1 Tímuthiyus 2
2
1Pas maiṉ sab se pahle yih nasíhat kartá húṉ, ki munájáteṉ, aur duʻáeṉ, aur iltijáeṉ, aur shukrguzáríáṉ sab ádmíoṉ ke liye kí jáeṉ; 2bádsháhoṉ aur sab baṛe martabawáloṉ ke wáste is liye, ki ham kamál díndárí aur sanjídagí se amn o árám ke sáth zindagí guzáreṉ. 3Yih hamáre Munjí Ḳhudá ke nazdík ʻumda aur pasandída hai; 4wuh cháhtá hai ki sáre ádmí naját páeṉ, aur sachcháí kí pahchán tak pahuṉcheṉ. 5Kyúṉki Ḳhudá ek hai, aur Ḳhudá aur insánoṉ ke bích meṉ darmiyání bhí ek, yaʻní Masíh Yisúʻ jo insán hai; 6jis ne apne áp ko sab ke fidye meṉ diyá, ki munásib waqtoṉ par is kí gawáhí dí jáe. 7Maiṉ sach kahtá húṉ, jhúṭh nahíṉ boltá, ki maiṉ isí garaz se manádí karnewálá aur rasúl aur gairqaumoṉ ko ímán aur sachcháí kí báteṉ sikhánewálá muqarrar húá.
8Pas maiṉ cháhtá húṉ, ki mard har jagah, bagair gusse aur takrár ke, pák háthoṉ ko uṭhákar duʻá máṉgá kareṉ. 9Isí tarah ʻaurateṉ hayádár libás se sharm aur parhezgárí ke sáth apne áp ko saṉwáreṉ, na bál gúṉdhne aur sone aur motiyoṉ aur qímatí poshák se; 10balki nek kámoṉ se, jaisá ḳhudáparastí ká iqrár karnewálí ʻauratoṉ ko munásib hai. 11ʻAurat ko chupcháp kamál tábiʻdárí se síkhná cháhiye. 12Aur maiṉ ijázat nahíṉ detá ki ʻaurat sikháe, yá mard par hukm chaláe, balki chupcháp rahe. 13Kyúṉki pahle Ádam banáyá gayá, us ke baʻd Hawwá; 14aur Ádam ne fareb nahíṉ kháyá, balki ʻaurat fareb khákar gunáh meṉ paṛ gayí. 15Lekin aulád janne ke wasíle se naját páegí, basharte ki wuh ímán aur mahabbat aur pákízagí meṉ parhezgárí ke sáth qáim raheṉ.
Currently Selected:
1 Tímuthiyus 2: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)