YouVersion Logo
Search Icon

1 Salátín 8

8
1Tab Sulaimán ne Isráíl ke buzurgoṉ, aur qabíloṉ ke sab sardároṉ ko jo baní Isráíl ke ábáí ḳhándánoṉ ke raís the apne pás Yarúshalem meṉ jama‘ kiyá, táki wuh Dáúd ke shahr se jo Siyyún hai Ḳhudáwand ke ‘ahd ke sandúq ko le áeṉ. 2So us ‘íd meṉ Isráíl ke sab log máh i Aitáním meṉ jo sátwáṉ mahína hai Sulaimán bádsháh ke pás jama‘ húe. 3Aur Isráíl ke sab buzurg áe, aur káhinoṉ ne sandúq uṭháyá: 4aur wuh Ḳhudáwand ke sandúq ko, aur ḳhaima e ijtimá‘ ko, aur un sab muqaddas zurúf ko jo ḳhaime ke andar the le áe: un ko káhin aur Láwí láe the. 5Aur Sulaimán bádsháh ne, aur us ke sáth Isráíl kí sárí jamá‘at ne jo us ke pás jama‘ thí sandúq ke sámne khaṛe hokar itní bheṛ bakriyáṉ aur bail zabh kiye, ki un kí kasrat ke sabab se un ká shumár yá hisáb na ho saká. 6Aur káhin Ḳhudáwand ke ‘ahd ke sandúq ko us kí jagah par, us ghar kí ilhámgáh meṉ, ya‘ní páktarín makán meṉ ‘ain karúbíoṉ ke bázúoṉ ke níche le áe. 7Kyúṉki karúbí apne bázúoṉ ko sandúq kí jagah ke úpar phailáe húe the, aur wuh karúbí sandúq ko aur us kí choboṉ ko úpar se ḍháṉke húe the. 8Aur wuh chobeṉ aisí lambí thíṉ ki un choboṉ ke sire pák makán se ilhámgáh ke sámne dikháí dete the, lekin báhar se nahíṉ dikháí dete the: aur wuh áj tak wahíṉ haiṉ. 9Aur us sandúq meṉ kuchh na thá, siwá patthar kí un do lauhoṉ ke jin ko waháṉ Músá ne Horib meṉ rakh diyá thá, jis waqt ki Ḳhudáwand ne baní Isráíl se jab wuh mulk i Misr se nikal áe ‘ahd báṉdhá thá. 10Phir aisá húá ki jab káhin pák makán se báhar nikal áe, to Ḳhudáwand ká ghar abr se bhar gayá; 11so káhin us abr ke sabab se ḳhidmat ke liye khaṛe na ho sake; is liye ki Ḳhudáwand ká ghar us ke jalál se bhar gayá thá.
12Tab Sulaimán ne kahá, ki Ḳhudáwand ne farmáyá thá, ki wuh gahrí táríkí meṉ rahegá. 13Maiṉ ne fi’lhaqíqat ek ghar tere rahne ke liye, balki terí dáimí sukúnat ke wáste ek jagah banáí hai. 14Aur bádsháh ne apná muṉh pherá aur Isráíl kí sárí jamá‘at ko barakat dí: aur Isráíl kí sárí jamá‘at khaṛí rahí; 15aur us ne kahá, ki Ḳhudáwand Isráíl ká Ḳhudá mubárak ho jis ne apne muṉh se mere báp Dáúd se kalám kiyá, aur use apne háth se yih kahkar púrá kiyá, ki 16Jis din se maiṉ apní qaum Isráíl ko Misr se nikál láyá, maiṉ ne Isráíl ke sab qabíloṉ meṉ se bhí kisí shahr ko nahíṉ chuná, ki ek ghar banáyá jáe, táki merá nám waháṉ ho; par maiṉ ne Dáúd ko chun liyá, ki wuh merí qaum Isráíl par hákim ho. 17Aur mere báp Dáúd ke dil meṉ thá, ki Ḳhudáwand Isráíl ke Ḳhudá ke nám ke liye ek ghar banáe. 18Lekin Ḳhudáwand ne mere báp Dáúd se kahá, Chúṉki mere nám ke liye ek ghar banáne ká ḳhayál tere dil meṉ thá, so tú ne achchhá kiyá ki apne dil meṉ aisá ṭháná. 19Taubhí tú us ghar ko na banáná; balki terá beṭá jo tere sulb se niklegá wuh mere nám ke liye ghar banáegá. 20Aur Ḳhudáwand ne apní bát jo us ne kahí thí qáim kí hai; kyúṉki maiṉ apne báp Dáúd kí jagah uṭhá húṉ; aur jaisá Ḳhudáwand ne wa‘da kiyá thá, maiṉ Isráíl ke taḳht par baiṭhá húṉ; aur maiṉ ne Ḳhudáwand Isráíl ke Ḳhudá ke nám ke liye us ghar ko banáyá hai. 21Aur maiṉ ne waháṉ ek jagah us sandúq ke liye muqarrar kar dí hai, jis meṉ Ḳhudáwand ká wuh ‘ahd hai jo us ne hamáre bápdádá se jab wuh un ko mulk i Misr se nikál láyá báṉdhá thá.
