YouVersion Logo
Search Icon

2 Kurinthíoṉ 3

3
1Kyá ham phir apní neknámí jatání shurúʻ karte haiṉ? yá ham ko baʻz kí tarah neknámí ke ḳhatt tumháre pás láne, yá tum se lene kí hájat hai? 2Hamárá jo ḳhatt hamáre diloṉ par likhá húá hai, wuh tum ho, aur use sab ádmí jánte aur paṛhte haiṉ: 3záhir hai, ki tum Masíh ká wuh ḳhatt ho, jo ham ne ḳhádimoṉ ke taur par likhá; siyáhí se nahíṉ, balki zinda Ḳhudá kí Rúh se; patthar kí taḳhtíoṉ par nahíṉ, balki gosht kí, yáʻní dil kí taḳhtíoṉ par. 4Ham Masíh kí maʻrifat Ḳhudá par aisá hí bharosá rakhte haiṉ: 5yih nahíṉ ki bazát i ḳhud ham is láiq haiṉ, ki apní taraf se kuchh ḳhayál bhí kar sakeṉ; balki hamárí liyáqat Ḳhudá kí taraf se hai; 6jis ne ham ko naye ʻahd ke ḳhádim hone ke láiq bhí kiyá: lafzoṉ ke ḳhádim nahíṉ, balki rúh ke; kyúṉki lafz már ḍálte haiṉ, magar rúh zinda kartí hai. 7Aur jab maut ká wuh ʻahd jis ke hurúf pattharoṉ par khode gaye the, aisá jalálwálá húá, ki baní Isráíl Músá ke chihre par, us jalál ke sabab se jo us ke chihre par thá, gaur se nazar na kar sake; háláṉki wuh ghaṭtá játá thá; 8to rúh ká ʻahd to zarúr hí jalálwálá hogá. 9Kyúṉki jab mujrim thahránewálá ʻahd jalálwálá thá, to rástbází ká ʻahd to zarúr hí jalálwálá hogá. 10Balki is súrat meṉ wuh jalálwálá is baṛe hí jalál ke sabab se bejalál ṭhahrá. 11Kyúṉki jab miṭnewálí chíz jalálwálí thí, to báqí rahnewálí chíz to zarúr hí jalálwálí hogí.
12Pas ham aisí ummed karke, baṛí dilerí se bolte haiṉ; 13aur Músá kí tarah nahíṉ haiṉ, jis ne apne chihre par niqáb ḍálí, táki baní Isráíl us miṭnewálí chíz ke anjám ko na dekh sakeṉ: 14lekin un ke ḳhayálát kasíf ho gaye: kyúṉki áj tak puráne ʻahdnáme ke paṛhte waqt, un ke diloṉ par wuhí parda paṛá rahtá hai; aur wuh Masíh meṉ uṭh játá hai. 15Magar áj tak jab kábhí Músá kí kitáb paṛhí játí hai, to un ke dil par parda paṛá rahtá hai. 16Lekin jab kabhí un ká dil Ḳhudáwand kí taraf phiregá, to wuh parda uth jáegá. 17Aur wuh Ḳhudáwand Rúh hai: aur jaháṉ kahíṉ Ḳhudáwand kí Rúh hai, waháṉ ázádí hai. 18Magar jab ham sab ke beniqáb chihroṉ se Ḳhudáwand ká jalál is tarah munʻakis hotá hai, jis tarah áíne meṉ, to us Ḳhudáwand ke wasíle se jo Rúh hai, ham usí jalálí súrat meṉ darja ba darja badalte játe haiṉ.

Currently Selected:

2 Kurinthíoṉ 3: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in