Aʻmál 24
24
1Páṉch din ke baʻd Hananyáh sardár káhin, baʻz buzurgoṉ, aur Tirtullus nám ek wakíl ko sáth lekar waháṉ áyá, aur unhoṉ ne hákim ke sámne Paulus kí faryád kí. 2Jab wuh buláyá gayá, to Tirtullus ilzám lagáke kahne lagá, ki
Ai Feliks bahádur, chúṉki tere wasíle se ham baṛe amn meṉ haiṉ, aur terí dúrandeshí se is qaum ke fáide ke liye ḳharábíoṉ kí isláh hotí hai, 3ham har tarah aur har jagah kamál shukrguzárí ke sáth terá ihsán mánte haiṉ. 4Magar is liye ki tujhe ziyáda taklíf na dúṉ, maiṉ terí minnat kartá húṉ, ki tú apní mihrbání se hamárí do ek báteṉ sun le. 5Kyúṉki ham ne is shaḳhs ko mufsid, aur dunyá ke sab Yahúdíoṉ meṉ fitnaangez, aur Násaríoṉ ke bidʻati firqe ká sarguroh páyá. 6Us ne haikal ko nápák karne kí bhí koshish kí thí, aur ham ne use pakṛá: [aur ham ne cháhá ki apní sharíʻat ke muwáfiq us kí ʻadálat kareṉ. 7Lekin Lúsiyás sardár ákar baṛí zabardastí se use hamáre háth se chhín le gayá, 8aur us ke muddaʻíoṉ ko hukm diyá, ki tere pás jáeṉ:] usí se tahqíq karke tú áp in sab bátoṉ ko daryáft kar saktá hai, jin ká ham us par ilzám lagáte haiṉ. 9Aur Yahúdíoṉ ne bhí is daʻwe meṉ muttafiq hokar kahá, ki yih báteṉ isí tarah haiṉ.
10Jab hákim ne Paulus ko bolne ká ishára kiyá, to us ne jawáb diyá:
Chúṉki maiṉ jántá húṉ, ki tú bahut barasoṉ se is qaum kí ʻadálat kartá hai, is liye maiṉ ḳhátirjamaʻí se apná ʻuzr bayán kartá húṉ. 11Tú daryáft kar saktá hai, ki bárah din se ziyáda nahíṉ húe, ki maiṉ Yarúshalem meṉ ʻibádat karne gayá thá: 12aur unhoṉ ne mujhe na haikal meṉ kisí ke sáth bahs karte, yá logoṉ meṉ fasád uṭháte páyá; na ʻibádatḳhánoṉ meṉ; na shahr meṉ: 13aur na wuh in bátoṉ ko, jin ká mujh par ab ilzám lagáte haiṉ, tere sámne sábit kar sakte haiṉ. 14Lekin tere sámne yih iqrár kartá húṉ, ki jis Taríq ko wuh bidʻat kahte haiṉ, usí ke mutábiq maiṉ apne bápdádá ke Ḳhudá kí ʻibádat kartá húṉ, aur jo kuchh Tauret aur nabíoṉ ke sahífoṉ meṉ likhá hai, us sab par merá ímán hai. 15Aur Ḳhudá se usí bát kí ummed rakhtá húṉ, jis ke wuh ḳhud bhí muntazir haiṉ, ki rástbázoṉ aur nárástoṉ donoṉ kí qiyámat hogí. 16Isí liye maiṉ ḳhud bhí koshish meṉ rahtá húṉ, ki Ḳhudá aur ádmíoṉ ke báb meṉ merá dil mujhe kabhí malámat na kare. 17Bahut barasoṉ ke baʻd maiṉ apní qaum ko ḳhairát pahuṉcháne, aur nazreṉ chaṛháne áyá thá. 18Unhoṉ ne bagair hangáme yá balwe ke mujhe tahárat kí hálat meṉ, yih kám karte húe, haikal meṉ páyá — háṉ, Ásiya ke chand Yahúdí the — 19aur agar un ká mujh par kuchh daʻwá thá, to unheṉ tere sámne házir hokar faryád karní wájib thí. 20Yá yihí ḳhud kaheṉ, ki jab maiṉ sadr ʻadálat ke sámne khaṛá thá, to mujh meṉ kyá burái páí thí, 21siwá is ek bát ke, ki maiṉ ne un meṉ khaṛe hokar baland áwáz se kahá thá, ki Murdoṉ kí qiyámat ke báre meṉ áj mujh par tumháre sámne muqaddama ho rahá hai.
22Feliks ne, jo sahíh taur par is Taríq se wáqif thá, yih kahkar muqaddame ko multawí kar diyá, ki Jab palṭan ká sardár Lúsiyás áegá, to maiṉ tumhárá muqaddama faisal karúṉgá: 23aur súbadár ko hukm diyá, ki us ko qaid to rakh, magar árám se rakhná, aur us ke dostoṉ meṉ se kisí ko us kí khidmat karne se manaʻ na karná.
24Aur chand roz ke baʻd Feliks apní bíwí Drúsilla ko, jo Yahúdan thí, sáth lekar áyá; aur Paulus ko bulwákar us se Masíh Yisúʻ ke dín kí kaifíyat suní. 25Aur jab wuh rástbází, aur parhezgárí, aur áyanda ʻadálat ká bayán kar rahá thá, to Felíks ne dahshat khákar jawáb diyá, ki Is waqt to já, fursat pákar tujhe phir buláúṉgá. 26Use Paulus se kuchh rupaye milne kí ummed bhí thí; is liye use âur bhí bulá bulákar us ke sáth guftgú kiyá kartá thá. 27Lekin jab do baras guzar gaye, to Purkiyus Festus Feliks kí jagah muqarrar húá; aur Feliks Yahúdíoṉ ko apná ihsánmand karne kí garaz se Paulus ko qaid hí meṉ chhoṛ gayá.
Currently Selected:
Aʻmál 24: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)