Zabúr 4
4
CHAUTHÍ ZABÚR.
Dáúd Ḳhudá se duạ́ mángtá hai, kí jis tarah tú ne guzrí tangíon se merí riháí kí, waisá hí hál kí taklífoṉ se bhí mujhe chhuṛá (1). Jo us kí bádsháhí ịzzat ke dushman haiṉ, un se kahtá hai, ki Ḳhudá ne mujhe yíh ịzzat bakhshí aur us ká háfiz rahegá (2, 3). Unheṉ targíb detá hai ki farmaṉbardár aur sádiq baneṉ, aur Ḳhudá par bharosa rakheṉ (4, 5). Apne is bharose ká auroṉ kí íztirábí se muqábala kartá hai (6, 7). Aur Ḳhudá kí panáh meṉ use kámil diljamạí hai (8).
Sardár Mug̣anní ke liye, tár ke bájoṉ par; Dáúd kí Zabúr.
1Ai mere sádiq Ḳhudá, jab maiṉ pukárúṉ tab mujhe jawab de, tangí meṉ tú ne mujhe kushádagí baḳhshí; mujh par rahm kar, aur merí duạ́ sun le.
2Ai jawáṉ-mard ke beṭo, kab tak merí ịzzat ruswáí meṉ badaltí jáegí? Kab tak tum batálat ko pasand karoge, aur jhúṭh ke tálib rahoge? Siláh. 3Aur jáno ki Yahowáh ne muqaddas ko apne liye alag kar liya hai; jab maiṉ Yahowáh ko pukárúṉ tab wuh sun legá.
4G̣ussa karke gunah na karo, apne bistar par apne dil meṉ kaho, aur ḳhámosh raho! Siláh. 5Sadáqat ke zabíhe guzráno, aur Yahowáh par tawakkul karo.
6Bahutere kahte haiṉ ki “Hameṉ kaun ḳhúbí dikhláegá?” Ai Yahowáh, apne chihre ká núr ham par chamká! 7Jis waqt se un ká anáj aur un kí sharáb ziyáda ho gaí, tú ne mere dil meṉ ziyádatar ḳhushi baḳhshí hai.
8Salámatí meṉ maiṉ ek hí sáth leṭúṉgá aur so jáúṉgá, kyúṉki Tú hí, Ai Yahowáh, akelá mujhe chain meṉ rahne degá.
Поточний вибір:
Zabúr 4: URDRPS
Позначайте
Поділитись
Копіювати
Хочете, щоб ваші позначення зберігалися на всіх ваших пристроях? Зареєструйтеся або увійдіть
Historical text first published in 1863, and maintained by the British and Foreign Bible Society.