Aʻmál 26
26
1Agrippa ne Paulus se kahá; Tujhe apne liye bolne kí ijázat hai. Paulus háth baṛhákar apná jawáb yúṉ pesh karne lagá, ki
2Ai Agrippa bádsháh, jitní bátoṉ kí Yahúdí mujh par nálish karte haiṉ, áj tere sámne un kí jawábdihí karni apní ḳhushnasíbí jántá húṉ: 3ḳhásskar is liye ki tú Yahúdíoṉ kí sab rasmoṉ aur masʼaloṉ se wáqif hai: pas maiṉ minnat kartá húṉ, ki tahammul se meṛí sun le. 4Sab Yahúdí jánte haiṉ, ki apní qaum ke darmiyán aur Yarúshalem meṉ shurúʻ i jawání se merá chálchalan kaisá rahá hai; 5chúṉki wuh shurúʻ se mujhe jánte haiṉ, agar cháheṉ, to gawáh ho sakte haiṉ, ki maiṉ Farísí hokar apne dín ke sab se ziyáda páband i mazhab firqe kí tarah zindagí guzártá thá. 6Aur ab us waʻde kí ummed ke sabab mujh par muqaddama ho rahá hai, jo Ḳhudá ne hamáre bápdádá se kiyá thá; 7usí waʻde ke púrá hone kí ummed par hamáre bárah ke bárah qabíle dil o ján se rát din ʻibádat kiyá karte haiṉ. Isí ummed ke sabab, ai bádsháh, Yahúdí mujh par nálish karte haiṉ. 8Jab ki Ḳhudá murdoṉ ko jilátá hai, to yih bát tumháre nazdík kyúṉ gair muʻtabar samjhí játí hai? 9Maiṉ ne bhí samjhá thá, ki Yisúʻ Násarí ke nám kí tarah tarah se muḳhálafat karní mujh par farz hai. 10Chunáṉchi maiṉ ne Yarúshalem meṉ aisá hí kiyá, aur sardár káhinoṉ kí taraf se iḳhtiyár pákar, bahut se muqaddasoṉ ko qaid meṉ ḍálá, aur jab wuh qatl kiye játe the to maiṉ bhí yihí ráe detá thá. 11Aur har ʻibádatḳháne meṉ unheṉ sazá dilá dilákar zabardastí un se kufr kahlwátá thá, balki un kí muḳhálafat meṉ aisá díwána baná, ki gair shahroṉ meṉ bhí jákar unheṉ satátá thá. 12Isí hál meṉ sardár káhinoṉ se iḳhtiyár aur parwána lekar Damishq ko játá thá; 13to ai bádsháh, maiṉ ne do pahar ke waqt ráh meṉ yih dekhá, ki súraj ke núr se ziyáda ek núr ásmán se, mere aur mere hamsafaroṉ ke girdágird á chamká. 14Jab ham sab zamín par gir paṛe, to maiṉ ne ʻIbrání zabán meṉ yih áwáz suní, ki Ai Sháúl, ai Sháúl, tú mujhe kyúṉ satátá hai? Paine kí ár#26:14 Paine kí ár Lohe ki nokdar keel jo lakṛi main lagaty hain. Ankas lagna ya peeni lagana bhi kehte haiṉ. Janwar ko áge ki tarf háṉkne k lie chabhote haiṉ. par lát mární tere liye mushkil hai. 15Maiṉ ne kahá; Ai Ḳhudáwand, tú kaun hai? Ḳhudáwand bolá; Maiṉ Yisúʻ húṉ, jise tú satátá hai. 16Lekin uṭh, apne páṉwoṉ par khaṛá ho; kyúṉki maiṉ is liye tujh par záhir húá húṉ, ki tujhe un chízoṉ ká bhí ḳhádim aur gawáh muqarrar karúṉ, jin kí gawáhí ke liye tú ne mujhe dekhá hai, aur un ká bhí jin kí gawáhí ke liye maiṉ tujh par záhir húá karúṉgá. 17Aur maiṉ tujhe is ummat aur gairqaumoṉ se bachátá rahúṉgá; jin ke pás tujhe is liye bhejtá húṉ, 18ki tú un kí áṉkheṉ khol de, táki andhere se raushní kí taraf, aur Shaitán ke iḳhtiyár se Ḳhudá kí taraf rujúʻ láeṉ, aur mujh par ímán láne ke báʻis gunáhoṉ kí muʻáfí, aur muqaddasoṉ meṉ sharík hokar mírás páeṉ. 19Is liye, ai Agrippa bádsháh, maiṉ us ásmání royá ká náfarmán na húá: 20balki pahle Damishqíoṉ ko, phir Yarúshalem aur sáre mulk i Yahúdiya ke báshindoṉ ko, aur gairqaumoṉ ko samjhátá rahá, ki tauba kareṉ, aur Ḳhudá kí taraf rujúʻ lákar tauba ke muwáfiq kám kareṉ. 21Inhíṉ bátoṉ ke sabab Yahúdíoṉ ne mujhe haikal meṉ pakaṛke, már ḍálne kí koshish kí. 22Lekin Ḳhudá kí madad se maiṉ áj tak qáim húṉ, aur chhoṭe baṛe ke sámne gawáhí detá húṉ, aur un bátoṉ ke siwá kuchh nahíṉ kahtá, jin ki peshíngoi nabioṉ aur Músá ne bhí ki hai, 23ki Masíh ko dukh uṭháná zarúr hai, aur sab se pahle wuhí murdoṉ meṉ se zinda hokar is ummat ko aur gairqaumoṉ ko bhí núr ká ishtihár degá.
24Jab wuh is tarah jawábdihí kar rahá thá, to Festus ne baṛí áwáz se kahá; Ai Paulus, tú díwána hai; bahut ʻilm ne tujhe díwána kar diyá hai. 25Paulus ne kahá; Ai Festus bahádur, maiṉ díwána nahíṉ, balki sachcháí aur hoshyárí kí báteṉ kahtá húṉ. 26Chunáṉchi bádsháh, jis se maiṉ dilerána kalám kartá húṉ, yih báteṉ jántá hai: aur mujhe yaqín hai ki in bátoṉ meṉ se koí us se chhipí nahíṉ; kyúṉki yih májará kone meṉ nahíṉ húá. 27Ai Agrippa bádsháh, kyá tú nabíoṉ ká yaqín kartá hai? Maiṉ jántá húṉ, ki tú yaqín kartá hai. 28Agrippa ne Paulus se kahá; Tú to thoṛí hí sí nasíhat karke mujhe Masíhí kar lená cháhtá hai. 29Paulus ne kahá; Maiṉ to Ḳhudá se cháhtá húṉ, ki thoṛí nasíhat se, yá bahut se, sirf tú hí nahíṉ, balki jitne log áj merí sunte haiṉ, merí mánind ho jáeṉ, siwá in zanjíroṉ ke.
30Tab bádsháh, aur hákim, aur Birníke, aur un ke hamnishín uṭh khaṛe húe; 31aur alag jákar ek dúsre se báteṉ karne aur kahne lage, ki Yih ádmí aisá to kuchh nahíṉ kartá, jo qatl yá qaid ke láiq ho. 32Agrippa ne Festus se kahá, ki Agar yih ádmí Qaisar ke háṉ apíl na kartá, to chhúṭ saktá thá.
Currently Selected:
Aʻmál 26: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)