1 Kurinthíoṉ 2
2
1Aur ai bháiyo, jab maiṉ tumháre pás áyá aur tum meṉ Ḳhudá ke bhed kí manádí karne lagá, to aʻlá darje kí taqrír yá hikmat ke sáth nahíṉ áyá. 2Kyúṉki maiṉ ne yih iráda kar liyá thá, ki tumháre darmiyán Yisúʻ Masíh, balki Masíh i maslúb ke siwá, âur kuchh na jánúṉgá. 3Aur maiṉ kamzorí, aur ḳhauf, aur bahut thartharáne kí hálat meṉ tumháre pás rahá. 4Aur merí taqrír aur merí manádí meṉ hikmat kí lubhánewálí báteṉ na thíṉ, balki wuh Rúh aur qudrat se sábit hotí thí: 5táki tumhárá ímán insánoṉ kí hikmat par nahíṉ, balki Ḳhudá kí qudrat par mauqúf ho.
6Phir bhí kámiloṉ meṉ ham hikmat kí báteṉ kahte haíṉ: lekin is jahán kí, aur is jahán ke nest honewále sardároṉ kí hikmat nahíṉ: 7balki ham Ḳhudá kí wuh poshída hikmat bhed ke taur par bayán karte haiṉ, jo Ḳhudá ne jahán ke shurúʻ se peshtar hamáre jalál ke wáste muqarrar kí thí: 8jise is jahán ke sardároṉ meṉ se kisí ne na samjhá; kyúṉki agar samajhte, to jalál ke Ḳhudáwand ko salíb na dete: 9balki jaisá likhá hai, waisá hí húá, ki
Jo chízeṉ na áṉkhoṉ ne dekhíṉ, na kánoṉ ne suníṉ,
Na ádmí ke dil meṉ áíṉ,
Wuh sab Ḳhudá ne apne mahabbat rakhnewáloṉ ke liye taiyár kar díṉ
10Lekin ham par Ḳhudá ne un ko Rúh ke wasíle se záhir kiyá: kyúṉki Rúh sárí báteṉ, balki Ḳhudá kí tah kí báteṉ bhí daryáft kar letí hai. 11Kyúṉki insánoṉ meṉ se kaun kisí insán kí báteṉ jántá hai, siwá insán kí apní rúh ke jo us meṉ hai? Isí tarah Ḳhudá kí Rúh ke siwá, koí Ḳhudá kí báteṉ nahíṉ jántá. 12Magar ham ne na dunyá kí rúh, balki wuh rúh páí, jo Ḳhudá kí taraf se hai; táki un bátoṉ ko jáneṉ, jo Ḳhudá ne hameṉ ʻináyat kí haiṉ. 13Aur ham ín bátoṉ ko un alfáz meṉ nahíṉ bayán karte, jo insání hikmat ne ham ko sikháe hoṉ, balki un alfáz meṉ, jo Rúh ne sikháe haiṉ; aur rúhání bátoṉ ká rúhání bátoṉ se muqábala karte haiṉ. 14Magar nafsání ádmí Ḳhudá kí Rúh kí báteṉ qubúl nahíṉ kartá, kyúṉki wuh us ke nazdík bewuqúfí kí báteṉ haiṉ; aur na wuh unheṉ samajh saktá hai, kyúṉki wuh rúhání taur par parkhí játí haiṉ. 15Lekin rúhání shaḳhs sab bátoṉ ko parakh letá hai, magar ḳhud kisí se parkhá nahíṉ játá. 16Ḳhudáwand kí ʻaql ko kis ne jáná, ki us ko taʻlím de sake? magar ham meṉ Masíh kí ʻaql hai.
Currently Selected:
1 Kurinthíoṉ 2: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)