22Aur Sulaimán ne Isráíl kí sárí jamá‘at ke rúbarú Ḳhudáwand ke mazbah ke áge khaṛe hokar apne háth ásmán kí taraf phailáe, 23aur kahá, Ai Ḳhudáwand, Isráíl ke Ḳhudá, terí mánind na to úpar ásmán meṉ, na níche zamín par koí Ḳhudá hai; tú apne un bandoṉ ke liye jo tere huzúr apne sáre dil se chalte haiṉ, ‘ahd aur rahmat ko nigáh rakhtá hai; 24tú ne apne bande mere báp Dáúd ke haqq meṉ wuh bát qáim rakkhí jis ká tú ne us se wa‘da kiyá thá; tú ne apne muṉh se farmáyá, aur apne háth se use púrá kiyá, jaisá áj ke din hai. 25So ab, ai Ḳhudáwand, Isráíl ke Ḳhudá, tú apne bande mere báp Dáúd ke sáth us qaul ko bhí púrá kar jo tú ne us se kiyá thá, ki Tere ádmíoṉ meṉ se mere huzúr Isráíl ke taḳht par baiṭhnewále kí kamí na hogí, basharte ki terí aulád, jaise tú mere huzur chaltá rahá, waise hí mere húzur chalne ke liye apní ráh kí ihtiyát rakkhe. 26So ab, ai Isráíl ke Ḳhudá, terá wuh qaul sachchá sábit kiyá jáe jo tú ne apne bande mere báp Dáúd se kiyá. 27Lekin kyá Ḳhudá fi’lhaqíqat zamín par sukúnat karegá? Dekh, ásmán balki ásmánoṉ ke ásmán meṉ bhí tú samá nahíṉ saktá; to yih ghar to kuchh bhí nahíṉ jise maiṉ ne banáyá. 28Taubhí, ai Ḳhudáwand mere Ḳhudá, apne bande kí du‘á aur munáját ká liház karke us faryád aur du‘á ko sun le, jo terá banda áj ke din tere huzúr kartá hai: 29táki terí áṉkheṉ is ghar kí taraf, ya‘ní usí jagah kí taraf jis kí bábat tú ne farmáyá, ki Maiṉ apná nám waháṉ rakkhúṉgá, din aur rát khulí raheṉ; táki tú us du‘á ko sune jo terá banda is maqám kí taraf ruḳh karke tujh se máṉgegá. 30Aur tú apne bande aur apní qaum Isráíl kí munáját ko, jab wuh is jagah kí taraf ruḳh karke kareṉ, sun lená; balki tú ásmán par se jo terí sukúnatgáh hai sun lená, aur sunkar mu‘áf kar dená. 31Agar koí shaḳhs apne paṛausí ká gunáh kare, aur use qasam khiláne ke liye us ko halaf diyá jáe, aur wuh ákar is ghar meṉ tere mazbah ke áge qasam kháe: 32to tú ásmán par se sunkar ‘amal karná, aur apne bandoṉ ká insáf karná, aur badkár par fatwá lagákar us ke a‘mál ko usí ke sir ḍálná, aur sádiq ko rást ṭhahrákar us kí sadáqat ke mutábiq use jazá dená. 33Jab terí qaum Isráíl terá gunáh karne ke bá‘is apne dushmanoṉ se shikast kháe, aur phir terí taraf rujú‘ láe, aur tere nám ká iqrár karke is ghar meṉ tujh se du‘á aur munáját kare: 34to tú ásmán par se sunkar apní qaum Isráíl ká gunáh mu‘áf karná, aur un ko phir is mulk meṉ jo tú ne un ke bápdádá ko diyá phir le áná. 35Jab is sabab se ki unhoṉ ne terá gunáh kiyá ho, ásmán band ho jáe, aur bárish na ho, aur wuh is maqám kí taraf ruḳh karke du‘á máṉgeṉ, aur tere nám ká iqrár kareṉ, aur apne gunáh se báz áeṉ, jab tú un ko dukh de: 36to tú ásmán par se sunkar apne bandoṉ aur apní qaum Isráíl ká gunáh mu‘áf kar dená, kyúṉki tú un ko us achchhí ráh kí ta‘lím detá hai jis par un ko chalná farz hai, aur apne mulk par jise tú ne apní qaum ko mírás ke liye diyá hai meṉh barsáná. 