YouVersion Logo
Search Icon

Aʻmál 23

23
1Paulus ne sadr ʻadálatwáloṉ ko gaur se dekhkar kahá; Ai bháiyo, maiṉ ne áj tak kamál nekníyatí se Ḳhudá ke wáste ʻumr guzárí hai. 2Sardár káhin Hananyáh ne un ko jo us ke pás khaṛe the hukm diyá, ki us ke muṉh par tamánchá máro. 3Paulus ne us se kahá; Ai safedí phirí húi díwár, Ḳhudá tujhe máregá: tú sharíʻat ke muwáfiq merá insáf karne ko baiṭhá hai, aur kyá sharíʻat ḳe barḳhiláf mujhe márne ká hukm detá hai? 4Jo pás khaṛe the unhoṉ ne kahá; Kyá tú Ḳhudá ke sardár káhin ko burá kahtá hai? 5Paulus ne kahá; Ai bháiyo, mujhe maʻlúm na thá ki yih sardár káhin hai; kyúṉki likhá hai, ki Apní qaum ke sardár ko burá na kah. 6Jab Paulus ne yih maʻlúm kiyá ki baʻz Sadúqí haiṉ aur baʻz Farísí, to ʻadálat meṉ pukárke kahá, ki Ai bháiyo, maiṉ Farísí aur Farísíoṉ kí aulád húṉ; murdoṉ kí ummed aur qiyámat ke báre meṉ mujh par muqaddama ho rahá hai. 7Jab us ne yih kahá, to Farísíoṉ aur Sadúqíoṉ meṉ takrár húí; aur házirín meṉ phúṭ paṛ gayí. 8Kyúṉki Sadúqí to kahte haiṉ, ki na qiyámat hai, na koí firishta, na rúh; magar Farísí donoṉ ká iqrár karte haiṉ. 9Pas baṛá shor húá: aur Farísioṉ ke firqe ke baʻz faqíh uṭhe, aur yúṉ kahkar jhagaṛne lage, ki Ham is ádmí meṉ kuchh buráí nahíṉ páte; aur agar kisí rúh yá firishte ne is se kalám kiyá ho, to phir kyá? 10Aur jab baṛí takrár húí, to palṭan ke sardár ne, is ḳhauf se ki mabádá Paulus ke ṭukṛe kar diye jáeṉ, fauj ko hukm diyá, ki utarkar use un meṉ se zabardastí nikálo, aur qilʻe meṉ le áo.
11Usí rát Ḳhudáwand us ke pás á khaṛá húá, aur kahá; Ḳhátirjamaʻ rakh: ki jaise tú ne merí bábat Yarúshalem meṉ gawáhí dí, waise hí tujhe Roma meṉ bhí gawáhí dení hogí.
12Jab din húá, to Yahúdíoṉ ne eká karke aur laʻnat kí qasam khákar kahá, ki jab tak nam Paulus ko qatl na kar leṉ, na kuchh kháeṉge na píeṉge. 13Aur jinhoṉ ne ápas meṉ yih sázish kí, wuh chálís se ziyáda the. 14Pas unhoṉ ne sardár káhinoṉ aur buzurgoṉ ke pás jákar kahá, ki Ham ne saḳht laʻnat kí qasam kháí hai, ki jab tak Paulus ko qatl na kar leṉ, kuchh na chakkheṉge. 15Pas ab tum sadr ʻadálatwáloṉ se milkar palṭan ke sardár se ʻarz karo ki use tumháre pás láe, goyá tum us ke muʻámale kí haqíqat ziyáda daryáft karní cháhte ho: aur ham us ke pahuṉchne se pahle us ke már ḍálne ko taiyár haiṉ. 16Lekin Paulus ká bháṉjá un kí ghát ká hál sunkar áyá, aur qilʻe meṉ jákar Paulus ko ḳhabar dí. 17Paulus ne súbadároṉ meṉ se ek ko bulákar kahá; Is jawán ko palṭan ke sardár ke pás le já; yih us se kuchh kahná cháhtá hai. 18Pas us ne us ko palṭan ke sardár ke pás le jákar kahá, ki Paulus qaidí ne mujhe bulákar darḳhwást kí, ki is jawán ko tere pás láúṉ, ki tujh se kuchh kahná cháhtá hai. 19Palṭan ke sardár ne us ká háth pakaṛkar, aur alag jákar púchhá, ki Mujh se kyá bát kahná cháhtá hai? 20Us ne kahá; Yahúdíoṉ ne eká kiyá hai, ki tujh se darḳhwást kareṉ, ki kal Paulus ko sadr ʻadálat meṉ láe, goyá tú us ke hál kí âur bhí tahqíqát karní cháhtá hai. 21Lekin tú un kí na mánná: kyúṉki un meṉ chálís shaḳhs se ziyáda us kí ghát meṉ haiṉ, jinhoṉ ne laʻnat kí qasam kháí hai, ki jab tak use már na ḍáleṉ, na kháeṉge na píeṉge; aur ab wuh taiyár haiṉ; sirf tere waʻde ká intizár nai. 22Pas sardár ne jawán ko yih hukm dekar ruḳhsat kiyá, ki Kisí se na kahná, ki tú ne mujh par yih záhir kiyá. 23Aur do súbadároṉ ko pás bulákar kahá, ki Do sau sipáhí, aur sattar sawár, aur do sau nezabardár pahar rát gaye Qaisariya ke jáne ko taiyár kar rakhná: 24aur hukm diyá ki Paulus kí sawárí ke liye jánwaroṉ ko bhí házir kareṉ, táki use Feliks hákim ke pás sahíh salámat pahuṉchá deṉ. 25Aur is mazmún ká ḳhatt likhá:
26Klaudiyus Lúsiyás ká Feliks bahádur hákim ko salám. 27Is shaḳhs ko Yahúdíoṉ ne pakaṛkar már ḍálná cháhá; magar jab mujhe maʻlúm húá ki Romí hai, to fauj samet chaṛh gayá, aur chhuṛá láyá. 28Aur is bát ke daryáft karne ká iráda karke, ki wuh kis sabab se us par nálish karte haiṉ, use un kí sadr ʻadálat meṉ le gayá; 29aur maʻlúm húá, ki wuh apní sharíʻat ke masʼaloṉ kí bábat us par nálish karte haiṉ; lekin us par koí aisá ilzám nahíṉ lagáyá gayá, jo qatl yá qaid ke láiq ho. 30Aur jab mujhe ittiláʻ húí, ki is shaḳhs ke barḳhiláf sázish honewálí hai, to maiṉ ne use fauran tere pás bhej diyá hai, aur us ke muddaʻíoṉ ko bhí hukm de diyá hai, ki tere sámne us par dáʻwá kareṉ.
31Pas sipáhíoṉ ne hukm ke muwáfiq Paulus ko lekar, rátoṉ rát Antipatris meṉ pahuṉchá diyá. 32Aur dúsre din sawároṉ ko us ke sáth jáne ke liye chhoṛkar, áp qilʻe ko phire. 33Unhoṉ ne Qaisariya meṉ pahuṉchkar hákim ko ḳhatt de diyá, aur Paulus ko bhí us ke áge házir kiyá. 34Us ne ḳhatt paṛhkar púchhá, ki Yih kis súbe ká hai? aur yih maʻlúm karke ki Kilikiya ká hai, 35us se kahá, ki Jab tere muddaʻí bhí házir hoṉge, to maiṉ terá muqaddama karúṉgá: aur use Herodes ke qilʻe meṉ qaid rakhne ká hukm diyá.

Currently Selected:

Aʻmál 23: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in