YouVersion Logo
Search Icon

1 Kurinthíoṉ 10

10
1Ai bháiyo, maiṉ tumhárá is se náwáqif rahná nahíṉ cháhtá, ki hamáre sáre bápdádá bádal ke níche the, aur sab ke sab samundar meṉ se guzre; 2aur sab hí ne us bádal aur samundar meṉ Músá ká baptisma liyá; 3aur sab ne ek hí rúhání ḳhurák kháí; 4aur sab ne ek hí rúhání pání piyá: kyúṉki wuh us rúhání chaṭán meṉ se pání píte the, jo un ke sáth sáth chaltí thí: aur wuh chaṭán Masíh thá. 5Magar un meṉ aksaroṉ se Ḳhudá rází na húá; chunáṉchi wuh biyábán meṉ ḍher ho gaye. 6Yih báteṉ hamáre wáste ʻibrat ṭhahríṉ, táki ham burí chízoṉ kí ḳhwáhish na kareṉ, jaise unhoṉ ne kí. 7Aur tum butparast na bano, jis tarah baʻz un meṉ ban gaye the; chunáṉchi likhá hai, ki Log kháne píne baiṭhe, phir náchne kúdne uṭhe. 8Aur ham harámkárí na kareṉ, jis tarah un meṉ se baʻz ne kí, aur ek hí din meṉ teís hazár máre gaye. 9Aur ham Ḳhudáwand kí ázmáish na kareṉ, jaise un meṉ se baʻz ne kí, aur sáṉpoṉ ne unheṉ halák kiyá. 10Aur tum buṛbuṛáo nahíṉ, jis tarah un meṉ se baʻz buṛbuṛáe, aur halák karnewále se halák húe. 11Yih báteṉ un par ʻibrat ke liye wáqiʻ húíṉ, aur ham áḳhirí zamánewáloṉ kí nasíhat ke wáste likhí gayíṉ. 12Pas jo koí apne áp ko qáim samajhtá hai, wuh ḳhabardár rahe, ki gir na paṛe. 13Tum kisí aisí ázmáish meṉ nahíṉ paṛe, jo insán kí bardásht se báhar ho. Aur Ḳhudá sachchá hai; wuh tum ko tumhárí táqat se ziyáda ázmáish meṉ na paṛne degá; balki ázmáish ke sáth nikalne kí ráh bhí paidá kar degá, táki tum bardásht kar sako.
14Is sabab se, ai mere piyáro, butparastí se bhágo. 15Maiṉ ʻaqlmand jánkar tum se kalám kartá húṉ; jo maiṉ kahtá húṉ, tum áp use parkho. 16Wuh barakat ká piyála jis par ham barakat cháhte naiṉ, kyá Masíh ke ḳhún kí shirákat nahíṉ? Wuh roṭí jise ham toṛte haiṉ, kyá Masíh ké badan kí shirákat nahíṉ? 17Chúṉki roṭí ek hí hai, is liye ham jo bahut se haiṉ ek badan haiṉ, kyúṉki ham sab usí ek roṭí meṉ sharík hote haiṉ. 18Jo jism ke iʻtibár se Isráílí haiṉ, un par nazar karo. Kyá qurbání ká gosht khánewále qurbángáh ke sharík nahíṉ? 19Pas maiṉ kyá yih kahtá húṉ, ki butoṉ kí qurbání kuchh chíz hai, yá but kuchh chíz hai? 20Nahiṉ, balki yih kahtá húṉ, ki jo qurbání gairqaumeṉ kartí haiṉ shayátín ke liye qurbání kartí haiṉ, na ki Ḳhudá ke liye; aur maiṉ nahíṉ cháhtá ki tum shayátín ke sharík ho. 21Tum Ḳhudáwand ke piyále aur shayátín ke piyále donoṉ meṉ se nahíṉ pí sakte: Ḳhudáwand ke dastarḳhwán aur shayátín ke dastarḳhwán donoṉ par sharík nahíṉ ho sakte. 22Kyá ham Ḳhudáwand kí gairat ko josh diláte haiṉ? Kyá ham us se zoráwar haiṉ?
23Sárí chízeṉ rawá to haiṉ, magar sab chízeṉ mufíd nahíṉ. Sárí chízeṉ rawá to haiṉ, magar sab chízeṉ taraqqí ká báʻis nahíṉ. 24Koí apní bihtarí na ḍhúṉḍhe, balki dúsre kí. 25Jo kuchh qassáboṉ kí dukánoṉ meṉ biktá hai, wuh kháo, aur díní imtiyáz ke sabab kuchh na púchho; 26kyúṉki Zamín aur us kí maʻmúrí Ḳhudáwand kí hai. 27Agar beímánoṉ meṉ se koí tumhárí daʻwat kare, aur tum jáne par rází ho; to jo kuchh tumháre áge rakkhá jáe, use kháo, aur díní imtiyáz ke sabab kuchh na púchho. 28Lekin agar koí tum se kahe, kí Yih qurbání ká gosht hai, to us ke sabab jis ne tumheṉ jatáyá, aur díní imtiyáz ke sabab na kháo. 29Díní imtiyáz se merá matlab terí imtiyáz nahíṉ, balki us dúsre kí. Bhalá, merí ázádí dúsre shaḳhs kí imtiyáz se kyúṉ parkhí jáe? 30Agar maiṉ shukr karke khátá húṉ, to jis chíz par shukr kartá húṉ, us ke sabab kis liye badnám kiyá játá húṉ? 31Pas tum kháo yá pío, yá jo kuchh karo, sab Ḳhudá ke jalál ke liye karo. 32Tum na Yahúdíoṉ kí ṭhokar ke báʻis bano, na Yúnáníoṉ, na Ḳhudá kí kalísiyá kí; 33chunáṉchi maiṉ bhí sab bátoṉ meṉ sab ko ḳhush kartá húṉ, aur apná nahíṉ, balki bahutoṉ ká fáida ḍhuṉḍhtá húṉ, táki wuh naját páeṉ.

Currently Selected:

1 Kurinthíoṉ 10: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in