1 Salátín 7
7
1Aur Sulaimán terah baras apne mahall kí ta‘mír meṉ lagá rahá, aur apne mahall ko ḳhatm kiyá. 2Kyúṉki us ne apná mahall Lubnán ke ban kí lakṛí ká banáyá: us kí lambáí sau háth, aur chauṛáí pachás háth, aur úṉcháí tís háth thí, aur wuh deodár ke sutúnoṉ kí chár qatároṉ par baná thá; aur sutúnoṉ par deodár ke shahtír the. 3Aur wuh paiṉtálís shahtíroṉ ke úpar jo sutúnoṉ par ṭike the páṭ diyá gayá thá; har qatár meṉ pandrah shahtír the. 4Aur khiṛkiyoṉ kí tín qatáreṉ thíṉ, aur tínoṉ qatároṉ meṉ har ek rauzan dúsre rauzan ke muqábil thá. 5Aur sab darwáze, aur chaukhaṭeṉ murabba‘ shakl kí thíṉ; aur tínoṉ qatároṉ meṉ, har ek rauzan dúsre rauzan ke muqábil thá. 6Aur us ne sutúnoṉ ká barámada banáyá; us kí lambáí pachás háth, aur chauṛáí tís háth; aur in ke sámne ek ḍeoṛhí thí; aur in ke áge sutún aur moṭe moṭe shahtír the. 7Aur us ne taḳht ke liye ek barámada ya‘ní ‘adálat ká barámada banáyá, jaháṉ wuh ‘adálat kar sake; aur farsh se farsh tak use deodár se páṭ diyá. 8Aur us ke rahne ká mahall jo usí barámade ke andar dúsre sahn meṉ thá aise hí kám ká baná húá thá. Aur Sulaimán ne Fir‘aun kí beṭí ke liye jise us ne biyáhá thá usí barámade ke ḍhab ká ek mahall banáyá. 9Yih sab andar aur báhar bunyád se munḍer tak beshqímat pattharoṉ ya‘ní taráshe húe pattharoṉ ke bane húe the jo náp ke mutábiq ároṉ se chíre gaye the, aur aisá hí báhar báhar baṛe sahn tak thá. 10Aur bunyád beshqímat pattharoṉ ya‘ní baṛe baṛe pattharoṉ kí thí; yih patthar das das háth, aur áṭh áṭh háth ke the. 11Aur úpar náp ke mutábiq beshqímat patthar ya‘ní ghaṛe húe patthar aur deodár kí lakṛí lagí húí thí. 12Aur baṛe sahn meṉ girdágird ghaṛe húe pattharoṉ kí tín qatáreṉ aur deodár ke shahtíroṉ kí ek qatár waisí hí thí, jaisí Ḳhudáwand ke ghar ke andarúní sahn aur mahall ke barámade meṉ thí.
13Phir Sulaimán bádsháh ne Súr se Hírám ko bulwá liyá. 14Wuh Naftálí ke qabíle kí ek bewa ‘aurat ká beṭá thá, aur us ká báp Súr ká báshinda thá, aur ṭhaṭherá thá: aur wuh pítal ke sab kám kí kárígarí meṉ hikmat aur samajh aur mahárat rakhtá thá. So us ne Sulaimán bádsháh ke pás ákar us ká sab kám banáyá. 15Kyúṉki us ne aṭhárah aṭhárah háth úṉche pítal ke do sutún banáe, aur ek ek ká gher bárah háth ke sút ke barábar thá. 16Aur us ne sutúnoṉ kí choṭiyoṉ par rakhne ke liye pítal ḍhálkar do táj banáe; ek táj kí úṉcháí páṉch háth, aur dúsre táj kí úṉcháí bhí páṉch háth thí. 17Aur un tájoṉ ke liye jo sutúnoṉ kí choṭiyoṉ par the chárḳháne kí jáliyáṉ aur zanjírnumá hár the; sát ek táj ke liye, aur sát dúsre táj ke liye. 18So us ne wuh sutún banáe; aur sutúnoṉ kí choṭí ke úpar ke tájoṉ ko ḍháṉkne ke liye ek jálí ke kám par girdágird do qatáreṉ thíṉ: aur dúsre táj ke liye bhí us ne aisá hí kiyá. 19Aur un chár chár háth ke tájoṉ par jo barámade ke sutúnoṉ kí choṭí par the, sosan ká kám thá: 20aur un donoṉ sutúnoṉ par úpar kí taraf bhí jálí ke barábar kí goláí ke pás táj bane the: aur us dúsre táj par qatár dar qatár girdágird do sau anár the. 21Aur us ne haikal ke barámade meṉ wuh sutún khaṛe kiye; aur us ne dahine sutún ko khaṛá karke us ká nám Yákin rakkhá; aur báeṉ sutún ko khaṛá karke us ká nám Bo‘az rakkhá. 22Aur sutúnoṉ kí choṭí par sosan ká kám thá: yúṉ sutúnoṉ ká kám ḳhatm húá. 23Phir us ne ḍhálá húá ek baṛá hauz banáyá: wuh ek kanáre se dúsre kanáre tak das háth thá; wuh gol thá, aur balandí us kí páṉch háth thí; aur us ká gher girdágird tís háth ke sút ke barábar thá. 24Aur us ke kanáre ke níche girdágird dasoṉ háth tak laṭṭú the jo use ya‘ní baṛe hauz ko ghere húe the; yih laṭṭú do qatároṉ meṉ the, aur jab wuh ḍhálá gayá, tab hí yih bhí ḍhále gaye the. 25Aur wuh bárah bailoṉ par rakkhá gayá; tín ke muṉh shimál kí taraf, aur tín ke muṉh mag̣rib kí taraf, aur tín ke muṉh junúb kí taraf, aur tín ke muṉh mashriq kí taraf the; aur wuh baṛá hauz un hí par úpar kí taraf thá, aur un sabhoṉ ká pichhlá dhaṛ andar ke ruḳh thá. 26Aur dal us ká chár ungal thá, aur us ká kanára piyále ke kanáre kí tarah gul i sosan kí mánind thá; aur us meṉ do hazár bat kí samáí thí. 27Aur us ne pítal kí das kursíáṉ banáíṉ, ek ek kursí kí lambáí chár háth, aur chauṛáí chár háth, aur úṉcháí tín háth thí. 28Aur un kursíoṉ kí kárígarí is tarah kí thí: in ke háshiye the, aur paṭroṉ ke darmiyán bhí háshiye the: 29aur un háshiyoṉ par jo paṭroṉ ke darmiyán the sher, aur bail, aur karúbí bane the: aur un paṭroṉ par bhí ek kursí úpar kí taraf thí; aur sheroṉ aur bailoṉ ke níche laṭakte kám ke hár the. 30Aur har kursí ke liye chár chár pítal ke pahiye aur pítal hí ke dhure the, aur us ke chároṉ páyoṉ meṉ ṭekeṉ lagí thíṉ; yih ḍhalí húí ṭekeṉ hauz ke níche thíṉ, aur har ek ke pahlú meṉ hár bane the. 31Aur us ká muṉh táj ke andar aur báhar ek háth thá: aur wuh muṉh ḍeṛh háth thá, aur us ká kám kursí ke kám kí tarah gol thá: aur usí muṉh par naqqáshí ká kám thá, aur un ke háshiye gol nahíṉ, balki chaukor the. 32Aur wuh chároṉ pahiye háshiyoṉ ke níche the; aur pahiyoṉ ke dhure kursí meṉ lage the; aur har pahiye kí úṉcháí ḍeṛh háth thí. 33Aur pahiyoṉ ká kám rath ke pahiye ká sá thá; aur un ke dhure, aur un kí puṭhiyáṉ, aur un ke áre, aur un ke nábheṉ sab ke sab ḍhále húe the. 34Aur har kursí ke chároṉ konoṉ par chár ṭekeṉ thíṉ; aur ṭekeṉ aur kursí ek hí ṭukṛe kí thíṉ. 35Aur har kursí ke sire par ádh háth úṉchí chároṉ taraf goláí thí; aur kursí ke sire kí kaṉgniyáṉ aur háshiye usí ke ṭukṛe ke the. 36Aur us kí kaṉgniyoṉ ke páṭoṉ par, aur us ke háshiyoṉ par us ne karúbíoṉ, aur sheroṉ, aur khajúr ke daraḳhtoṉ ko har ek kí jagah ke mutábiq kanda kiyá, aur girdágird hár the. 37Dasoṉ kursíoṉ ko us ne is tarah banáyá; aur un sab ká ek hí sáṉchá, aur ek hí náp, aur ek hí súrat thí. 38Aur us ne pítal ke das hauz banáe; har ek hauz meṉ chálís bat kí samáí thí; aur har ek hauz chár háth ká thá; aur un dasoṉ kursíoṉ meṉ se har ek par ek hauz thá. 39Us ne páṉch kursíáṉ ghar kí dahiní taraf, aur páṉch ghar kí báíṉ taraf rakkhíṉ, aur baṛe hauz ko ghar ke dahine mashriq kí taraf junúb ke ruḳh par rakkhá. 40Aur Hírám ne hauzoṉ, aur belchoṉ, aur kaṭoroṉ ko bhí banáyá. Pas Hírám ne wuh sab kám jise wuh Sulaimán bádsháh kí ḳhátir Ḳhudáwand ke ghar meṉ baná rahá thá tamám kiyá: 41ya‘ní donoṉ sutún, aur sutúnoṉ kí choṭí par tájoṉ ke donoṉ piyále, aur sutúnoṉ kí choṭí par ke tájoṉ ke donoṉ piyáloṉ ko ḍháṉkne kí donoṉ jáliyáṉ; 42aur donoṉ jáliyoṉ ke liye chár sau anár, ya‘ní sutúnoṉ par ke tájoṉ ke donoṉ piyáloṉ ke ḍháṉkne kí har jálí ke liye anároṉ kí do do qatáreṉ; 43aur dasoṉ kursíáṉ, aur dasoṉ kursíoṉ par ke dasoṉ hauz; 44aur wuh baṛá hauz, aur baṛe hauz ke níche ke bárah bail; 45aur wuh degeṉ, aur belche aur kaṭore: yih sab zurúf jo Hírám ne Sulaimán bádsháh kí ḳhátir Ḳhudáwand ke ghar meṉ banáe jhalakte húe pítal ke the. 46Bádsháh ne un sab ko Yardan ke maidán meṉ Sukkát aur Zartán ke bích kí chikní miṭṭíwálí zamín meṉ ḍhálá. 47Aur Sulaimán ne un sab zurúf ko bag̣air tole chhoṛ diyá; kyúṉki wuh bahut se the; so us pítal ká wazn ma‘lúm na ho saká. 48Aur Sulaimán ne wuh sab zurúf banáe jo Ḳhudáwand ke ghar meṉ the; ya‘ní wuh sone ká mazbah, aur sone kí mez jis par nazr kí roṭí rahtí thí; 49aur ḳhális sone ke wuh sham‘adán jo ilhámgáh ke áge páṉch dahine aur páṉch báeṉ the, aur sone ke phúl, aur chirág̣, aur chimṭe, 50aur ḳhális sone ke piyále, aur gultarásh, aur kaṭore aur chamche, aur ‘údsoz; aur andarúní ghar, ya‘ní páktarín makán ke darwáze ke liye, aur ghar ke, ya‘ní haikal ke darwáze ke liye sone ke qabze. 51Yúṉ wuh sab kám jo Sulaimán bádsháh ne Ḳhudáwand ke ghar meṉ banáyá ḳhatm húá. Aur Sulaimán apne báp Dáúd kí maḳhsús kí húí chízoṉ ya‘ní sone, aur chándí, aur zurúf ko andar láyá, aur un ko Ḳhudáwand ke ghar ke ḳhazánoṉ meṉ rakkhá.
Currently Selected:
1 Salátín 7: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)