YouVersion Logo
Search Icon

1 Kurinthíoṉ 8

8
1Ab butoṉ kí qurbáníoṉ kí bábat yih hai. Ham jánte haiṉ, ki ham sab ʻilm rakhte haiṉ. ʻIlm gurúr paidá kartá hai, lekin mahabbat taraqqí ká báʻis hai. 2Agar koí gumán kare, ki maiṉ kuchh jántá húṉ, to jaisá jánná cháhiye, waisá ab tak nahíṉ jántá; 3lekin jo koí Ḳhudá se mahabbat rakhtá hai, us ko Ḳhudá pahchántá hai. 4Pas butoṉ kí qurbáníoṉ ke gosht kháne kí nisbat, ham jánte haiṉ ki but dunyá meṉ koí chíz nahíṉ; aur siwá ek ke, âur koí Ḳhudá nahíṉ. 5Agarchi ásmán o zamín meṉ bahút se ḳhudá kahláte haiṉ; (chunáṉchi bahutere ḳhudá aur bahutere ḳhudáwand haiṉ); 6lekin hamáre nazdík to ek hí Ḳhudá hai, yaʻní Báp, jis kí taraf se sárí chízeṉ haiṉ, aur ham usí ke liye haiṉ; aur ek hí Ḳhudáwand hai, yaʻní Yisúʻ Masíh, jis ke wasíle se sárí chízeṉ maujúd húíṉ, aur ham bhí usí ke wasíle se haiṉ. 7Lekin sab ko yih ʻilm nahíṉ, balki baʻz ko ab tak butparastí kí ʻádat hai; is liye us gosht ko but kí qurbání jánkar kháte haiṉ, aur un ká dil chúṉki kamzor hai álúda ho játá hai. 8Kháná hameṉ Ḳhudá se nahíṉ miláegá; agar na kháeṉ, to hamárá kuchh nuqsán nahíṉ; aur agar kháeṉ, to kuchh nafaʻ nahíṉ. 9Lekin hoshyár raho, aisá na ho ki tumhárí yih ázádí kamzoroṉ kí ṭhokar ká báʻis ho jáe. 10Kyúṉki agar koí tujh sáhib i ʻilm ko butḳháne meṉ kháná kháte dekhe, aur wuh kamzor shaḳhs ho, to kyá us ká dil butoṉ kí qurbání kháne par diler na ho jáegá? 11G̣araz tere ʻilm ke sabab se wuh kamzor shaḳhs, yaʻni wuh bháí jis kí ḳhátir Masíh múá, halák ho jáegá; 12aur tum is tarah bháiyoṉ ke gunahgár hokar, aur un ke kamzor dil ko gháyal karke Masíh ke gunahgár ṭhahrte ho. 13Is sabab se agar kháná mere bháí ko ṭhokar khiláe, to maiṉ kabhí hargiz gosht na kháúṉgá; táki apne bháí kí ṭhokar ká sabab na húṉ.

Currently Selected:

1 Kurinthíoṉ 8: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in