Logo de YouVersion
Ícono Búsqueda

Zabúr 12

12
BÁRAHWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr meṉ faryád ke sáth duạ́ aur wạde ke sáth bharosa aur ummed hai. Dáúd faryád kartá hai ki nek ádmí niháyat kam ho gae (1), aur badí bakasrat phail gaí (2), aur duạ́ kartá hai ki Ḳhudá is sárí kharábí ko mauqúf kare (3, 4). Is duạ́ ke jawáb meṉ sádiqoṉ ke liye himáyat aur riháí ká wạda hai (5), aur is wạde par mazbút ímán rakhke (6), yih bhí ummed rakhtá hai ki Ḳhudá apní musíbatzada ummat ko hal kí tangíon se naját bakhshegá (7, 8).
Sardár Mug̣anní ke liye, áṭhwíṉ par; Dáúd kí Zabúr.
1Ai Yahowáh, bachá, kyúṉki muqaddas ho chuká, kyúṉki ímándár baní Ádam meṉ se tamám ho gae! 2Wuh har ek apne hamsáye se jhúṭh bolte haiṉ; cháplúsí ke lab aur dodilí se kalam karte haiṉ. 3Yahowáh sáre cháplúsí ke laboṉ ko aur us zabán ko jo baṛá bol boltí hai, káṭ ḍále; 4jinhoṉ ne kahá hai, ki “Ham apní zabán se bahádurí karenge, hamáre lab hamáre sáth haiṉ, kaun hamárá málik hai!”
5Musíbatzadoṉ kí shikastahálí se, aur kangáloṉ kí ṭhanḍí sáṉs se, Yahowáh farmáyá cháhtá hai, ki “Ab maiṉ uṭhúṉgá, maiṉ use jo us ke liye hámptá hai, salámatí meṉ rakhúṉgá.” 6Yahowáh kí báteṉ ḳhális báteṉ haiṉ, zamín ke amír ke liye táí húí, balki sat martaba sáf kí húí chándí haiṉ. 7Ai Yahowáh, Tú hí unheṉ mahfúz rakhegá, tú use is 8pusht se abad tak bacháegá. Sharír ird-gird chalte phirte haiṉ: par baní Ádam#12:8 Yạne, sádiqoṉ. ke liye un kí yih zillat goyá balandí hai.

Actualmente seleccionado:

Zabúr 12: URDRPS

Destacar

Compartir

Copiar

None

¿Quieres guardar tus resaltados en todos tus dispositivos? Regístrate o Inicia sesión