1
1 Thissaluníkíoṉ 5:16-18
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Har waqt ḳhush raho; bilá nága duʻá máṉgo: har ek bát meṉ shukrguzárí karo: kyúṉki Masíh Yisúʻ meṉ tumhárí bábat Ḳhudá kí yihí marzí hai.
Compare
Explore 1 Thissaluníkíoṉ 5:16-18
2
1 Thissaluníkíoṉ 5:23-24
Ḳhudá jo itmínán ká chashma hai, áp hí tum ko biʼlkull pák kare; aur tumhárí rúh aur ján aur badan hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke áne ták púre púre aur beʻaib mahfúz raheṉ. Tumhárá bulánewálá sachchá hai, wuh aisá hí karegá.
Explore 1 Thissaluníkíoṉ 5:23-24
3
1 Thissaluníkíoṉ 5:15
Ḳhabardár, koí kisí se badí ke ʻiwaz badí na kare; balki har waqt nekí karne ke darpai raho, ápas meṉ bhí, aur sab se.
Explore 1 Thissaluníkíoṉ 5:15
4
1 Thissaluníkíoṉ 5:11
Pas tum ek dúsre ko tasallí do, aur ek dúsre kí taraqqí ke báʻis bano, chunáṉchi tum aisá karte bhí ho.
Explore 1 Thissaluníkíoṉ 5:11
5
1 Thissaluníkíoṉ 5:14
Aur, ai bháiyo, ham tumheṉ nasihat karte haiṉ, ki beqáʻida chalnewálon ko samjháo, kamhimmatoṉ ko dilásá do, kamzoroṉ ko sambhálo, sab ke sáth tahammul se pesh áo.
Explore 1 Thissaluníkíoṉ 5:14
6
1 Thissaluníkíoṉ 5:9
Kyúṉki Ḳhudá ne hameṉ gazab ke liye nahíṉ, balki is liye muqarrar kiyá ki ham apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle se naját hásil kareṉ
Explore 1 Thissaluníkíoṉ 5:9
7
1 Thissaluníkíoṉ 5:5
kyúṉki tum sab núr ke farzand, aur din ke farzand ho; ham na rát ke haiṉ, na táríkí ke.
Explore 1 Thissaluníkíoṉ 5:5
Home
Bible
Plans
Videos