YouVersion Logo
Search Icon

Wá‘iz 12

12
1Aur apní jawání ke dinoṉ meṉ apne Ḳháliq ko yád kar, jab ki bure din hanoz nahíṉ áe, aur wuh baras nazdík nahíṉ húe jin meṉ tú kahegá, ki In se mujhe kuchh ḳhushí nahíṉ; 2jab ki hanoz súraj, aur raushní, aur chánd, aur sitáre tárík nahíṉ húe, aur bádal bárish ke ba‘d phir jama‘ nahíṉ húe: 3jis roz ghar ke nigahbán thartharáne lageṉ, aur zoráwar log kubṛe ho jáeṉ, aur písnewáliyáṉ ruk jáeṉ is liye ki wuh thoṛí sí haiṉ, aur wuh jo khiṛkiyoṉ se jháṉktí haiṉ dhundlá jáeṉ, 4aur galí ke kiwáṛe band ho jáeṉ; jab chakkí kí áwáz dhímí ho jáe, aur insán chiṛiyá kí áwáz se chauṉk uṭhe, aur nag̣me kí sab beṭiyáṉ za‘íf ho jáeṉ; 5háṉ, jab wuh chaṛháí se bhí ḍar jáeṉ, aur dahshat ráh meṉ ho; aur bádám ke phúl nikleṉ, aur ṭiḍḍí ek bojh ma‘lúm ho, aur ḳhwáhish miṭ jáe: kyúṉki insán apne abadí makán meṉ chalá jáegá, aur mátam karnewále galí galí phireṉge: 6peshtar is se, ki chándí kí doṛí kholí jáe, aur sone kí kaṭorí toṛí jáe, aur ghaṛá chashme par phoṛá jáe, aur hauz ká charḳh ṭúṭ jáe; 7aur ḳhák ḳhák se já mile, jis tarah áge milí húí thí, aur rúh Ḳhudá ke pás, jis ne use diyá thá, wápas jáe. 8Bátil hí bátil, Wá‘iz kahtá hai, sab kuchh bátil hai.
9G̣araz, azbaski Wá‘iz dánishmand thá, us ne logoṉ ko ta‘lím dí; háṉ, us ne baḳhúbí g̣aur kiyá, aur ḳhúb tajwíz kí, aur bahut sí masaleṉ qaríne se bayán kíṉ. 10Wá‘iz diláwez bátoṉ kí talásh meṉ rahá, un sachchí bátoṉ kí jo rástí se likhí gayíṉ.
11Dánishmand ki báteṉ painoṉ kí mánind haiṉ, aur un khúṉṭiyoṉ kí mánind jo sáhibán i majlis ne lagáí hoṉ, aur jo ek hí charwáhe kí taraf se milí hoṉ. 12So ab, ai mere beṭe, in se nasíhatpazír ho: bahut kitábeṉ banáne kí intihá nahíṉ hai; aur bahut paṛhná jism ko thakátá hai.
13Ab sab kuchh sunáyá gayá; hásil kalám yih hai: Ḳhudá se ḍar, aur us ke hukmoṉ ko mán; ki insán ká farz i kullí yihí hai. 14Kyúṉki Ḳhudá har ek fi‘l ko har ek poshída chíz ke sáth, ḳhwáh bhalí ho ḳhwáh burí, ‘adálat meṉ láegá.

Currently Selected:

Wá‘iz 12: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in