Aʻmál 25
25
1Pas Festus súba meṉ dáḳhil hokar tín roz ke báʻd Qaisariya se Yarúshalem ko gayá. 2Aur sardar káhinoṉ aur Yahúdíoṉ ke raísoṉ ne us ke háṉ Paulus kí faryád kí; 3aur us kí muḳhálafat meṉ yih riʻáyat cháhí, ki wuh use Yarúshalem meṉ bulá bheje, aur ghát meṉ the ki use ráh meṉ már ḍáleṉ. 4Magar Festus ne jawáb diyá, ki Paulus to Qaisariya meṉ qaid hai, aur maiṉ áp jald waháṉ jáúṉgá. 5Pas tum meṉ se jo iḳhtiyárwále haiṉ, wuh sáth chaleṉ, aur agar is shaḳhs meṉ kuchh béjá bát ho, to us ki faryád kareṉ.
6Wuh un meṉ áṭh das din rahkar Qaisariya ko gayá, aur dúsre din taḳht i ʻadálat par baiṭhkar Paulus ke láne ká hukm diyá. 7Jab wuh házir húá, to jo Yahúdí Yarúshalem se áe the, wuh us ke ás pás khaṛe hokar us par bahutere saḳht ilzám lagáne lage, magar un ko sábit na kar sake; 8lekin Paulus ne yih ʻuzr kiyá, ki Maiṉ ne na to kuchh Yahúdíoṉ kí sharíʻat ká gunáh kiyá hai, na haikal ká, na Qaisar ká. 9Magar Festus ne, Yahúdíoṉ ko apná ihsánmand banáne kí garaz se, Paulus ko jawáb diyá; Kyá tujhe Yarúshalem jáná manzúr hai, ki terá yih muqaddama waháṉ mere sámne faisal ho? 10Paulus ne kahá; Maiṉ Qaisar ke taḳht i ʻadálat ke sámne khaṛá húṉ; merá muqaddama yahíṉ faisal honá cháhiye. Yahúdíoṉ ká maiṉ ne kuchh qusúr nahíṉ kiyá, chunáṉchi tú bhí ḳhúb jántá hai. 11Agár badkár húṉ, yá maiṉ ne qatl ke láiq koí kám kiyá hai, to mujhe marne se inkár nahíṉ. Lekin jin bátoṉ ká wuh mujh par ilzám lagáte haiṉ, agar un kí kuchh asl nahíṉ, to un kí riʻáyat se koí mujh ko un ke hawále nahíṉ kar saktá: maiṉ Qaisar ke háṉ apíl kartá húṉ. 12Phir Festus ne saláhkároṉ se maslahat karke jawáb diyá, ki Tú ne Qaisar ke háṉ apíl kiyá hai; to Qaisar hí ke pás jáegá.
13Aur kuchh din guzarne ke baʻd, Agrippa bádsháh aur Birníke ne Qaisariya meṉ ákar Festus se muláqát kí. 14Aur un ke kuchh ʻarsa waháṉ rahne ke baʻd Festus ne Paulus ke muqaddame ká hál bádsháh se yih kahkar bayán kiyá, ki Ek shaḳhs ko Feliks qaid meṉ chhoṛ gayá hai. 15Jab maiṉ Yarúshalem meṉ thá, to sardár káhinoṉ aur Yahúdíoṉ ke buzurgoṉ ne us kí faryád kí, aur sazá ke hukm kí darḳhwást kí. 16Un ko maiṉ ne jawáb diyá, ki Romíoṉ ká yih dastúr nahíṉ, ki kisí ádmí ko riʻáyatan sazá ke liye hawále kareṉ, jab tak ki muddaʻá ʻalaih ko, apne muddaʻíoṉ ke rúbarú hokar, daʻwá ke jawáb dene ká mauqaʻ na mile. 17Pas jab wuh yaháṉ jamaʻ húe, to maiṉ ne kuchh der na kí, balki dúsre hí din taḳht i ʻadálat par baiṭhkar, us ádmí ke láne ká hukm diyá. 18Magar jab us ke muddaʻí khaṛe húe, to jin buráiyoṉ ká mujhe gumán thá, un meṉ se unhoṉ ne kis: ká ilzám us par na lagáyá; 19balki apne dín, aur kisí shaḳhs Yisúʻ kí bábat us se bahs karte the, jo mar gayá thá, aur Paulus us ko zinda batátá hai. 20Chúṉki maiṉ in bátoṉ kí tahqíqát kí bábat uljhan meṉ thá, is liye us se púchhá; Kyá tú Yarúshalem meṉ jáne ko rází hai, ki waháṉ in bátoṉ ká faisala ho? 21Magar jab Paulus ne apíl kiyá, ki merá muqaddama sháhansháh kí ʻadálat meṉ faisal ho, to maiṉ ne hukm diyá, ki jab tak use Qaisar ke pás na bhejúṉ, wuh qaid rahe. 22Agrippa ne Festus se kahá; Maiṉ bhí us ádmí kí sunná cháhtá húṉ: Us ne kahá, ki Tú kal sun legá.
23Pas dúsre din, jab Agrippa aur Birníke, baṛí shán o shaukat se, palṭan ke sardároṉ aur shahr ke raísoṉ ke sáth, díwánḳháne meṉ dáḳhil húe, to Festus ke hukm se Paulus házir kiyá gayá. 24Phir Festus ne kahá; Ai Agrippa bádsháh, aur ai sab házirín! tum is shaḳhs ko dekhte ho, jis kí bábat Yahúdíoṉ kí sárí guroh ne Yarúshalem meṉ, aur yaháṉ bhí chillá chillákar mujh se ʻarz kí, ki is ká áge ko jítá rahná munásib nahíṉ. 25Lekin mujhe maʻlúm húá, ki us ne qatl ke láiq kuchh nahíṉ kiyá: aur jab us ne ḳhud sháhansháh ke háṉ apíl kiyá, to maiṉ ne us ke bhejne kí tajwíz kí. 26Us kí nisbat mujhe koí ṭhík bát maʻlúm nahíṉ, ki Sarkár i ʻÁlí ko likhúṉ. Is wáste maiṉ ne us ko tumháre áge, aur ḳhásskar, ai Agrippa bádsháh, tere huzúr házir kiyá hai, táki tahqíqát ke baʻd likhne ke qábil koí bát nikle; 27kyúṉki qaidí ke bhejte waqt, un ilzámoṉ ko jo us par lagáe gaye hoṉ záhir na karná, mujhe ḳhiláf i ʻaql maʻlúm hotá hai.
Currently Selected:
Aʻmál 25: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)