1 Salátín 5
5
1Aur Súr ke bádsháh Hírám ne apne ḳhádimoṉ ko Sulaimán ke pás bhejá; kyúṉki us ne suná thá, ki unhoṉ ne use us ke báp kí jagah masah karke bádsháh banáyá hai; is liye ki Hírám hamesha Dáúd ká dost rahá thá. 2Aur Sulaimán ne Hírám ko kahlá bhejá, ki 3Tú jántá hai, ki merá báp Dáúd Ḳhudáwand apne Ḳhudá ke nám ke liye ghar na baná saká; kyúṉki us ke chaugird har taraf laṛáiyáṉ hotí rahíṉ, jab tak ki Ḳhudáwand ne un sab ko us ke páṉwoṉ ke talwoṉ ke níche na kar diyá. 4Aur ab Ḳhudáwand mere Ḳhudá ne mujh ko har taraf amn diyá hai; na to koí muḳhálif hai, na áfat kí már. 5So dekh, Ḳhudáwand apne Ḳhudá ke nám ke liye ek ghar banáne ká merá iráda hai, jaisá Ḳhudáwand ne mere báp Dáúd se kahá thá, ki Terá beṭá, jis ko maiṉ terí jagah tere taḳht par biṭháúṉgá, wuhí mere nám ke liye ghar banáegá. 6So ab tú hukm kar ki wuh mere liye Lubnán se deodár ke daraḳhtoṉ ko káṭeṉ; aur mere mulázim tere mulázimoṉ ke sáth raheṉge: aur maiṉ tere mulázimoṉ ke liye jitní ujrat tú kahegá tujhe dúṉgá; kyúṉki tú jántá hai, ki ham meṉ aisá koí nahíṉ jo Saidáníoṉ kí tarah lakṛí káṭná jántá ho. 7Jab Hírám ne Sulaimán kí báteṉ suníṉ, to niháyat ḳhush húá, aur kahne lagá, ki Áj ke din Ḳhudáwand mubárak ho jis ne Dáúd ko is baṛí qaum ke liye ek ‘aqlmand beṭá baḳhshá. 8Aur Hírám ne Sulaimán ko kahlá bhejá, ki Jo paig̣ám tú ne mujhe bhejá, maiṉ ne us ko sun liyá hai; aur maiṉ deodár kí lakṛí aur sanaubar kí lakṛí ke báre meṉ terí marzí púrí karúṉgá. 9Mere mulázim un ko Lubnán se utárkar samundar tak láeṉge; aur maiṉ un ke beṛe bandhwá dúṉgá táki samundar hí samundar us jagah jáeṉ jise tú ṭhahráe, aur waháṉ un ko khulwá dúṉgá; phir tú un ko le lená, aur tú mere gharáne ke liye rasad dekar merí marzí púrí karná. 10Pas Hírám ne Sulaimán ko us kí marzí ke mutábiq deodár kí lakṛí aur sanaubar kí lakṛí dí. 11Aur Sulaimán ne Hírám ko us ke gharáne ke kháne ke liye bís hazár kor gehúṉ aur bís kor ḳhális tel diyá: isí tarah Sulaimán Hírám ko sál ba sál detá rahá. 12Aur Ḳhudáwand ne Sulaimán ko, jaisá us ne us se wa‘da kiyá thá, hikmat baḳhshí: aur Hírám aur Sulaimán ke darmiyán sulh thí; aur un donoṉ ne báham ‘ahd báṉdh liyá.
13Aur Sulaimán bádsháh ne sáre Isráíl meṉ se begárí lagáe; wuh begárí tís hazár ádmí the. 14Aur wuh har mahíne un meṉ se das das hazár ko bárí bárí se Lubnán bhejtá thá: so wuh ek mahína Lubnán par, aur do mahíne apne ghar rahte: aur Adúnirám un begáríoṉ ke úpar thá. 15Aur Sulaimán ke sattar hazár bojh uṭhánewále, aur assí hazár daraḳht káṭnewále paháṛoṉ meṉ the; 16in ke ‘aláwa Sulaimán ke tín hazár tín sau ḳháss mansabdár the jo is kám par muḳhtár the, aur un logoṉ par jo kám karte the sardár the. 17Aur bádsháh ke hukm se wuh baṛe baṛe beshqímat patthar nikálkar láe, táki mahall kí bunyád ghaṛe húe pattharoṉ kí ḍálí jáe. 18Aur Sulaimán ke mi‘mároṉ, aur Hírám ke mi‘mároṉ, aur Jibalíoṉ ne un ko taráshá, aur mahall kí ta‘mír ke liye lakṛí aur pattharoṉ ko taiyár kiyá.
Currently Selected:
1 Salátín 5: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)