2 Kurinthíoṉ 4
4
1Pas jab ham par aisá rahm húá, ki hameṉ yih ḳhidmat milí, to ham himmat nahíṉ hárte: 2balki ham ne sharm kí poshída bátoṉ ko tark kar diyá, aur makkárí kí chál nahíṉ chalte, na Ḳhudá ke kalám meṉ ámezish karte haiṉ; balki haqq záhir karke Ḳhudá ke rúbarú har ek ádmí ke dil meṉ apní nekí biṭháte haiṉ. 3Aur agar hamári ḳhushḳhabarí par parda paṛá hai, to halák honewáloṉ hí ke wáste paṛá hai: 4yaʻní un beímánoṉ ke wáste, jin kí ʻaqloṉ ko is jahán ke ḳhudá ne andhá kar diyá hai, táki Masíh jo Ḳhudá kí súrat hai, us ke jalál kí ḳhushḳhabarí kí raushní un par na paṛe. 5Kyúṉki ham apní nahíṉ, balki Masíh Yisúʻ kí manádí karte haiṉ, ki wuh Ḳhudáwand hai; aur apne haqq meṉ yih kahte haiṉ, ki Yisúʻ kí ḳhátir tumháre gulám haiṉ. 6Is liye ki Ḳhudá hí hai, jis ne farmáyá, ki Táríkí meṉ se núr chamke; aur wuhí hamáre diloṉ meṉ chamká, táki Ḳhudá ke jalál kí pahchán ká núr Yisúʻ Masíh ke chihre se jalwagar ho.
7Lekin hamáre pás yih ḳhazána miṭṭí ke bartanoṉ meṉ rakkhá hai, táki yih hadd se ziyáda qudrat hamárí taraf se nahíṉ, balki Ḳhudá kí taraf se maʻlúm ho. 8Ham har taraf se musíbat to uṭháte haiṉ, lekin láchár nahíṉ hote; hairán to hote haiṉ, magar náummed nahíṉ hote; 9satáe to játe haiṉ, magar akele nahíṉ chhoṛe játe; giráe to játe haiṉ, lekin halák nahíṉ hote; 10ham har waqt apne badan meṉ Yisúʻ kí maut liye phirte haiṉ, táki Yisúʻ kí zindagí bhí hamáre badan meṉ záhir ho. 11Kyúṉki ham jíte jí Yisúʻ kí ḳhátir hamesha maut ke hawále kiye játe haiṉ, táki Yisúʻ kí zindagí bhí hamáre fání jism meṉ záhir ho. 12Pas maut to ham meṉ asar kartí hai, aur zindagí tum meṉ. 13Aur chúṉki ham meṉ wuhí ímán kí rúh hai, jis kí bábat likhá hai, ki Maiṉ ímán láyá, aur isí liye bolá; pas ham bhí ímán láe, aur isí liye bolte haiṉ; 14kyúṉki ham jánte haiṉ, ki jis ne Ḳhudáwand Yisúʻ ko jiláyá, wuh ham ko bhí Yisúʻ ke sáth shámil jánkar jiláegá, aur tumháre sáth apne sámne házir karegá. 15Is liye ki sárí chízeṉ tumháre wáste haiṉ, táki bahut se logoṉ ke sabab fazl ziyáda hokar Ḳhudá ke jalál ke liye shukrguzárí bhí baṛháe.
16Is liye ham himmat nahíṉ hárte; balki go hamárí záhirí insáníyat záil hotí játí hai, phir bhí hamárí bátiní insáníyat roz ba roz nayí hotí játí hai. 17Kyúṉki hamárí dam bhar kí halkí sí musíbat hamáre liye azhadd bhárí aur abadí jalál paidá kartí játí hai; 18jis hál meṉ ki ham dekhí húí chízoṉ par nahíṉ, balki andekhí chízoṉ par nazar karte haiṉ: kyúṉki dekhí húí chízeṉ chandroza haiṉ; magar andekhí chízeṉ abadí haiṉ.
Currently Selected:
2 Kurinthíoṉ 4: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)