YouVersion Logo
Search Icon

1 Thissaluníkíoṉ 5

5
1Magar, ai bháiyo, is kí kuchh hájat nahíṉ ki waqtoṉ aur mauqaʻoṉ kí bábat tum ko kuchh likhá jáe. 2Is wáste ki tum áp khúb jánte ho, ki Ḳhudáwand ká din is tarah ánewálá hai, jis tarah rát ko chor átá hai. 3Jis waqt log kahte hoṉge ki Salámatí aur amn hai, us waqt un par is tarah nágaháṉ halákat áegí, jis tarah hámila ko dard lagte haiṉ; aur wuh hargiz na bacheṉge. 4Lekin tum, ai bháiyo, táríkí meṉ nahíṉ ho, ki wuh din chor kí tarah tum par á paṛe: 5kyúṉki tum sab núr ke farzand, aur din ke farzand ho; ham na rát ke haiṉ, na táríkí ke. 6Pas auroṉ kí tarah so na raheṉ, balki jágte aur hoshyár raheṉ. 7Kyúṉki jo sote haiṉ, rát hí ko sote haiṉ, aur jo matwále hote haiṉ, rát hí ko matwále hote haiṉ. 8Magar ham jo din ke haiṉ, ímán aur mahabbat ká baktar lagákar, aur naját kí ummed ká ḳhod pahinkar hoshyár raheṉ. 9Kyúṉki Ḳhudá ne hameṉ gazab ke liye nahíṉ, balki is liye muqarrar kiyá ki ham apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle se naját hásil kareṉ; 10wuh hamárí ḳhátir is liye múá ki, Ham jágte hoṉ yá sote hoṉ, sab milke usí ke sáth jíeṉ. 11Pas tum ek dúsre ko tasallí do, aur ek dúsre kí taraqqí ke báʻis bano, chunáṉchi tum aisá karte bhí ho.
12Aur, ai bháiyo, ham tum se darḳhwást karte haiṉ, ki jo tum meṉ mihnat karte, aur Ḳhudáwand meṉ tumháre peshwá haiṉ, aur tum ko nasíhat karte haiṉ, unheṉ máno; 13aur un ke kám ke sabab mahabbat se un kí baṛí ʻizzat karo. Ápas meṉ mel miláp rakkho. 14Aur, ai bháiyo, ham tumheṉ nasihat karte haiṉ, ki beqáʻida chalnewálon ko samjháo, kamhimmatoṉ ko dilásá do, kamzoroṉ ko sambhálo, sab ke sáth tahammul se pesh áo. 15Ḳhabardár, koí kisí se badí ke ʻiwaz badí na kare; balki har waqt nekí karne ke darpai raho, ápas meṉ bhí, aur sab se. 16Har waqt ḳhush raho; 17bilá nága duʻá máṉgo: 18har ek bát meṉ shukrguzárí karo: kyúṉki Masíh Yisúʻ meṉ tumhárí bábat Ḳhudá kí yihí marzí hai. 19Rúh ko na bujháo; 20nubuwwatoṉ kí haqárat na karo: 21sárí bátoṉ ko ázmáo: jo achchhí ho use pakṛe raho; 22har qism kí badí se bache raho.
23Ḳhudá jo itmínán ká chashma hai, áp hí tum ko biʼlkull pák kare; aur tumhárí rúh aur ján aur badan hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke áne ták púre púre aur beʻaib mahfúz raheṉ. 24Tumhárá bulánewálá sachchá hai, wuh aisá hí karegá.
25Ai bháiyo, hamáre wáste duʻá máṉgo.
26Pák bose ke sáth sáre bháiyoṉ ko salám karo. 27Maiṉ tumheṉ Ḳhudáwand kí qasam detá húṉ, ki yih ḳhatt sáre bháiyoṉ ko sunáyá jáe.
28Hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ká fazl tum par hotá rahe.

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in