Lūqā 24
24
Īsā Jī Uṭhtā Hai
1Itwār ke din yih aurateṅ apne taiyārshudā masāle le kar subah-sawere qabr par gaīṅ. 2Wahāṅ pahuṅch kar unhoṅ ne dekhā ki qabr par kā patthar ek taraf luṛhkā huā hai. 3Lekin jab wuh qabr meṅ gaīṅ to wahāṅ Ḳhudāwand Īsā kī lāsh na pāī. 4Wuh abhī uljhan meṅ wahāṅ khaṛī thīṅ ki achānak do mard un ke pās ā khaṛe hue jin ke libās bijlī kī tarah chamak rahe the. 5Aurateṅ dahshat khā kar muṅh ke bal jhuk gaīṅ, lekin un mardoṅ ne kahā, “Tum kyoṅ zindā ko murdoṅ meṅ ḍhūnḍ rahī ho? 6Wuh yahāṅ nahīṅ hai, wuh to jī uṭhā hai. Wuh bāt yād karo jo us ne tum se us waqt kahī jab wuh Galīl meṅ thā. 7‘Lāzim hai ki Ibn-e-Ādam ko gunāhgāroṅ ke hawāle kar diyā jāe, maslūb kiyā jāe aur ki wuh tīsre din jī uṭhe.’”
8Phir unheṅ yih bāt yād āī. 9Aur qabr se wāpas ā kar unhoṅ ne yih sab kuchh gyārah rasūloṅ aur bāqī shāgirdoṅ ko sunā diyā. 10Mariyam Magdalīnī, Yuannā, Yāqūb kī māṅ Mariyam aur chand ek aur aurateṅ un meṅ shāmil thīṅ jinhoṅ ne yih bāteṅ rasūloṅ ko batāīṅ. 11Lekin un ko yih bāteṅ betukī-sī lag rahī thīṅ, is lie unheṅ yaqīn na āyā. 12To bhī Patras uṭhā aur bhāg kar qabr ke pās āyā. Jab pahuṅchā to jhuk kar andar jhāṅkā, lekin sirf kafan #Lafzī tarjumā: katān kī paṭṭiyāṅ jo kafan ke lie istemāl hotī thīṅ. hī nazar āyā. Yih hālāt dekh kar wuh hairān huā aur chalā gayā.
Immāus ke Rāste meṅ Īsā se Mulāqāt
13Usī din Īsā ke do pairokār ek gāṅw banām Immāus kī taraf chal rahe the. Yih gāṅw Yarūshalam se taqrīban das kilomīṭar dūr thā. 14Chalte chalte wuh āpas meṅ un wāqiyāt kā zikr kar rahe the jo hue the. 15Aur aisā huā ki jab wuh bāteṅ aur ek dūsre ke sāth bahs-mubāhasā kar rahe the to Īsā ḳhud qarīb ā kar un ke sāth chalne lagā. 16Lekin un kī āṅkhoṅ par pardā ḍālā gayā thā, is lie wuh use pahchān na sake. 17Īsā ne kahā, “Yih kaisī bāteṅ haiṅ jin ke bāre meṅ tum chalte chalte tabādalā-e-ḳhyāl kar rahe ho?”
Yih sun kar wuh ġhamgīn se khaṛe ho gae. 18Un meṅ se ek banām Kliyupās ne us se pūchhā, “Kyā āp Yarūshalam meṅ wāhid shaḳhs haiṅ jise mālūm nahīṅ ki in dinoṅ meṅ kyā kuchh huā hai?”
19Us ne kahā, “Kyā huā hai?”
Unhoṅ ne jawāb diyā, “Wuh jo Īsā Nāsarī ke sāth huā hai. Wuh nabī thā jise kalām aur kām meṅ Allāh aur tamām qaum ke sāmne zabardast quwwat hāsil thī. 20Lekin hamāre rāhnumā imāmoṅ aur sardāroṅ ne use hukmrānoṅ ke hawāle kar diyā tāki use sazā-e-maut dī jāe, aur unhoṅ ne use maslūb kiyā. 21Lekin hameṅ to ummīd thī ki wuhī Isrāīl ko najāt degā. In wāqiyāt ko tīn din ho gae haiṅ. 22Lekin ham meṅ se kuchh ḳhawātīn ne bhī hameṅ hairān kar diyā hai. Wuh āj subah-sawere qabr par gaīṅ 23to dekhā ki lāsh wahāṅ nahīṅ hai. Unhoṅ ne lauṭ kar hameṅ batāyā ki ham par farishte zāhir hue jinhoṅ ne kahā ki Īsā zindā hai. 24Ham meṅ se kuchh qabr par gae aur use waisā hī pāyā jis tarah un auratoṅ ne kahā thā. Lekin use ḳhud unhoṅ ne nahīṅ dekhā.”
25Phir Īsā ne un se kahā, “Are nādāno! Tum kitne kundzahan ho ki tumheṅ un tamām bātoṅ par yaqīn nahīṅ āyā jo nabiyoṅ ne farmāī haiṅ. 26Kyā lāzim nahīṅ thā ki Masīh yih sab kuchh jhel kar apne jalāl meṅ dāḳhil ho jāe?” 27Phir Mūsā aur tamām nabiyoṅ se shurū karke Īsā ne kalām-e-muqaddas kī har bāt kī tashrīh kī jahāṅ jahāṅ us kā zikr hai.
