YouVersion Logo
Search Icon

1 Thissaluníkíoṉ 4

4
1G̣araz, ai bháiyo, ham tum se darḳhwást karte haiṉ, aur Ḳhudáwand Yisúʻ meṉ tumheṉ nasíhat karte haiṉ, ki jis tarah tum ne ham se munásib chál chalne, aur Ḳhudá ko ḳhush karne kí taʻlím páí, aur jis tarah tum chalte bhí ho, usí tarah âur taraqqí karte jáo. 2Kyúṉki tum jánte ho, ki ham ne tum ko Ḳhudáwand Yisúʻ kí taraf se kyá kyá hukm pahuṉcháe. 3Chunáṉchi Ḳhudá kí marzí yih hai, ki tum pák bano, yaʻní harámkárí se bache raho; 4aur har ek tum meṉ se pákízagí aur ʻizzat ke sáth apne zarf ko hásil karná jáne; 5na shahwat ke josh se, un qaumoṉ kí mánind jo Ḳhudá ko nahíṉ jántíṉ: 6aur koí shaḳhs apne bháí ke sáth is amr meṉ ziyádatí aur dagá na kare, kyúṉki Ḳhudáwand in sab kámoṉ ká badla lenewálá hai; chunáṉchi ham ne pahle bhí tum ko tambíh karke jatá diyá thá. 7Is liye ki Ḳhudá ne ham ko nápákí ke liye nahíṉ, balki pákízagí ke liye buláyá. 8Pas jo nahíṉ mántá, wuh ádmí ko nahíṉ, balki Ḳhudá ko nahíṉ mántá, jo tum ko apní Pák Rúh detá hai.
9Magar birádarána mahabbat kí bábat tumheṉ kuchh likhne kí hájat nahíṉ, kyúṉki tum ápas meṉ mahabbat karne kí Ḳhudá se taʻlím pá chuke ho; 10aur tamám Makiduniya ke sab bháiyoṉ ke sáth aisá hí karte ho. Lekin ai bháiyo, ham tumheṉ nasíhat karte haiṉ, ki taraqqí karte jáo; 11aur jis tarah ham ne tum ko hukm diyá, chupcháp rahne, aur apná kár o bar karné, aur apne háthoṉ se mihnat karne kí himmat karo; 12táki báharwáloṉ ke sáth sháistagí se bartáo karo, aur kisí chíz ke muhtáj na ho.
13Ai bháiyo, ham nahíṉ cháhte ki jo sote haiṉ, un kí bábat tum náwáqif raho, táki auroṉ kí mánind jo náummed haiṉ gam na karo. 14Kyúṉki jab hameṉ yih yaqín hai ki Yisúʻ mar gayá aur jí uṭhá, to isí tarah Ḳhudá un ko bhí jo so gaye haiṉ, Yisúʻ ke wasíle se usí ke sáth le áegá. 15Chunáṉchi ham tum se Ḳhudáwand ke kalám ke mutábiq kahte haiṉ, ki ham jo zinda haiṉ, aur Ḳhudáwand ke áne tak báqí raheṉge, soe húoṉ se hargiz áge na baṛheṉge. 16Kyúṉki Ḳhudáwand ḳhud ásmán se utar áegá; us waqt lalkár, aur muqarrab firishte kí áwáz sunái degí, aur Ḳhudá ká narsingá phúṉká jáegá, aur pahle to Masíh meṉ múe húe jí uṭheṉge; 17phir ham jo zinda báqí hoṉge, un ke sáth bádaloṉ par uṭháe jáeṉge, táki hawá meṉ Ḳhudáwand ká istiqbál kareṉ, aur is tarah hamesha Ḳhudáwand ke sáth raheṉge. 18Pas tum in bátoṉ se ek dúsre ko tasallí diyá karo.

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in