Aʻmál 21
21
1Aur jab ham un se bamushkil judá hokar jaház par rawána húe, to aisá húá ki sídhí ráh Kos meṉ áe, aur dúsre din Rudus meṉ, aur waháṉ se Patara meṉ: 2phir ek jaház sídhá Fíníke ko játá húá milá, aur us par sawár hokar rawána húe. 3Jab Kuprus nazar áyá, to use báeṉ háth chhoṛkar Súriya ko chale, aur Súr meṉ utre; kyúṉki waháṉ jaház ká mál utárná thá. 4Jab shágirdoṉ ko talásh kar liyá, to ham sát roz waháṉ rahe: unhoṉ ne Rúh kí maʻrifat Paulus se kahá, ki Yarúshalem meṉ qadam na rakhná. 5Aur jab wuh din guzar gaye, to aisá húá ki ham nikalke rawána húe; aur sab ne, bíwiyoṉ aur bachchoṉ samet, ham ko shahr ke báhar tak pahuṉcháyá. Phir ham ne samundar ke kanáre ghuṭne ṭekkar duʻá máṉgí; 6aur ek dúsre se widáʻ hokar, ham to jaház par chaṛhe, aur wuh apne apne ghar wápas chale gaye.
7Aur ham Súr se jaház ká safar tamám karke, Patulimayis meṉ pahuṉche; aur bháiyoṉ ko salám kiyá, aur ek din un ke sáth rahe. 8Dúsre din ham rawána hokar Qaisariya meṉ áe; aur Filippus mubashshir ke ghar, jo un sátoṉ meṉ se thá, utarkar us ke sáth rahe. 9Us kí chár kuṉwárí beṭiyáṉ thíṉ, jo nubuwwat kartí thíṉ. 10Aur jab ham waháṉ bahut roz rahe, to Agabus nám ek nabí Yahúdiya se áyá. 11Us ne hamáre pás ákar Paulus ká kamarband liyá, aur apne háth páṉw báṉdhkar kahá; Rúhuʼl Quds yúṉ kahtá hai, ki Jis shaḳhs ká yih kamarband hai, us ko Yahúdí Yarúshalem meṉ isí tarah báṉdheṉge, aur gairqaumoṉ ke háth meṉ hawále kareṉge. 12Jab yih suná, to ham ne aur waháṉ ke logoṉ ne us kí minnat kí, ki Yarúshalem ko na jáe. 13Magar Paulus ne jawáb diyá, ki Tum kyá karte ho? kyúṉ ro roke merá dil toṛte ho? Maiṉ to Yarúshalem meṉ Ḳhudáwand Yisúʻ ke nám par na sirf báṉdhe jáne, balki marne ko bhí taiyár húṉ. 14Jab us ne na máná, to ham yih kahkar chup ho gaye, ki Ḳhudáwand kí marzí púrí ho.
15Un dinoṉ ke baʻd, ham apne safar ká asbáb taiyár karke Yarúshalem ko gaye. 16Aur Qaisariya ke bhí baʻz shágird hamáre sáth chale, aur ek qadím shágird Manáson Kuprí ko sáth le áe, táki ham us ke háṉ mihmán hoṉ.
17Jab ham Yarúshalem meṉ pahuṉche, to bháí baṛí ḳhushí ke sáth ham se mile. 18Aur dúsre din Paulus hamáre sáth Yaʻqúb ke pás gayá; aur sab buzurg waháṉ házir the. 19Us ne unheṉ salám karke, jo kuchh Ḳhudá ne us kí ḳhidmat se gairqaumoṉ meṉ kiyá thá, mufassal bayán kiyá. 20Unhoṉ ne yih sunkar Ḳhudá kí baṛáí kí: phir us se kahá; Ai bháí, tú dekhtá hai, ki Yahúdíoṉ meṉ hazárhá ádmí ímán le áe haiṉ; aur wuh sab shariʻat ke báre meṉ sargarm haiṉ. 21Aur un ko tere báre meṉ sikhá diyá gayá hai, ki tú gairqaumoṉ meṉ rahnewále sab Yahúdíoṉ ko yih kahkar Músá se phir jáne kí taʻlím detá hai, ki na apne laṛkoṉ ká ḳhatna karo, na Músawí rasmoṉ par chalo. 22Pas kyá kiyá jáe? Log zarúr suneṉge, ki tú áyá hai. 23Is liye jo ham tujh se kahte haiṉ, wuh kar: hamáre háṉ chár ádmí aise haiṉ, jinhoṉ ne mannat mání hai; 24unheṉ lekar apne áp ko un ke sáth pák kar, aur un kí taraf se kuchh ḳharch kar, táki wuh sir munḍáeṉ: to sab ján leṉge, ki jo báteṉ unheṉ tere báre meṉ sikháí gayí haiṉ, un kí kuchh asl nahíṉ; balki tú ḳhud bhí sharíʻat par ʻamal karke durustí se chaltá hai. 25Magar gairqaumoṉ meṉ se jo ímán láe, un kí bábat ham ne yih faisala karke likhá thá, ki wuh sirf butoṉ kí qurbání ke gosht se, aur lahú, aur galághoṉṭe húe jánwaroṉ, aur harámkárí se apne áp ko bacháe rakkheṉ. 26Is par Paulus un ádmíoṉ ko lekar, aur dúsre din apne áp ko un ke sáth pák karke, haikal meṉ dáḳhil húá, aur ḳhabar dí, ki jab tak ham meṉ se har ek kí nazr na chaṛháí jáe taqaddus ke din púre kareṉge.
