ek hí jagah nahíṉ játe? 7Ádmí kí sárí mihnat us ke muṉh ke liye hai, taubhí us ká jí nahíṉ bhartá. 8Kyúṉki dánishmand ko ahmaq par kyá fazílat hai? aur miskín ko, jo zindoṉ ke sámne chalná jántá hai, kyá hásil hai? 9Áṉkhoṉ se dekh lená árzú kí áwáragí se bihtar hai; yih bhí butlán aur hawá kí charán hai.
10Jo kuchh húá hai, us ká nám zamána e qadím meṉ rakkhá gayá, aur yih bhí ma‘lúm hai, ki wuh insán hai; aur wuh us ke sáth jo us se zoráwar hai jhagaṛ nahíṉ saktá. 11Chúṉki bahut sí chízeṉ haiṉ jin se batálat firáwán hotí hai, pas insán ko kyá fáida hai? 12Kyúṉki kaun jántá hai, ki insán ke liye us kí zindagí meṉ, ya‘ní us kí bátil zindagí ke tamám aiyám meṉ, jin ko wuh parchháíṉ kí mánind basar kartá hai, kaun sí chíz fáidamand hai? kyúṉki insán ko kaun batá saktá hai ki us ke ba‘d dunyá meṉ kyá wáqi‘ hogá.

Currently Selected:

Wá‘iz 6: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in