28Chalte chalte wuh us gāṅw ke qarīb pahuṅche jahāṅ unheṅ jānā thā. Īsā ne aisā kiyā goyā ki wuh āge baṛhnā chāhtā hai, 29lekin unhoṅ ne use majbūr karke kahā, “Hamāre pās ṭhahreṅ, kyoṅki shām hone ko hai aur din ḍhal gayā hai.” Chunāṅche wuh un ke sāth ṭhaharne ke lie andar gayā. 30Aur aisā huā ki jab wuh khāne ke lie baiṭh gae to us ne roṭī le kar us ke lie shukrguzārī kī duā kī. Phir us ne use ṭukṛe karke unheṅ diyā. 31Achānak un kī āṅkheṅ khul gaīṅ aur unhoṅ ne use pahchān liyā. Lekin usī lamhe wuh ojhal ho gayā. 32Phir wuh ek dūsre se kahne lage, “Kyā hamāre dil josh se na bhar gae the jab wuh rāste meṅ ham se bāteṅ karte karte hameṅ sahīfoṅ kā matlab samjhā rahā thā?”
33Aur wuh usī waqt uṭh kar Yarūshalam wāpas chale gae. Jab wuh wahāṅ pahuṅche to gyārah rasūl apne sāthiyoṅ samet pahle se jamā the 34aur yih kah rahe the, “Ḳhudāwand wāqaī jī uṭhā hai! Wuh Shamāūn par zāhir huā hai.”
35Phir Immāus ke do shāgirdoṅ ne unheṅ batāyā ki gāṅw kī taraf jāte hue kyā huā thā aur ki Īsā ke roṭī toṛte waqt unhoṅ ne use kaise pahchānā.
Īsā Apne Shāgirdoṅ par Zāhir Hotā Hai
36Wuh abhī yih bāteṅ sunā rahe the ki Īsā ḳhud un ke darmiyān ā khaṛā huā aur kahā, “Tumhārī salāmatī ho.”
37Wuh ghabrā kar bahut ḍar gae. Kyoṅki un kā ḳhayāl thā ki koī bhūt-pret dekh rahe haiṅ. 38Us ne un se kahā, “Tum kyoṅ pareshān ho gae ho? Kyā wajah hai ki tumhāre diloṅ meṅ shak ubhar āyā hai? 39Mere hāthoṅ aur pāṅwoṅ ko dekho ki maiṅ hī hūṅ. Mujhe ṭaṭol kar dekho, kyoṅki bhūt ke gosht aur haḍḍiyāṅ nahīṅ hotīṅ jabki tum dekh rahe ho ki merā jism hai.”
40Yih kah kar us ne unheṅ apne hāth aur pāṅw dikhāe. 41Jab unheṅ ḳhushī ke māre yaqīn nahīṅ ā rahā thā aur tājjub kar rahe the to Īsā ne pūchhā, “Kyā yahāṅ tumhāre pās koī khāne kī chīz hai?” 42Unhoṅ ne use bhunī huī machhlī kā ek ṭukṛā diyā 43us ne use le kar un ke sāmne hī khā liyā.
44Phir us ne un se kahā, “Yihī hai jo maiṅ ne tum ko us waqt batāyā thā jab tumhāre sāth thā ki jo kuchh bhī Mūsā kī sharīat, nabiyoṅ ke sahīfoṅ aur zabūr kī kitāb meṅ mere bāre meṅ likhā hai use pūrā honā hai.”
45Phir us ne un ke zahan ko khol diyā tāki wuh Allāh kā kalām samajh sakeṅ. 46Us ne un se kahā, “Kalām-e-muqaddas meṅ yoṅ likhā hai, Masīh dukh uṭhā kar tīsre din murdoṅ meṅ se jī uṭhegā. 47Phir Yarūshalam se shurū karke us ke nām meṅ yih paiġhām tamām qaumoṅ ko sunāyā jāegā ki wuh taubā karke gunāhoṅ kī muāfī pāeṅ. 48Tum in bātoṅ ke gawāh ho. 49Aur maiṅ tumhāre pās use bhej dūṅgā jis kā wādā mere Bāp ne kiyā hai. Phir tum ko āsmān kī quwwat se mulabbas kiyā jāegā. Us waqt tak shahr se bāhar na nikalnā.”
Īsā ko Āsmān par Uṭhāyā Jātā Hai
50Phir wuh shahr se nikal kar unheṅ Bait-aniyāh tak le gayā. Wahāṅ us ne apne hāth uṭhā kar unheṅ barkat dī. 51Aur aisā huā ki barkat dete hue wuh un se judā ho kar āsmān par uṭhā liyā gayā. 52Unhoṅ ne use sijdā kiyā aur phir baṛī ḳhushī se Yarūshalam wāpas chale gae. 53Wahāṅ wuh apnā pūrā waqt Baitul-muqaddas meṅ guzār kar Allāh kī tamjīd karte rahe.
தற்சமயம் தேர்ந்தெடுக்கப்பட்டது:
Lūqā 24: GVR
சிறப்புக்கூறு
பகிர்
நகல்
உங்கள் எல்லா சாதனங்களிலும் உங்கள் சிறப்பம்சங்கள் சேமிக்கப்பட வேண்டுமா? பதிவு செய்யவும் அல்லது உள்நுழையவும்
Copyright © 2019 Urdu Geo Version. CC-BY-NC-ND