1
Kulussíoṉ 1:13
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
usí ne ham ko táríkí ke qabze se chhuṛákar apne ʻazíz Beṭe kí bádsháhat meṉ dáḳhil kiyá
Compare
Explore Kulussíoṉ 1:13
2
Kulussíoṉ 1:16
kyúṉki usí meṉ sárí chízeṉ paidá kí gayíṉ, ásmán kí hoṉ, yá zamín kí, dekhí hoṉ, yá andekhí, taḳht hoṉ, yá riyásateṉ, yá hukúmateṉ, yá iḳhtiyárát; sárí chízeṉ usí ke wasíle se, aur usí ke wáste paidá húí haiṉ
Explore Kulussíoṉ 1:16
3
Kulussíoṉ 1:17
aur wuh sab chízoṉ se pahle hai, aur usí meṉ sárí chízeṉ qáim rahtí haiṉ.
Explore Kulussíoṉ 1:17
4
Kulussíoṉ 1:15
wuh andekhe Ḳhudá kí súrat aur tamám maḳhlúqát se pahle maulúd hai
Explore Kulussíoṉ 1:15
5
Kulussíoṉ 1:9-10
Isí liye jis dín se yih suná hai, ham bhí tumháre wáste yih duʻá máṉgne aur darḳhwást karne se báz nahíṉ áte, ki tum kamál rúhání hikmat aur samajh ke sáth us kí marzí ke ʻilm se maʻmúr ho jáo; táki tumhárá chál chalan Ḳhudáwand ke láiq ho, aur us ko har tarah se pasand áe, aur tum meṉ har tarah ke nek kám ká phal lage, aur Ḳhudá kí pahchán meṉ baṛhte jáo
Explore Kulussíoṉ 1:9-10
Home
Bible
Plans
Videos