37Agar mulk meṉ kál ho, agar wabá ho, agar bád i samúm, yá gerúí, yá ṭiḍḍí, yá kamlá ho; agar un ke dushman un ke shahroṉ ke mulk meṉ un ko gher len, g̣araz kaisí hí balá, kaisí hí rog ho; 38to jo du‘á aur munáját kisí ek shaḳhs, yá terí qaum Isráíl kí taraf se ho, jin meṉ se har shaḳhs apne dil ká dukh jánkar apne háth is ghar kí taraf phailáe: 39to tú ásmán par se jo terí sukúnatgáh hai sunkar mu‘áf kar dená, aur aisá karná ki har ádmí ko, jis ke dil ko tú jántá hai, usí kí sárí rawish ke mutábiq badla dená; kyúṉki faqat tú hí sab baní Ádam ke diloṉ ko jántá hai; 40táki jitní muddat tak wuh us mulk meṉ jise tú ne hamáre bápdádá ko diyá jíte raheṉ, terá ḳhauf máneṉ. 41Ab rahá wuh pardesí jo terí qaum Isráíl meṉ se nahíṉ hai; wuh jab dúr mulk se tere nám kí ḳhátir áe; 42(kyúṉki wuh tere buzurg nám, aur qawí háth, aur baland bázú ká hál suneṉge;) so jab wuh áe, aur is ghar kí taraf ruḳh karke du‘á kare: 43to tú ásmán par se jo terí sukúnatgáh hai sun lená, aur jis jis bát ke liye wuh pardesí tujh se faryád kare, tú us ke mutábiq karná, táki zamín kí sab qaumeṉ tere nám ko pahcháneṉ, aur terí qaum Isráíl kí tarah terá ḳhauf máneṉ, aur ján leṉ ki yih ghar jise maiṉ ne banáyá hai tere nám ká kahlátá hai. 44Agar tere log ḳhwáh kisí ráste se tú un ko bheje, apne dushman se laṛne ko nikleṉ, aur wuh Ḳhudáwand se us shahr kí taraf jise tú ne chuná hai, aur us ghar kí taraf jise maiṉ ne tere nám ke liye banáyá hai ruḳh karke du‘á kareṉ; 45to tú ásmán par se un kí du‘á aur munáját sunkar un kí himáyat karná. 46Agar wuh terá gunáh kareṉ, (kyúṉki koí aisá ádmí nahíṉ jo gunáh na kartá ho,) aur tú un se náráz hokar un ko dushman ke hawále kar de, aisá ki wuh dushman un ko asír karke apne mulk meṉ le jáe, ḳhwáh wuh dúr ho yá nazdík; 47taubhí agar wuh us mulk meṉ, jaháṉ wuh asír hokar pahuṉcháe gaye, hosh meṉ áeṉ, aur rujú‘ láeṉ, aur apne asír karnewáloṉ ke mulk meṉ tujh se munáját kareṉ, aur kaheṉ, ki Ham ne gunáh kiyá, ham ṭeṛhí chál chale, aur ham ne sharárat kí; 48so agar wuh apne dushmanoṉ ke mulk meṉ jo un ko asír karke le gaye apne sáre dil aur apní sárí ján se terí taraf phireṉ, aur apne mulk kí taraf jo tú ne un ke bápdádá ko diyá aur is shahr kí taraf jise tú ne chun liyá aur is ghar kí taraf jo maiṉ ne tere nám ke liye banáyá hai ruḳh karke tujh se du‘á máṉgeṉ: 49to tú ásmán par se jo terí sukúnatgáh hai, un kí du‘á aur munáját sunkar un kí himáyat karná, 50aur apní qaum ko jis ne terá gunáh kiyá, aur un kí sári ḳhatáoṉ ko jo un se tere ḳhiláf sarzadd hoṉ mu‘áf kar dená, aur un ke asír karnewáloṉ ke áge un par rahm karná, táki wuh un par rahm kareṉ: 51kyúṉki wuh terí qaum aur terí mírás haiṉ jise tú Misr ke mulk se lohe ke bhaṭṭhe ke bích meṉ se nikál láyá: 52so terí áṉkheṉ tere bande kí munáját aur terí qaum Isráíl kí munáját kí taraf khulí raheṉ, táki jab kabhí wuh tujh se faryád kareṉ, tú un kí sune; 53kyúṉki tú ne zamín kí sab qaumoṉ meṉ se un ko alag kiyá, ki wuh terí mírás hoṉ, jaisá, ai málik Ḳhudáwand, tú ne apne bande Músá kí ma‘rifat farmáyá, jis waqt tú hamáre bápdádá ko Misr se nikál láyá.
