YouVersion Logo
Search Icon

1 Kurinthíoṉ 9

9
1Kyá maiṉ ázád nahíṉ? Kyá maiṉ rasúl nahíṉ? Kyá maiṉ ne Yisúʻ ko nahíṉ dekhá, jo hamárá Ḳhudáwand hai? Kyá tum Ḳhudáwand meṉ mere banáe húe nahíṉ? 2Agar maiṉ auroṉ ke liye rasúl nahíṉ, to tumháre liye to beshakk húṉ: kyúṉki tum ḳhud Ḳhudáwand meṉ merí rísálat par muhr ho. 3Jo merá imtihán karte haiṉ, un ke liye merá yihí jawáb hai. 4Kyá hameṉ kháne píne ká iḳhtiyár nahíṉ? 5Kyá ham ko yih iḳhtiyár nahíṉ, ki kisí Masíhí bahin ko biyáhkar liye phireṉ, jaisá âur rasúl, aur Ḳhudáwand ke bháí, aur Kefá karte haiṉ? 6Yá sirf mujhe aur Bar Nabá ko hí mihnat mashaqqat se báz rahne ká iḳhtiyár nahíṉ? 7Kaun sá sipáhí kabhí apní girah se khákar jang kartá hai? Kaun angúr ká bág lagákar us ká phal nahíṉ khátá? yá kaun galla charákar us galle ká dúdh nahíṉ pítá? 8Kyá maiṉ yih báteṉ insání qiyás hí ke muwáfiq kahtá húṉ? Kyá Tauret bhí yihí nahíṉ kahtí? 9Chunáṉchi Músá kí Tauret meṉ likhá hai, ki Dáeṉ meṉ chalte húe bail ká muṉh na báṉdhná. Kyá Ḳhudá ko bailoṉ kí fikr hai? 10Yá ḳháss hamáre wáste yih kahtá hai? Háṉ, yih hamáre wáste likhá gayá; kyúṉki munásib hai ki jotnewálá ummed par jote, aur dáeṉ chalánewálá hissa páne kí ummed par dáeṉ chaláe. 11Pas jab ham ne tumháre liye rúhání chízeṉ boíṉ, to kyá yih koí baṛí bát hai, ki ham tumhárí jismání chízoṉ kí fasl káṭeṉ? 12Jab auroṉ ká tum par yih iḳhtiyár hai, to kyá hamárá is se ziyáda na hogá? Lekin ham ne is iḳhtiyár se kám na liyá; balki har chíz kí bardásht karte haiṉ, táki hamáre báʻis Masíh kí ḳhushḳhabarí meṉ harj na ho. 13Kyá tum nahíṉ jánte, ki jo muqaddas chízoṉ kí ḳhidmat karte haiṉ, wuh haikal se kháte haiṉ? aur jo qurbángáh ke ḳhidmatguzár haiṉ, wuh qurbángáh ke sáth hissa páte haiṉ? 14Isí tarah Ḳhudáwand ne bhí muqarrar kiyá hai, ki ḳhushḳhabarí sunánewále ḳhushḳhabarí ke wasíle se guzára kareṉ. 15Lekin maiṉ ne in meṉ se kisí bát par ʻamal nahíṉ kiyá: aur na is garaz se yih likhá, ki mere wáste aisá kiyá jáe: kyúṉki merá marná hí is se bihtar hai ki koí merá faḳhr kho de. 16Agar ḳhushḳhabarí sunáúṉ, to merá kuchh faḳhr nahíṉ; kyúṉki yih to mere liye zarúrí bát hai; balki mujh par afsos hai agar ḳhushḳhabarí na sunáúṉ. 17Kyúṉki agar apní marzí se yih kartá húṉ to mere liye ajr hai; aur agar apní marzí se nahíṉ kartá, to muḳhtárí mere supurd húí hai. 18Pas mujhe kyá ajr miltá hai? Yih, ki jab Injíl kí manádí karúṉ, to ḳhushḳhabarí ko muft kar dúṉ, táki jo iḳhtiyár mujhe ḳhushḳhabarí ke báre meṉ hásil hai, us ke muwáfiq púrá ʻamal na karúṉ. 19Agarchi maiṉ sab logoṉ se ázád húṉ, phir bhí maiṉ ne apne áp ko sab ká gulám baná diyá hai, táki âur bhí ziyáda logoṉ ko kheṉch láúṉ. 20Maiṉ Yahúdíoṉ ke liye Yahúdí baná, táki Yahúdíoṉ ko kheṉch láúṉ; jo log sharíʻat ke mátaht haiṉ, un ke liye maiṉ sharíʻat ke mátaht baná, táki sharíʻat ke mátahtoṉ ko kheṉch láúṉ, agarchi ḳhud sharíʻat ke mátaht na thá; 21besharaʻ logoṉ ke liye besharaʻ baná, táki besharaʻ logoṉ ko kheṉch láúṉ, (agarchi Ḳhudá ke nazdík besharaʻ na thá, balki Masíh kí sharíʻat ke tábiʻ thá). 22Kamzoroṉ ke liye kamzor baná, táki kamzoroṉ ko kheṉch láúṉ: maiṉ sab ádmíoṉ ke liye sab kuchh baná húá húṉ, táki kisí tarah se baʻz ko bacháúṉ. 23Aur maiṉ sab kuchh Injíl kí ḳhátir kartá húṉ, táki auroṉ ke sáth us meṉ sharík húṉ. 24Kyá tum nahíṉ jánte ki maidán ke dauṛnewále dauṛte to sab hí haiṉ, magar inʻám ek hí le játá hai? Tum bhí aise hí dauṛo, táki jíto. 25Aur har pahlawán sab tarah ká parhez kartá hai; wuh log to murjhánewálá sihrá páne ke liye yih karte haiṉ, magar ham us sihre ke liye karte haiṉ, jo nahíṉ muijhátá. 26Pas maiṉ bhí isí tarah dauṛtá húṉ, yaʻní beṭhikáná nahíṉ; maiṉ isí tarah mukkoṉ se laṛtá húṉ, yaʻní us kí mánind nahíṉ, jo hawá ko mártá hai: 27balki maiṉ apne badan ko mártá kúṭtá, aur use qábú meṉ rakhtá húṉ: aisá na ho ki auroṉ meṉ manádí kárke áp námaqbúl ṭhahrúṉ.

Currently Selected:

1 Kurinthíoṉ 9: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in