YouVersion Logo
Search Icon

1 Salátín 6

6
1Aur baní Isráíl ke mulk i Misr se nikal áne ke ba‘d chár sau assíweṉ sál Isráíl par Sulaimán kí saltanat ke chauthe baras, Zíw ke mahíne meṉ, jo dúsrá mahína hai, aisá húá, ki us ne Ḳhudáwand ká ghar banáná shurú‘ kiyá. 2Aur jo ghar Sulaimán bádsháh ne Ḳhudáwand ke liye banáyá, us kí lambáí sáṭh háth, aur chauṛáí bís háth, aur úṉcháí tís háth thí. 3Aur us ghar kí haikal ke sámne ek barámada us ghar kí chauṛáí ke mutábiq bís háth lambá thá, aur us ghar ke sámne us kí chauṛáí das háth thí. 4Aur us ne us ghar ke liye jharoke banáe, jin meṉ jálí jaṛí húí thí. 5Aur us ne girdágird ghar kí díwár se lagí húí, ya‘ní haikal aur ilhámgáh kí díwároṉ se lagí húí, girdágird manzileṉ banáíṉ, aur hujre bhí girdágird banáe. 6Sab se nichlí manzil páṉch háth chauṛí, aur barámada us ghar kí chauṛáí ke tísrí sát háth chauṛí thí; kyúṉki us ne ghar kí díwár ke girdágird báhar ke ruḳh pushte banáe the, táki kaṛiyáṉ ghar kí díwároṉ ko pakṛe húe na hoṉ. 7Aur wuh ghar jab ta‘mír ho rahá thá, to aise pattharoṉ ká banáyá gayá jo kán par taiyár kiye játe the: so us kí ta‘mír ke waqt na mártol, na kulháṛí, na lohe ke kisí auzár kí áwáz us ghar meṉ sunáí dí. 8Aur bích ke hujroṉ ká darwáza us ghar kí dahiní taraf thá: aur chakkardár síṛhiyoṉ se bích kí manzil ke hujroṉ meṉ, aur bích kí manzil se tísrí manzil ko jáyá karte the. 9So us ne wuh ghar banákar use tamám kiyá, aur us ghar ko deodár ke shahtíroṉ aur taḳhtoṉ se páṭá. 10Aur us ne us púre ghar se lagí húí páṉch páṉch háth úṉchí manzileṉ banáíṉ; aur wuh deodár kí lakṛiyoṉ ke saháre us ghar par ṭikí húí thíṉ.
11Aur Ḳhudáwand ká kalám Sulaimán par názil húá, ki 12Yih ghar jo tú banátá hai, so agar tú mere áín par chale, aur mere hukmoṉ ko púrá kare, aur mere farmánoṉ ko mánkar un par ‘amal kare, to maiṉ apná wuh qaul jo maiṉ ne tere báp Dáúd se kiyá, tere sáth qáim rakkhúṉgá; 13aur maiṉ baní Isráíl ke darmiyán rahúṉgá, aur apní qaum Isráíl ko tark na karúṉgá.
14Pas Sulaimán ne wuh ghar banákar use tamám kiyá. 15Aur us ne andar ghar kí díwároṉ par deodár ke taḳhte lagáe, is ghar ke farsh se chhat kí díwároṉ tak us ne un par laḳrí lagáí: aur us ne us ghar ke farsh ko sanaubar ke taḳhtoṉ se páṭ diyá. 16Aur us ne us ghar ke pichhle hisse meṉ bís háth tak farsh se díwároṉ tak deodár ke taḳhte lagáe: us ne ise us ke andar banáyá táki wuh ilhámgáh ya‘ní páktarín makán ho. 17Aur wuh ghar ya‘ní ilhámgáh ke sámne kí haikal chálís háth lambí thí. 18Aur us ghar ke andar andar deodár thá, jis par laṭṭú aur khile húe phúl kanda kiye gaye the; sab deodár hí thá, aur patthar mutlaq nazar nahíṉ átá thá. 19Aur us ne