YouVersion Logo
Search Icon

Aʻmál 22

22
1Ai bháiyo aur buzurgo, merá ʻuzr suno, jo ab tum se bayán kartá húṉ.
2Jab unhoṉ ne suná, ki ham se ʻIbrání zabán meṉ boltá hai, to âur bhí chupcháp ho gaye. Pas us ne kahá;
3Maiṉ Yahúdí húṉ, aur Kilikiya ke shahr Tarsus meṉ paidá húá magar merí tarbiyat is shahr meṉ Gamlíel ke qadamoṉ meṉ húí, aur maiṉ ne bápdádá kí sharíʻat kí ḳháss pábandí kí taʻlím páí; aur Ḳhudá kí ráh meṉ aisá sargarm thá, jaisá tum sab áj ke din ho. 4Chunáṉchi maiṉ ne mardoṉ aur ʻauratoṉ ko báṉdh báṉdhkar, aur qaidḳháne meṉ ḍál ḍálkar, Masíhí taríqwáloṉ ko yaháṉ tak satáyá, ki marwá bhí ḍálá. 5Chunáṉchi sardár káhin aur sáre buzurg mere gawáh haiṉ, ki un se maiṉ bháiyoṉ ke nám ḳhatt lekar Damishq ko rawána húá, táki jitne waháṉ hoṉ, unheṉ bhí báṉdhkar Yarúshalem meṉ sazá diláne ko láúṉ. 6Jab maiṉ safar kartá kartá Damishq ke nazdík pahuṉchá, to aisá húá ki do pahar ke qaríb yakáyak ek baṛá núr ásmán se mere girdágird á chamká. 7Aur maiṉ zamín par gir paṛá, aur yih áwáz suní, ki Ai Sháúl! ai Sháúl! tú mujhe kyúṉ satátá hai? 8Maiṉ ne jawáb diyá, ki Ai Ḳhudáwand, tú kaun hai? Us ne mujh se kahá; Maiṉ Yisúʻ Násarí húṉ, jise tú satátá hai. 9Aur mere sáthiyoṉ ne núr to dekhá, lekin jo mujh se boltá thá, us kí áwáz na suní. 10Maiṉ ne kahá; Ai Ḳhudáwand, maiṉ kyá karúṉ? Ḳhudáwand ne mujh se kahá; Uṭhkar Damishq meṉ já; jo kuchh tere karne ke liye muqarrar húá hai, waháṉ tujh se sab kahá jáegá. 11Jab mujhe us núr ke jalál ke sabab kuchh na dikháí diyá, to mere sáthí merá háth pakaṛke mujhe Damishq meṉ le gaye. 12Aur Hananyáh nám ek shaḳhs, jo sharíʻat ke muwáfiq díndár, aur waháṉ ke sab rahnewále Yahúdíoṉ ke nazdík neknám thá, 13mere pás áyá, aur khaṛe hokar mujh se kahá; Bháí Sháúl, phir bíná ho. Usí ghaṛí bíná hokar maiṉ ne us ko dekhá. 14Us ne kahá; Hamáre bápdádá ke Ḳhudá ne tujh ko is liye muqarrar kiyá, ki tú us kí marzí ko jáne, aur us Rástbáz ko dekhe, aur us ke muṉh kí áwáz sune. 15Kyúṉki tú us kí taraf se sab ádmíoṉ ke sámne un bátoṉ ká gawáh hogá, jo tú ne dekhí aur suní haiṉ. 16Ab kyúṉ der kartá hai? uṭh, baptisma le, aur us ká nám lekar apne gunáhoṉ ko dho ḍál. 17Jab maiṉ phir Yarúshalem meṉ ákar haikal meṉ duʻá máṉg rahá thá, to aisá húá ki maiṉ beḳhud ho gayá, 18aur us ko dekhá ki mujh se kahtá hai; Jaldí kar, aur fauran Yarúshalem se nikal já: kyúṉki mere haqq meṉ terí gawáhí qubúl na kareṉge. 19Maiṉ ne kahá; Ai Ḳhudáwand, wuh ḳhud jánte haiṉ, ki jo tujh par ímán láe maiṉ un ko qaid karátá, aur jábajá ʻibádatḳhánoṉ meṉ piṭwátá thá: 20aur jab tere shahíd Stifanus ká ḳhún baháyá játá thá, to maiṉ bhí waháṉ khaṛá thá, aur us ke qatl par rází thá, aur us ke qátiloṉ ke kapṛoṉ kí hifázat kartá thá. 21Us ne mujh se kahá; Já: maiṉ tujhe gairqaumoṉ ke pás dúr dúr bhejúṉgá.
22Wuh is bát tak to us kí sunte rahe; phir baland áwáz se chilláe, ki Aise shaḳhs ko zamín par se faná kar de! us ká zinda rahná munásib nahíṉ. 23Jab wuh chilláte aur apne kapṛe pheṉkte aur ḳhák uṛáte the, 24to palṭan ke sardár ne hukm dekar kahá, ki use qilʻe meṉ le jáo, aur koṛe márkar us ká izhár lo, táki mujhe maʻlúm ho, ki wuh kis sabab se us kí muḳhálafat meṉ yúṉ chilláte haiṉ. 25Jab unhoṉ ne use tasmoṉ se báṉdh liyá, to Paulus ne us súbadár se jo pás khaṛá thá kahá; Kyá tumheṉ rawá hai, ki ek Romí ádmí ke koṛe máro, aur wuh bhí qusúr sábit kiye bagair? 26Súbadár yih sunkar palṭan ke sardár ke pás gayá, aur use ḳhabar dekar kahá; Tú kyá kartá hai? yih to Romí ádmí hai. 27Palṭan ke sardár ne us ke pás ákar kahá; Mujhe batá to, kyá tú Romí hai? Us ne kahá; Háṉ. 28Palṭan ke sardár ne jawáb diyá, ki Maiṉ ne baṛí raqam dekar Romí hone ká rutba hásil kiyá. Paulus ne kahá; Maiṉ to paidáishí húṉ. 29Pas jo us ká izhár lene ko the, fauran us se alag ho gaye, aur palṭan ká sardár bhí yih maʻlúm karke dar gayá, ki jis ko maiṉ ne báṉdhá hai, wuh Romí hai.
30Subh ko yih haqíqat maʻlúm karne ke iráde se, ki Yahúdí us par kyá ilzám lagáte haiṉ, us ne us ko khol diyá; aur sardár káhin aur sáre sadr ʻadálatwáloṉ ko jamaʻ hone ká hukm diyá, aur Paulus ko níche le jákar un ke sámne khaṛá kar diyá.

Currently Selected:

Aʻmál 22: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in