54Aur aisá húá, ki jab Sulaimán Ḳhudáwand se yih sab munáját kar chuká, to wuh Ḳhudáwand ke mazbah ke sámne se, jaháṉ wuh apne háth ásmán kí taraf phailáe húe ghuṭne ṭeke thá, uṭhá, 55aur khaṛe hokar Isráíl kí sárí jamá‘at ko baland áwáz se barakat dí, aur kahá: 56Ḳhudáwand jis ne apne sab wa‘doṉ ke muwáfiq apní qaum Isráíl ko árám baḳhshá mubárak ho; kyúṉki jo sárá achchhá wa‘da us ne apne bande Músá kí ma‘rifat kiyá, us meṉ se ek bát bhí ḳhálí na gayí. 57Ḳhudáwand hamárá Ḳhudá hamáre sáth rahe, jaise wuh hamáre bápdádá ke sáth rahá, aur na ham ko tark kare, na chhoṛe: 58táki wuh hamáre diloṉ ko apní taraf máil kare, ki ham us kí sab ráhoṉ par chaleṉ, aur us ke farmánoṉ aur áín, aur ahkám ko jo us ne hamáre bápdádá ko diye máneṉ. 59Aur yih merí báteṉ jin ko maiṉ ne Ḳhudáwand ke huzúr munáját meṉ pesh kiyá hai din aur rát Ḳhudáwand hamáre Ḳhudá ke nazdík raheṉ, táki wuh apne bande kí dád, aur apní qaum Isráíl kí dád, har roz kí zarúrat ke mutábiq de; 60jis se zamín kí sab qaumeṉ ján leṉ ki Ḳhudáwand hí Ḳhudá hai, aur us ke siwá âur koí nahíṉ. 61So tumhárá dil áj kí tarah Ḳhudáwand hamáre Ḳhudá ke sáth us ke áín par chalne, aur us ke hukmoṉ ko mánne ke liye kámil rahe. 62Aur bádsháh ne aur us ke sáth sáre Isráíl ne Ḳhudáwand ke huzúr qurbání guzrání. 63Aur Sulaimán ne jo salámatí ke zabíhoṉ kí qurbání Ḳhudáwand ke huzúr guzrání, us meṉ us ne báís hazár bail aur ek lákh bís hazár bheṛeṉ chaṛháíṉ. Yúṉ bádsháh ne aur sab baní Isráíl ne Ḳhudáwand ká ghar maḳhsús kiyá. 64Usí din bádsháh ne sahn ke darmiyání hisse ko jo Ḳhudáwand ke ghar ke sámne thá muqaddas kiyá; kyúṉki us ne wahíṉ soḳhtaní qurbání, aur nazr kí qurbání, aur salámatí ke zabíhoṉ kí charbí guzrání: is liye ki pítal ká mazbah jo Ḳhudáwand ke sámne thá itná chhoṭá thá, ki us par soḳhtaní qurbání, aur nazr kí qurbání, aur salámatí ke zabíhoṉ kí charbí ke liye gunjáish na thí. 65So Sulaimán ne, aur us ke sáth sáre Isráíl ya‘ní ek baṛí jamá‘at ne jo Hamát ke madḳhal se lekar Misr kí nahr tak kí hudúd se áí thí Ḳhudáwand hamáre Ḳhudá ke huzúr sát roz aur phir sát roz aur, ya‘ní chaudah roz ‘íd manáí. 66Aur áṭhweṉ roz us ne un logoṉ ko ruḳhsat kar diyá; so unhoṉ ne bádsháh ko mubárakbád dí, aur us sárí nekí ke bá‘is jo Ḳhudáwand ne apne bande Dáúd, aur apní qaum Isráíl se kí thí, apne ḍeroṉ ko dil meṉ ḳhush aur masrúr hokar lauṭ gaye.

Currently Selected:

1 Salátín 8: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in