1
2 Kurinthíoṉ 4:18
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
jis hál meṉ ki ham dekhí húí chízoṉ par nahíṉ, balki andekhí chízoṉ par nazar karte haiṉ: kyúṉki dekhí húí chízeṉ chandroza haiṉ; magar andekhí chízeṉ abadí haiṉ.
Compare
Explore 2 Kurinthíoṉ 4:18
2
2 Kurinthíoṉ 4:16-17
Is liye ham himmat nahíṉ hárte; balki go hamárí záhirí insáníyat záil hotí játí hai, phir bhí hamárí bátiní insáníyat roz ba roz nayí hotí játí hai. Kyúṉki hamárí dam bhar kí halkí sí musíbat hamáre liye azhadd bhárí aur abadí jalál paidá kartí játí hai
Explore 2 Kurinthíoṉ 4:16-17
3
2 Kurinthíoṉ 4:8-9
Ham har taraf se musíbat to uṭháte haiṉ, lekin láchár nahíṉ hote; hairán to hote haiṉ, magar náummed nahíṉ hote; satáe to játe haiṉ, magar akele nahíṉ chhoṛe játe; giráe to játe haiṉ, lekin halák nahíṉ hote
Explore 2 Kurinthíoṉ 4:8-9
4
2 Kurinthíoṉ 4:7
Lekin hamáre pás yih ḳhazána miṭṭí ke bartanoṉ meṉ rakkhá hai, táki yih hadd se ziyáda qudrat hamárí taraf se nahíṉ, balki Ḳhudá kí taraf se maʻlúm ho.
Explore 2 Kurinthíoṉ 4:7
5
2 Kurinthíoṉ 4:4
yaʻní un beímánoṉ ke wáste, jin kí ʻaqloṉ ko is jahán ke ḳhudá ne andhá kar diyá hai, táki Masíh jo Ḳhudá kí súrat hai, us ke jalál kí ḳhushḳhabarí kí raushní un par na paṛe.
Explore 2 Kurinthíoṉ 4:4
6
2 Kurinthíoṉ 4:6
Is liye ki Ḳhudá hí hai, jis ne farmáyá, ki Táríkí meṉ se núr chamke; aur wuhí hamáre diloṉ meṉ chamká, táki Ḳhudá ke jalál kí pahchán ká núr Yisúʻ Masíh ke chihre se jalwagar ho.
Explore 2 Kurinthíoṉ 4:6
Home
Bible
Plans
Videos