1 Tímuthiyus 3
3
1Yih bát sach hai, ki Jo shaḳhs nigahbán ká ʻuhda cháhtá hai, wuh achchhe kám kí ḳhwáhish kartá hai. 2Pas nigahbán ko beilzám, ek bíwí ká shauhar, parhezgár, muttaqí, sháista, musáfirparwar, aur taʻlím dene ke láiq honá cháhiye; 3nashe meṉ gul machánewálá, yá márpiṭ karnewálá na ho, balki halím ho, na takrárí, na zardost; 4apne ghar ká baḳhúbí bandobast kartá ho, aur apne bachchoṉ ko kamál sanjídagí se tábiʻ rakhtá ho. 5(Jab koí apne ghar hí ká bandobast karná nahíṉ jántá, to Ḳhudá kí kalísiyá kí kyúṉkar ḳhabargírí karegá?) 6Naumuríd na ho, táki gurúṛ karke kahíṉ Iblís kí sí sazá na páe. 7Aur báharwáloṉ ke nazdík bhí neknám honá cháhiye, táki malámat meṉ aur Iblís ke phande meṉ na phaṉse. 8Isí tarah ḳhádimoṉ ko bhí sanjída honá cháhiye; dozabán, aur sharábí, aur nájáiz nafaʻ ke lálchí na hoṉ; 9aur ímán ke bhed ko pák dil meṉ hifázat se rakkheṉ. 10Aur yih bhí pahle ázmáe jáeṉ, is ke baʻd agar beilzám ṭhahreṉ, to ḳhidmat ká kám kareṉ. 11Isí tarah ʻauratoṉ ko bhí sanjída honá cháhiye, tuhmat lagánewálí na hoṉ, balki parhezgár aur sárí bátoṉ meṉ ímándár hoṉ. 12Ḳhádim ek ek bíwí ke shauhar hoṉ, aur apne apne bachchoṉ aur gharoṉ ká baḳhúbí bandobast karte hoṉ; 13kyúṉki jo ḳhidmat ká kám baḳhúbí anjám dete haiṉ, wuh apne liye achchhá martaba, aur us ímán meṉ jo Masíh Yisúʻ par hai, baṛí dilerí hásil karte haiṉ.
14Maiṉ tere pás jald áne kí ummed karne par bhí, yih báteṉ tujhe is liye likhtá húṉ, 15ki agar mujhe áne meṉ der ho, to tujhe maʻlúm ho jáe ki Ḳhudá ke ghar, yaʻní zinda Ḳhudá kí kalísiyá meṉ, jo haqq ká sutún aur bunyád hai, kyúṉkar bartáo karná cháhiye. 16Is meṉ kalám nahíṉ, ki díndárí ká bhed baṛá hai, yaʻní wuh jo jism meṉ záhir húá, aur rúh meṉ rástbáz ṭhahrá, aur firishtoṉ ko dikháí diyá, aur gairqaumoṉ meṉ us kí manádí húí, aur dunyá meṉ us par ímán láe, aur jalál meṉ úpar uṭháyá gayá.
Currently Selected:
1 Tímuthiyus 3: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)