YouVersion Logo
Search Icon

1 Salátín 9

9
1Aur aisá húá, ki jab Sulaimán Ḳhudáwand ká ghar aur sháhí mahall baná chuká, aur jo kuchh Sulaimán karná cháhtá thá, wuh sab ḳhatm ho gayá, 2to Ḳhudáwand Sulaimán ko dúsrí bár dikháí diyá, jaise wuh Jiba‘ún meṉ dikháí diyá thá. 3Aur Ḳhudáwand ne us se kahá, Maiṉ ne terí du‘á aur munáját jo tú ne mere huzúr kí hai sun lí; aur is ghar meṉ jise tú ne banáyá hai apná nám hamesha tak rakhne ke liye maiṉ ne use muqaddas kiyá; aur merí áṉkheṉ aur merá dil sadá waháṉ lage raheṉge. 4Ab rahá tú; so agar tú jaise terá báp Dáúd chalá, waise hí mere huzúr ḳhulús i dil aur rástí se chalkar us sab ke mutábiq jo maiṉ ne tujhe farmáyá ‘amal karegá, aur mere áín, aur ahkám ko máne: 5to maiṉ terí saltanat ká taḳht Isráíl ke úpar hamesha qáim rakkhúṉgá, jaisá maiṉ ne tere báp Dáúd se wa‘da kiyá, aur kahá, ki Terí nasl meṉ Isráíl ke taḳht par baiṭhne ke liye ádmí kí kamí na hogí. 6Lekin tum ho yá tumhárí aulád, agar tum merí pairawí se bargashta ho jáo, aur mere ahkám aur áín ko jo maiṉ ne tumháre áge rakkhe haiṉ na máno, balki jákar âur ma‘búdoṉ kí ‘ibádat karne, aur un ko sijda karne lago: 7to maiṉ Isráíl ko us mulk se jo maiṉ ne un ko diyá hai káṭ ḍálúṉgá; aur us ghar ko jise maiṉ ne apne nám ke liye muqaddas kiyá hai apní nazar se dúr kar dúṉgá; aur Isráíl sárí qaumoṉ meṉ zarbu’l masal aur angushtnumá hogá: 8aur agarchi yih ghar aisá mumtáz hai, taubhí har ek jo us ke pás se guzregá hairán hogá aur suskáregá; aur wuh kaheṉge, ki Ḳhudáwand ne is mulk aur is ghar se aisá kyúṉ kiyá? 9Tab wuh jawáb deṉge, Is liye ki unhoṉ ne Ḳhudáwand apne Ḳhudá ko jo un ke bápdádá ko mulk i Misr se nikál láyá tark kiyá, aur g̣air ma‘búdoṉ ko thámkar un ko sijda karne, aur un kí parastish karne lage; isí liye Ḳhudáwand ne un par yih sárí musíbat názil kí.
10Aur bís baras ke ba‘d jin meṉ Sulaimán ne wuh donoṉ ghar, ya‘ní Ḳhudáwand ká ghar, aur sháhí mahall banáe, aisá húá, ki 11chúṉki Súr ke bádsháh Hírám ne Sulaimán ke liye deodár kí aur sanaubar kí lakṛí, aur soná us kí marzí ke mutábiq muhaiyá kiyá thá, is liye Sulaimán bádsháh ne Galíl ke mulk meṉ bís shahr Hírám ko diye. 12Aur Hírám un shahroṉ ko jo Sulaimán ne use diye the dekhne ke liye Súr se niklá; par wuh use pasand na áe. 13So us ne kahá, Ai mere bháí, yih kyá shahr haiṉ jo tú ne mujhe diye? Aur us ne us ká nám Kabúl ká mulk rakkhá jo áj tak chalá átá hai. 14Aur Hírám ne bádsháh ke pás ek sau bís qintár soná bhejá.
15Aur Sulaimán bádsháh ne jo begárí lagáe, to isí liye lagáe ki wuh Ḳhudáwand ke ghar, aur apne mahall ko, aur Millo aur Yarúshalem kí shahrpanáh, aur Hasúr, aur Majiddo, aur Jazar ko banáe. 16Aur Misr ke bádsháh Fir‘aun ne chaṛháí karke, aur Jazar ko sar karke use ág se phúṉk diyá thá, aur un Kan‘áníoṉ ko jo us shahr meṉ base húe the qatl karke use apní beṭí ko jo Sulaimán kí bíwí thí jahez meṉ de diyá thá. 17So Sulaimán ne Jazar, aur Bait Haurún Asfal ko, 18aur Ba‘lát, aur biyábán ke Tamar ko banáyá jo mulk ke andar haiṉ, 19aur zaḳhíroṉ ke sab shahroṉ ko jo Sulaimán ke pás the, aur apne rathoṉ ke liye shahroṉ ko, aur apne sawároṉ ke liye shahroṉ ko, aur jo kuchh Sulaimán ne apní marzí se Yarúshalem meṉ, aur Lubnán meṉ, aur apní mamlukat kí sárí zamín meṉ banáná cháhá, banáyá; 20aur wuh sab log jo Amoríoṉ aur Hittíoṉ aur Farizzíoṉ, aur Hawwíoṉ, aur Yabúsíoṉ meṉ se báqí rah gaye the, aur baní Isráíl meṉ se na the, 21so un kí aulád ko jo un ke ba‘d mulk meṉ báqí rahí, jin ko baní Isráíl púre taur par nábúd na kar sake, Sulaimán ne g̣ulám banákar begár meṉ lagáyá, jaisá áj tak hai. 22Lekin Sulaimán ne baní Isráíl meṉ se kisí ko g̣ulám na banáyá; balki wuh us ke jangí mard aur mulázim, aur umará, aur faují sardár, aur us ke rathoṉ aur sawároṉ ke hákim the. 23Aur wuh ḳháss mansabdár jo Sulaimán ke kám par muqarrar the, páṉch sau pachás the, yih un logoṉ par jo kám baná rahe the sardár the. 24Aur Fir‘aun kí beṭí Dáúd ke shahr se apne us mahall meṉ jo Sulaimán ne us ke liye banáyá thá áí: tab Sulaimán ne Millo ko ta‘mír kiyá. 25Aur Sulaimán sál meṉ tín bár us mazbah par jo us ne Ḳhudáwand ke liye banáyá thá soḳhtaní qurbáníoṉ, aur salámatí ke zabíhe guzrántá thá; aur un ke sáth us mazbah par jo Ḳhudáwand ke áge thá baḳhúr jalátá thá. Is tarah us ne us ghar ko tamám kiyá.
26Phir Sulaimán bádsháh ne ‘Asyún Jábar meṉ jo Adom ke mulk meṉ bahr i Qulzum ke kanáre Ailút ke pás hai, jaházoṉ ká beṛá banáyá. 27Aur Hírám ne apne mulázim Sulaimán ke mulázimoṉ ke sáth us beṛe meṉ bheje; wuh malláh the jo samundar se wáqif the. 28Aur wuh Ofír ko gaye, aur waháṉ se chár sau bís qintár soná lekar use Sulaimán bádsháh ke pás láe.

Currently Selected:

1 Salátín 9: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in