YouVersion Logo
Search Icon

Kulussíoṉ 1

1
1Paulus kí taraf se, jo Ḳhudá kí marzí se Masíh Yisúʻ ká rasúl hai, aur bháí Tímuthiyus kí taraf se, 2Masíh meṉ un muqaddas aur ímándár bháiyoṉ ke nám, jo Kulusse meṉ haiṉ.
Hamáre Báp Ḳhudá kí taraf se tumheṉ fazl aur itmínán hásil hotá rahe.
3Ham tumháre haqq meṉ hamesha duʻá karke, apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke Báp, yaʻní Ḳhudá, ká shukr karte haiṉ; 4kyúṉki ham ne suná hai, ki Masíh Yisúʻ par tumhárá ímán hai, aur sab muqaddas logoṉ se mahabbat rakhte ho, 5us ummed kí húí chíz ke sabab jo tumháre wáste ásmán par rakkhí húí hai, jis ká zikr tum us ḳhushḳhabarí ke kalám i haqq meṉ sun chuke ho, 6jo tumháre pás pahuṉchí hai; jaise sáre jahán meṉ bhí phal detí, aur taraqqí kartí játí hai; chunáṉchi jis din se tum ne us ko suná, aur Ḳhudá ke fazl ko sachche taur par pahcháná, tum meṉ bhí aisá hí kartí hai; 7usí kí taʻlím tum ne hamáre ʻazíz hamḳhidmat Ipafrás se páí, jo hamáre liye Masíh ká diyánatdár ḳhádim hai; 8usí ne tumhárí mahabbat ko jo Rúh meṉ hai ham par záhir kiyá.
9Isí liye jis dín se yih suná hai, ham bhí tumháre wáste yih duʻá máṉgne aur darḳhwást karne se báz nahíṉ áte, ki tum kamál rúhání hikmat aur samajh ke sáth us kí marzí ke ʻilm se maʻmúr ho jáo; 10táki tumhárá chál chalan Ḳhudáwand ke láiq ho, aur us ko har tarah se pasand áe, aur tum meṉ har tarah ke nek kám ká phal lage, aur Ḳhudá kí pahchán meṉ baṛhte jáo; 11aur us ke jalál kí qudrat ke muwáfiq har tarah kí quwwat se qawí hote jáo, táki ḳhushí ke sáth har súrat se sabr aur tahammul kar sako; 12aur Báp ká shukr karte raho, jis ne ham ko is láiq kiyá, ki núr meṉ muqaddasoṉ ke sáth mírás ká hissa páeṉ; 13usí ne ham ko táríkí ke qabze se chhuṛákar apne ʻazíz Beṭe kí bádsháhat meṉ dáḳhil kiyá; 14jis meṉ ham ko maḳhlasí, yaʻní gunáhoṉ kí muʻáfí, hásil hai: 15wuh andekhe Ḳhudá kí súrat aur tamám maḳhlúqát se pahle maulúd hai; 16kyúṉki usí meṉ sárí chízeṉ paidá kí gayíṉ, ásmán kí hoṉ, yá zamín kí, dekhí hoṉ, yá andekhí, taḳht hoṉ, yá riyásateṉ, yá hukúmateṉ, yá iḳhtiyárát; sárí chízeṉ usí ke wasíle se, aur usí ke wáste paidá húí haiṉ; 17aur wuh sab chízoṉ se pahle hai, aur usí meṉ sárí chízeṉ qáim rahtí haiṉ. 18Aur wuhí badan, yaʻní kalísiyá, ká sir hai; wuhí mabdá hai, aur murdoṉ meṉ se jí uṭhnewáloṉ meṉ pahlauṭhá, táki sab bátoṉ meṉ us ká awwal darja ho; 19kyúṉki Báp ko yih pasand áyá, ki sárí maʻmúrí usí meṉ sukúnat kare; 20aur us ke ḳhún ke sabab jo salíb par bahá sulh karke, sab chízoṉ ká usí ke wasíle se apne sáth mel kar le, ḳhwáh wuh zamín kí hoṉ, ḳhwáh ásmán kí. 21Aur us ne ab us ke jismání badan meṉ maut ke wasíle se tumhárá bhí mel kar liyá, 22jo pahle ḳhárij, aur bure kámoṉ ke sabab dil se dushman the, táki wuh tum ko muqaddas, beʻaib, aur beilzám banákar, apne sámne házir kare: 23basharte ki tum ímán kí bunyád par qáim aur puḳhta raho, aur us ḳhushḳhabarí kí ummed ko jise tum ne suná, na chhoṛo, jis kí manádí ásmán ke níche ke tamám maḳhlúqát meṉ kí gayí; aur maiṉ Paulus usí ká ḳhádím baná.
24Ab maiṉ un dukhoṉ ke sabab se ḳhush húṉ, jo tumhárí ḳhátir uṭhátá húṉ, aur Masíh kí musíbatoṉ kí kamí us ke badan, yaʻní kalísiyá, kí ḳhátir, apne jism meṉ púrí kiye detá húṉ; 25jis ká maiṉ Ḳhudá ke us intizám ke bamújib ḳhádim baná, jo tumháre wáste mere supurd húá, táki maiṉ Ḳhudá ke kalám kí púrí púrí manádí karúṉ; 26yaʻní us bhed kí, jo tamám zamánoṉ aur pushtoṉ se poshída rahá, lekin ab us ke un muqaddasoṉ par záhir húá, 27jin par Ḳhudá ne záhir karná cháhá, ki gairqaumoṉ meṉ us bhed ke jalál kí daulat kaisí kuchh hai, aur wuh yih hai, ki Masíh jo jalál kí ummed hai tum meṉ rahtá hai: 28jis kí manádí karke ham har ek shaḳhs ko nasíhat karte, aur har ek ko kamál dánáí se taʻlím dete haiṉ, táki ham har shaḳhs ko Masíh meṉ kámil karke pesh kareṉ; 29aur isí liye maiṉ us kí us quwwat ke muwáfiq jánfishání se mihnat kartá húṉ, jo mujh meṉ zor se asar kartí hai.

Currently Selected:

Kulussíoṉ 1: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in