1
1 Kurinthíoṉ 12:7
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Lekin har shaḳhs meṉ Rúh ká zuhúr fáida pahuṉcháne ke liye hotá hai.
Compare
Explore 1 Kurinthíoṉ 12:7
2
1 Kurinthíoṉ 12:27
Isí tarah tum milkar Masíh ká badan ho, aur fardan fardan aʻzá ho.
Explore 1 Kurinthíoṉ 12:27
3
1 Kurinthíoṉ 12:26
Pas agar ek ʻuzw dukh pátá hai, to sáre aʻzá us ké sáth dukh páte haiṉ; aur agar ek ʻuzw ʻizzat pátá hai, to sáre aʻzá us ke sáth ḳhush hote haiṉ.
Explore 1 Kurinthíoṉ 12:26
4
1 Kurinthíoṉ 12:8-10
Kyúṉki ek ko Rúh ke wasíle se hikmat ká kalám ʻínáyat hotá hai; aur dúsre ko usí Rúh kí marzí ke muwáfiq ʻilmíyat ká kalám: kisí ko usí Rúh se ímán; aur kisí ko usí ek Rúh se shifá dene kí taufíq; kisí ko muʻjizoṉ kí qudrateṉ; kisí ko nubuwwat; kisí ko rúhoṉ kí imtiyáz; kisí ko tarah tarah kí zabáneṉ; kisí ko zabánoṉ ká tarjuma karná
Explore 1 Kurinthíoṉ 12:8-10
5
1 Kurinthíoṉ 12:11
lekin yih sab tásíreṉ wuhí ek Rúh kartí hai, aur jis ko jo cháhtí hai, báṉṭtí hai.
Explore 1 Kurinthíoṉ 12:11
6
1 Kurinthíoṉ 12:25
táki badan meṉ tafriqa na paṛe, balki aʻzá ek dúsre kí barábar fikr rakkheṉ.
Explore 1 Kurinthíoṉ 12:25
7
1 Kurinthíoṉ 12:4-6
Niʻmateṉ to tarah tarah kí haiṉ, magar Rúh ek hí hai. Aur ḳhidmateṉ bhí tarah tarah kí haiṉ, magar Ḳhudáwand ek hí hai. Aur tásíreṉ bhí tarah tarah kí haiṉ, magar Ḳhudá ek hí hai, jo sab meṉ har tarah ká asar paidá kartá hai.
Explore 1 Kurinthíoṉ 12:4-6
8
1 Kurinthíoṉ 12:28
Aur Ḳhudá ne kalísiyá meṉ alag alag shaḳhs muqarrar kiye; pahle rasúl, dúsre nabí, tísre ustád, phir muʻjize dikhánewále, phir shifá denewále, madadgár, muntazim, tarah tarah kí zabáneṉ bolnewále.
Explore 1 Kurinthíoṉ 12:28
9
1 Kurinthíoṉ 12:14
Chunáṉchi badan meṉ ek hí ʻuzw nahíṉ, balki bahut se haiṉ.
Explore 1 Kurinthíoṉ 12:14
10
1 Kurinthíoṉ 12:22
Balki badan ke wuh aʻzá jo auroṉ se kamzor maʻlúm hote haiṉ, bahut hí zarúrí haiṉ
Explore 1 Kurinthíoṉ 12:22
11
1 Kurinthíoṉ 12:17-19
Agar sárá badan áṉkh hí hotá, to sunná kaháṉ hotá? Agar sunná hí sunná hotá, to súnghná kaháṉ hotá? Magar fiʼlwáqiʻ Ḳhudá ne har ek ʻuzw ko badan meṉ apní marzí ke muwáfiq rakkhá hai. Agar wuh sab ek hí ʻuzw hote to badan kaháṉ hotá?
Explore 1 Kurinthíoṉ 12:17-19
Home
Bible
Plans
Videos