yih nahíṉ ki bazát i ḳhud ham is láiq haiṉ, ki apní taraf se kuchh ḳhayál bhí kar sakeṉ; balki hamárí liyáqat Ḳhudá kí taraf se hai; jis ne ham ko naye ʻahd ke ḳhádim hone ke láiq bhí kiyá: lafzoṉ ke ḳhádim nahíṉ, balki rúh ke; kyúṉki lafz már ḍálte haiṉ, magar rúh zinda kartí hai.