YouVersion Logo
Search Icon

G̣azalu’l G̣azalát 1

1
1Sulaimán kí G̣azalu’l G̣azalát.
2Wuh apne muṉh ke chúmoṉ se mujhe chúme;
Kyúṉki terá ‘ishq mai se bihtar hai.
3Tere ‘itr kí ḳhushbú latíf hai;
Terá nám ‘itr i reḳhta hai;
Isí liye kuṉwáriyáṉ tujh par ‘áshiq haiṉ.
4Mujhe kheṉch le; ham tere píchhe dauṛeṉgí:
Bádsháh mujhe apne mahall meṉ le áyá:
Ham tujh meṉ shádmán aur masrúr hoṉgí,
Ham tere ‘ishq ká tazkira mai se ziyáda kareṉgí:
Wuh sachche dil se tujh par ‘áshiq haiṉ.
5Ai Yarúshalem kí beṭiyo,
Maiṉ siyáhfám lekin ḳhúbsúrat húṉ,
Qídár ke ḳhaimoṉ
Aur Sulaimán ke pardoṉ kí mánind.
6Mujhe mat táko, ki maiṉ siyáhfám húṉ,
Kyúṉki maiṉ dhúp kí jalí húṉ.
Merí máṉ ke beṭe mujh se náḳhush the,
Unhoṉ ne mujh se tákistánoṉ kí nigahbání karáí;
Lekin maiṉ ne apne tákistán kí nigahbání nahíṉ kí.
7Ai merí ján ke piyáre, mujhe batá,
Tú apne galle ko kaháṉ charátá hai, aur dopahar ke waqt kaháṉ biṭhátá hai?
Kyúṉki maiṉ tere rafíqoṉ ke galloṉ ke pás
Kyúṉ márí márí phirúṉ?
8Ai ‘auratoṉ meṉ sab se jamíla, agar tú nahíṉ jántí,
To galle ke naqsh i qadam par chalí já,
Aur apne buzg̣áloṉ ko charwáhoṉ ke ḳhaimoṉ ke pás pás chará.
9Ai merí piyárí,
Maiṉ ne tujhe Fir‘aun ke rath kí ghoṛiyoṉ meṉ se ek ke sáth tashbíh dí hai.
10Tere gál musalsal zulfoṉ meṉ ḳhushnumá haiṉ,
Aur terí gardan motiyoṉ ke hároṉ meṉ.
11Ham tere liye sone ke tauq banáeṉge,
Aur un meṉ chándí ke phúl jaṛeṉge.
12Jab tak bádsháh tanáwul farmátá rahá,
Mere sumbul kí mahak uṛtí rahí.
13Merá mahbúb mere liye dasta e murr hai,
Jo rát bhar merí chhátiyoṉ ke darmiyán paṛá rahtá hai.
14Merá mahbúb mere liye ‘Ain Jadí ke angúristán se
Mihṉdí ke phúloṉ ká guchchhá hai.
15Dekh, tú ḳhúbrú hai, ai merí piyárí; dekh, tú ḳhúbsúrat hai:
Terí áṉkheṉ do kabútar haiṉ.
16Dekh, tú hí ḳhúbsúrat hai, ai mere mahbúb, balki marg̣úb i ḳhátir hai:
Hamárá palang bhí sabz hai.
17Hamáre ghar ke shahtír deodár ke,
Aur hamárí kaṛiyáṉ sanaubar kí haiṉ.

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in