1
Lūqā 24:49
Kitab-i Muqaddas
Aur maiṅ tumhāre pās use bhej dūṅgā jis kā wādā mere Bāp ne kiyā hai. Phir tum ko āsmān kī quwwat se mulabbas kiyā jāegā. Us waqt tak shahr se bāhar na nikalnā.”
ஒப்பீடு
Lūqā 24:49 ஆராயுங்கள்
2
Lūqā 24:6
Wuh yahāṅ nahīṅ hai, wuh to jī uṭhā hai. Wuh bāt yād karo jo us ne tum se us waqt kahī jab wuh Galīl meṅ thā.
Lūqā 24:6 ஆராயுங்கள்
3
Lūqā 24:31-32
Achānak un kī āṅkheṅ khul gaīṅ aur unhoṅ ne use pahchān liyā. Lekin usī lamhe wuh ojhal ho gayā. Phir wuh ek dūsre se kahne lage, “Kyā hamāre dil josh se na bhar gae the jab wuh rāste meṅ ham se bāteṅ karte karte hameṅ sahīfoṅ kā matlab samjhā rahā thā?”
Lūqā 24:31-32 ஆராயுங்கள்
4
Lūqā 24:46-47
Us ne un se kahā, “Kalām-e-muqaddas meṅ yoṅ likhā hai, Masīh dukh uṭhā kar tīsre din murdoṅ meṅ se jī uṭhegā. Phir Yarūshalam se shurū karke us ke nām meṅ yih paiġhām tamām qaumoṅ ko sunāyā jāegā ki wuh taubā karke gunāhoṅ kī muāfī pāeṅ.
Lūqā 24:46-47 ஆராயுங்கள்
5
Lūqā 24:2-3
Wahāṅ pahuṅch kar unhoṅ ne dekhā ki qabr par kā patthar ek taraf luṛhkā huā hai. Lekin jab wuh qabr meṅ gaīṅ to wahāṅ Ḳhudāwand Īsā kī lāsh na pāī.
Lūqā 24:2-3 ஆராயுங்கள்
முகப்பு
வேதாகமம்
வாசிப்புத் திட்டங்கள்
காணொளிகள்