27Jab wuh sát din púre hone ko the, to Ásiya ke Yahúdíoṉ ne use haikal meṉ dekhkar, sab logoṉ meṉ halchal macháí, aur yúṉ chillákar us ko pakaṛ liyá; 28ki Ai Isráílío, madad karo: yih wuhí ádmí hai, jo har jagah sab ádmíoṉ ko ummat, aur sharíʻat, aur is maqám ke ḳhiláf sikhátá hai: balki Yúnáníoṉ ko bhí haikal meṉ lákar, is pák maqám ko nápák kiyá hai. 29Kyúṉki unhoṉ ne is se pahle Trufimus Ifisí ko us ke sáth shahr meṉ dekhá thá; usí kí bábat unhoṉ ne ḳhayál kiyá, ki Paulus use haikal meṉ le áyá hai. 30Aur tamám shahr meṉ halchal paṛ gayí, aur log dauṛkar jamaʻ húe: aur Paulus ko pakaṛke haikal ke báhar ghasíṭkar le gaye: aur fauran darwáze band kar liye gaye. 31Jab wuh use qatl karná cháhte the, to úpar palṭan ke sardár ke pás ḳhabar pahuṉchí, ki tamám Yarúshalem meṉ khalbalí paṛí húí hai. 32Wuh usí dam sipáhíoṉ aur súbadároṉ ko lekar un ke pás níche dauṛá áyá: aur wuh palṭan ke sardár aur sipáhíoṉ ko dekhkar Paulus kí már píṭ se báz áe. 33Is par palṭan ke sardár ne nazdík ákar use giriftár kiyá; aur do zanjíroṉ se báṉdhne ká hukm dekar púchhne lagá, ki Yih kaun hai, aur is ne kyá kiyá hai? 34Bhíṛ meṉ se baʻz kuchh chilláe, aur baʻz kuchh: pas jab hullaṛ ke sabab kuchh haqíqat daryáft na kar saká, to hukm diyá, ki use qilʻe meṉ le jáo. 35Jab síṛhiyoṉ par pahuṉchá, to bhíṛ kí zabardastí ke sabab sipáhíoṉ ko use uṭhákar le jáná paṛá; 36kyúṉki logoṉ kí bhíṛ yih chillátí húí us ke píchhe paṛí, ki Us ká kám tamám kar.
37Aur jab Paulus ko qilʻe ke andar le jáne ko the, to us ne palṭan ke sardár se kahá; Kyá mujhe ijázat hai, ki tujh se kuchh kahúṉ? Us ne kahá; Kyá tú Yúnání jántá hai? 38Kyá tú wuh Misrí nahíṉ, jo is se pahle gázíoṉ meṉ se chár hazár ádmíoṉ ko bágí karke jangal meṉ le gayá? 39Paulus ne kahá, ki Maiṉ Yahúdí ádmí, Kilikiya ke mashhúr shahr Tarsus ká báshinda húṉ. Maiṉ terí minnat kartá húṉ, ki mujhe logoṉ se bolne kí ijázat de. 40Jab us ne use ijázat dí, to Paulus ne siṛhiyoṉ par khaṛe hokar logoṉ ko háth se ishára kiyá. Jab wuh chupcháp ho gaye, to ʻIbrání zabán meṉ yúṉ kahne lagá, ki
Currently Selected:
Aʻmál 21: URDR55
Highlight
Share
Copy

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)