us ghar ke andar bích meṉ ilhámgáh taiyár kí, táki Ḳhudáwand ke ‘ahd ká sandúq waháṉ rakkhá jáe. 20Aur ilhámgáh andar hí andar se bís háth lambí, aur bís háth chauṛí, aur bís háth úṉchí thí; aur us ne us par ḳhális soná manḍhá: aur mazbah ko deodár se páṭá. 21Aur Sulaimán ne us ghar ko andar andar ḳhális sone se manḍhá: aur ilhámgáh ke sámne us ne sone kí zanjíreṉ tán díṉ, aur us par bhí soná manḍhá. 22Aur us púre ghar ko, jab tak ki wuh sárá ghar tamám na ho gayá, us ne sone se manḍhá: aur ilhámgáh ke púre mazbah par bhí us ne soná manḍhá. 23Aur ilhámgáh meṉ us ne zaitún kí lakṛí ke do karúbí das das háth úṉche banáe: 24aur karúbí ká ek bázú páṉch háth ká, aur us ká dúsrá bázú bhí páṉch hí háth ká thá: ek bázú ke sire se dúsre bázú ke sire tak das háth ká fásila thá. 25Aur das hí háth ká dúsrá karúbí thá: donoṉ karúbí ek hí náp, aur ek hí súrat ke the: 26ek karúbí kí úṉcháí das háth thí, aur itní hí dúsre karúbí kí thí. 27Aur us ne donoṉ karúbíoṉ ko bhítar ke makán ke andar rakkhá: aur karúbíoṉ ke bázú phaile húe the, aisá ki ek ká bázú ek díwár se, aur dúsre ká bázú dúsrí díwár se lagá húá thá; aur un ke bázú ghar ke bích meṉ ek dúsre se mile húe the. 28Aur us ne karúbíoṉ par soná manḍhá. 29Aur us ne us ghar kí sab díwároṉ par, girdágird, andar aur báhar karúbíoṉ, aur khajúr ke daraḳhtoṉ, aur khile húe phúloṉ kí khudí húí súrateṉ kanda kíṉ. 30Aur us ghar ke farsh par us ne andar aur báhar soná manḍhá. 31Aur ilhámgáh meṉ dáḳhil hone ke liye us ne zaitún kí lakṛí ke darwáze banáe: úpar kí chaukhaṭ aur bázúoṉ ká ‘arz díwár ká páṉchwáṉ hissa thá. 32Donoṉ darwáze zaitún kí lakṛí ke the; aur us ne un par karúbíoṉ, aur khajúr ke daraḳhtoṉ aur khile húe phúloṉ kí khudí húí súrateṉ kanda kíṉ; aur un par soná manḍhá; aur is sone ko karúbíoṉ par aur khajúr ke daraḳhtoṉ par phailá diyá. 33Aise hí haikal meṉ dáḳhil hone ke liye us ne zaitún kí lakṛí kí chaukhaṭ banáí jo díwár ká chauthá hissa thí. 34Aur sanaubar kí lakṛí ke do darwáze the: ek darwáze ke donoṉ paṭ duhre ho játe, aur dúsre darwáze ke bhí donoṉ paṭ duhre ho játe the. 35Aur in par karúbíoṉ, aur khajúr ke daraḳhtoṉ aur khile húe phúloṉ ko us ne kanda kiyá; aur khude húe kám par soná manḍhá. 36Aur andar ke sahn kí tín saffeṉ taráshe húe patthar kí banáíṉ, aur ek saff deodár ke shahtíroṉ kí. 37Chauthe sál Zíw ke mahíne meṉ Ḳhudáwand ke ghar kí bunyád ḍálí gayí: 38aur gyárahweṉ sál Búl ke mahíne meṉ jo áṭhwáṉ mahína hai wuh ghar apne sáre hissoṉ samet apne naqshe ke mutábiq bankar taiyár húá. Yúṉ us ke banáne meṉ use sát sál lage.

Currently Selected:

1 Salátín 6: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in