1 Kurinthíoṉ 12
12
1Ai bháiyo, maiṉ nahíṉ cháhtá, ki tum rúhání niʻmatoṉ ke báre meṉ beḳhabar raho. 2Tum jánte ho, ki jab tum gairqaum the, to gúṉge butoṉ ke píchhe jis tarah koí tum ko le játá thá, usí tarah játe the. 3Pas maiṉ tumheṉ jatátá húṉ, ki jo koí Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se boltá hai, wuh nahíṉ kahtá, ki Yisúʻ malʻún hai; aur na koí Rúhuʼl Quds ke bagair kah saktá hai, ki Yisúʻ Ḳhudáwand hai.
4Niʻmateṉ to tarah tarah kí haiṉ, magar Rúh ek hí hai. 5Aur ḳhidmateṉ bhí tarah tarah kí haiṉ, magar Ḳhudáwand ek hí hai. 6Aur tásíreṉ bhí tarah tarah kí haiṉ, magar Ḳhudá ek hí hai, jo sab meṉ har tarah ká asar paidá kartá hai. 7Lekin har shaḳhs meṉ Rúh ká zuhúr fáida pahuṉcháne ke liye hotá hai. 8Kyúṉki ek ko Rúh ke wasíle se hikmat ká kalám ʻínáyat hotá hai; aur dúsre ko usí Rúh kí marzí ke muwáfiq ʻilmíyat ká kalám: 9kisí ko usí Rúh se ímán; aur kisí ko usí ek Rúh se shifá dene kí taufíq; 10kisí ko muʻjizoṉ kí qudrateṉ; kisí ko nubuwwat; kisí ko rúhoṉ kí imtiyáz; kisí ko tarah tarah kí zabáneṉ; kisí ko zabánoṉ ká tarjuma karná: 11lekin yih sab tásíreṉ wuhí ek Rúh kartí hai, aur jis ko jo cháhtí hai, báṉṭtí hai.
12Kyúṉki jis tarah badan ek hai, aur us ke aʻzá bahut se haiṉ; aur badan ke sáre aʻzá, go bahut se haiṉ, magar báham milkar ek hí badan haiṉ, usí tarah Masíh bhí hai. 13Kyúṉki ham sab ne, ḳhwáh Yahúdí hoṉ, ḳhwáh Yúnání, ḳhwáh gulám, ḳhwáh ázád, ek hí Rúh ke wasíle se ek badan hone ke liye baptisma liyá, aur ham sab ko ek hí Rúh piláí gayí. 14Chunáṉchi badan meṉ ek hí ʻuzw nahíṉ, balki bahut se haiṉ. 15Agar páṉw kahe; Chúṉki maiṉ háth nahíṉ, is liye badan ká nahíṉ, to wuh is sabab badan se ḳhárij to nahíṉ. 16Aur agar kán kahe: Chúṉki maiṉ áṉkh nahíṉ, is liye badan ká nahíṉ, to wuh is sabab se badan se ḳhárij to nahíṉ. 17Agar sárá badan áṉkh hí hotá, to sunná kaháṉ hotá? Agar sunná hí sunná hotá, to súnghná kaháṉ hotá? 18Magar fiʼlwáqiʻ Ḳhudá ne har ek ʻuzw ko badan meṉ apní marzí ke muwáfiq rakkhá hai. 19Agar wuh sab ek hí ʻuzw hote to badan kaháṉ hotá? 20Magar ab aʻzá to bahut se haiṉ, lekin badan ek hí hai. 21Pas áṉkh háth se nahíṉ kah saktí, ki Maiṉ terí muhtáj nahíṉ: aur na sir páṉwoṉ se kah saktá hai, ki Maiṉ tumhárá muhtáj nahíṉ. 22Balki badan ke wuh aʻzá jo auroṉ se kamzor maʻlúm hote haiṉ, bahut hí zarúrí haiṉ: 23aur badan ke wuh aʻzá, jinheṉ ham auroṉ kí nisbat zalíl jánte haiṉ, unhíṉ ko ziyáda ʻizzat dete haiṉ; aur hamáre názebá aʻzá bahut zebá ho játe haiṉ; 24háláṉki hamáre zebá aʻzá muhtáj nahíṉ: magar Ḳhudá ne badan ko is tarah murakkáb kiyá hai, ki jo ʻuzw muhtáj hai, usí ko ziyáda ʻizzat dí jáe; 25táki badan meṉ tafriqa na paṛe, balki aʻzá ek dúsre kí barábar fikr rakkheṉ. 26Pas agar ek ʻuzw dukh pátá hai, to sáre aʻzá us ké sáth dukh páte haiṉ; aur agar ek ʻuzw ʻizzat pátá hai, to sáre aʻzá us ke sáth ḳhush hote haiṉ. 27Isí tarah tum milkar Masíh ká badan ho, aur fardan fardan aʻzá ho. 28Aur Ḳhudá ne kalísiyá meṉ alag alag shaḳhs muqarrar kiye; pahle rasúl, dúsre nabí, tísre ustád, phir muʻjize dikhánewále, phir shifá denewále, madadgár, muntazim, tarah tarah kí zabáneṉ bolnewále. 29Kyá sab rasúl haiṉ? kyá sab nabí haiṉ? kyá sab ustád haiṉ? kyá sab muʻjiza dikhánewále haiṉ? 30kyá sab ko shifá dene kí quwwat ʻináyat húí? kyá sab tarah tarah kí zabáneṉ bolte haiṉ? kyá sab taṛjuma karte haiṉ? 31Tum baṛí se baṛí niʻmatoṉ kí árzú rakkho. Lekin âur bhí sab se ʻumda taríqa maiṉ tumheṉ batátá húṉ.
Currently Selected:
1 Kurinthíoṉ 12: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)