YouVersion Logo
Search Icon

1 Kurinthíoṉ 11

11
1Tum merí mánind bano, jaísá maiṉ Masíh kí mánind bantá húṉ. 2Maiṉ tumhárí taʻríf kartá húṉ, ki tum har bát meṉ mujhe yád rakhte ho, aur jis tarah maiṉ ne tumheṉ riwáyateṉ pahuṉchá díṉ, tum usí tarah un ko barqarár rakhte ho. 3Pas maiṉ tumheṉ ágáh karná cháhtá húṉ, ki har mard ká sir Masíh, aur ʻaurat ká sir mard, aur Masíh ká sir Ḳhudá hai. 4Jo mard sir ḍhaṉke húe duʻá yá nubuwwat kartá hai, wuh apne sir ko behurmat kartá hai. 5Aur jo ʻaurat be sir ḍhaṉke duʻá yá nubuwwat kartí hai, wuh apne sir ko behurmat kartí hai, kyúṉki wuh sir muṉḍí húí ke barábar hai. 6Agar ʻaurat oṛhní na oṛhe, to bál bhí kaṭáe. Agar ʻaurat ká bál kaṭáná, yá sir muṉdáná sharm kí bát hai, to oṛhní oṛhe. 7Albatta mard ko apná sir ḍháṉkná na cháhiye, kyúṉki wuh Ḳhudá kí súrat aur us ká jalál hai; magar ʻaurat mard ká jalál hai. 8Is liye ki mard ʻaurat se nahíṉ, balki ʻaurat mard se hai: 9aur mard ʻaurat ke liye nahíṉ, balki ʻaurat mard ke liye paidá húí. 10Pas firishtoṉ ke sabab se ʻaurat ko cháhiye, ki apne sir par mahkúm hone kí ʻalámat rakkhe. 11Táham Ḳhudáwand meṉ na ʻaurat mard ke bagair hai, na mard ʻaurat ke bagair. 12Kyúṉki jaise ʻaurat mard se hai, waise hí mard bhí ʻaurat ke wasíle se hai; magar sab chízeṉ Ḳhudá kí taraf se haiṉ. 13Tum áp hí insáf karo: kyá ʻaurat ká be sir ḍhaṉke Ḳhudá se duʻá máṉgná munásib hai? 14Kyá tum ko tabaʻí taur par bhí maʻlúm nahíṉ, ki agar mard lambe bál rakkhe, to us kí behurmatí hai? 15Aur agar ʻaurat ke lambe bál hoṉ, to us kí zínat hai, kyúṉki bál use parde ke liye diye gaye haiṉ. 16Lekin agar koí hujjatí nikle to yih ján le, ki na hamárá aisá dastúr hai, na Ḳhudáwand kí kalísiyáoṉ ká.
17Lekin yih hukm jo detá húṉ, is meṉ tumhárí taʻríf nahíṉ kartá, is liye ki tumháre jamaʻ hone se fáida nahíṉ, balki nuqsán hotá hai. 18Kyúṉki awwal to maiṉ yih suntá húṉ, ki jis waqt tumhárí kalísiyá jamaʻ hotí hai, to tum meṉ tafriqe hote haiṉ, aur maiṉ is ká kisí qadr yaqín bhí kartá húṉ. 19Kyúṉki tum meṉ bidʻatoṉ ká bhí honá zarúr hai, táki záhir ho jáe, ki tum meṉ maqbúl kaun se haiṉ. 20Pas jab tum báham jamaʻ hote ho, to tumhárá wuh kháná ʻAshá e Rabbání nahíṉ ho saktá; 21kyúṉki kháne ke waqt har shaḳhs dúsre se pahle apná ʻashá khá letá hai, aur koí to bhúká rahtá hai, aur kisí ko nasha ho játá hai. 22Kyúṉ? Kháne píne ke liye tumháre ghar nahíṉ? Yá Ḳhudá kí kalísiyá ko náchíz jánte, aur jin ke pás nahíṉ, un ko sharminda karte ho? Maiṉ tum se kyá kahúṉ? Kyá is bát meṉ tumhárí taʻríf karúṉ? Maiṉ taʻríf nahíṉ kartá. 23Kyúṉki yih bát mujhe Ḳhudáwand se pahuṉchí, aur maiṉ ne tum ko bhí pahuṉchá dí, ki Ḳhudáwand Yisúʻ ne, jis rát wuh pakaṛwáyá gayá, roṭí lí; 24aur shukr karke toṛí, aur kahá, ki Yih merá badan hai, jo tumháre liye hai: merí yádgárí ke wáste yihí kiyá karo. 25Isí tarah us ne kháne ke baʻd piyála bhí liyá, aur kahá, ki Yih piyála mere ḳhún meṉ nayá ʻahd hai: jab kabhí piyo, merí yádgárí ke liye yihí kiyá karo. 26Kyúṉki jab kabhí tum yih roṭí kháte, aur is piyále meṉ se píte ho to Ḳhudáwand kí maut ká izhár karte ho, jab tak wuh na áe. 27Is wáste jo koí námunásib taur par Ḳhudáwand kí roṭí kháe, yá us ke piyále meṉ se piye, wuh Ḳhudáwand ke badan aur ḳhún ke báre meṉ qusúrwár hogá. 28Pas ádmí apne áp ko ázmá le, aur isí tarah us roṭí meṉ se kháe, aur us piyále meṉ se piye. 29Kyúṉki jo kháte píte waqt Ḳhudáwand ke badan ko na pahcháne, wuh is kháne píne se sazá páegá. 30Isí sabab se tum meṉ bahutere kamzor aur bímár haiṉ, aur bahut se so bhí gaye. 31Agar ham apne áp ko jáṉchte, to sazá na páte. 32Lekin Ḳhudáwand ham ko sazá dekar tarbiyat kartá hai, táki ham dunyá ke sáth mujrim na ṭhahreṉ. 33Pas, ai mere bháiyo, jab tum kháne ke liye jamaʻ ho, to ek dúsre kí ráh dekho. 34Agar koí bhúká ho, to apne ghar meṉ khá le, táki tumhárá jamaʻ honá sazá ká báʻis na ho. Aur báqí bátoṉ ko maiṉ ákar durust kar dúṉgá.

Currently Selected:

1 Kurinthíoṉ 11: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in