Zabúr 17

17
SATRAHWÍṈ ZABÚR.
Musíbatzada, tangí o ḳhatre meṉ paṛke, iqrár kartá hai, ki maiṉ ne Ḳhudá kí marzí ko dil o ján se pasand kiyá hai, aur Ḳhudá se us kí mihrbání aur himáyat kí darkhwást kartá hai (1—5). Is darḳhwást kí taqwiyat ke liye wuh Ḳhudá kí aglí mihrbáníoṉ ká zikr (6, 7), aur apne dushmanoṉ kí ḳharábí ká bayán kartá hai (8—12), aur un kí badḳhaslatí aur bedíní ká apní díndárí aur qawí ịtiqád se muqábala kartá hai (13-15).
Dáúd kí Duạ́.
1Ai Yahowáh, sidq ko sun, mere us nale ká shinawá ho, merí us duạ́ par kan dhar, jo beriyá laboṉ se haiṉ. 2Mera insáf tere huzúr se hogá; terí ánkheṉ rástíoṉ ko dekhengí. 3Tú ne mere dil ko ázmáyá, rát ko tú mere pas áyá, tú ne mujhe táyá; tú kuchh na páegá; mera muṉh mere ḳhiyál se ziyáda na baṛhegá. 4Tere honṭhoṉ ke kalam ke wasíle se, jo baní Ádam ke fịloṉ ke haqq meṉ hai, maiṉ ne áp ko zálim kí ráhoṉ se mahfúz rakhá hai. 5Mere qadamoṉ ne terí ráheṉ pakṛíṉ, mere páṉw nahíṉ ṭale.
6Maiṉ ne tujhe pukárá hai, kyúṉki, Ai Qádir i Mutlaq, tú mujhe jawab degá. Apná kan merí taraf jhuká, merí bát sun. 7Ai tú ki apne dahne háth se apne mutawakkiloṉ ko un ke muḳhálifoṉ se bacháta hai, un par apní mihrbáníoṉ ko ḳháss kar!
8Ánkh kí putlí ke muwáfiq merí hifázat kar, tú apne paroṉ ke sáye tale mujhe chhipáegá, 9sharíroṉ ke sámhne se, jinhoṉ ne mujhe barbád kiyá hai; mere jání dushman mujhe gher lenge. 10Wuh apní charbí meṉ ḍhap gae; unhoṉ ne apne muṉh se ghamanḍ meṉ kalam kiyá hai. 11Ab unhoṉ ne hamáre har qadam par hameṉ gherá hai; wuh apní ánkheṉ lagáe rahenge táki zamín par rah i rást se haṭ jáeṉ. 12Us kí shabáhat sher kí sí hai; wuh pháṛne cháhtá hai; aur jawán sher kí sí, jo poshída jagahoṉ meṉ baiṭhtá hai.
13Ai Yahowáh, uṭh, us ká sámhná kar, use jhuká de, apní talwár se merí ján ko sharír se bachá; 14apne háth se, Ai Yahowáh, merí ján ko ádmíoṉ se bachá; háṉ, ádmíoṉ se aur dunyá se; un ká hissa isí zindagí meṉ hai, aur tú apní daulat i pinhán se un ká shikam bhar degá; wuh laṛkoṉ se ser honge, aur apná baqíya apne bachchoṉ ke liye chhoṛ jáenge. 15Maiṉ sadáqat meṉ tera muṉh de-khúṉgá; jab maiṉ jágúṉgá, tab terí súrat se ser húngá.

Поточний вибір:

Zabúr 17: URDRPS

Позначайте

Поділитись

Копіювати

None

Хочете, щоб ваші позначення зберігалися на всіх ваших пристроях? Зареєструйтеся або увійдіть