Logo de YouVersion
Ícono Búsqueda

Zakariyáh 14

14
1Dekh, Ḳhudáwand ká din átá hai, jab terá mál lúṭkar tere andar báṉṭá jáegá. 2Kyúṉki main sab qaumoṉ ko faráham karúṉgá ki Yarúshalem se jang kareṉ; aur shahr le liyá jáegá, aur ghar lúṭe jáeṉge, aur ‘aurateṉ behurmat kí jáeṉgí; aur ádhá shahr asírí meṉ jáegá; lekin báqí log shahr hí meṉ raheṉge. 3Tab Ḳhudáwand ḳhurúj karegá, aur un qaumoṉ se laṛegá, jaise jang ke din laṛá kartá thá. 4Aur us roz wuh koh i Zaitún par, jo Yarúshalem ke mashriq meṉ wáqi‘ hai, khaṛá hogá; aur koh i Zaitún bích se phaṭ jáegá, aur us ke mashriq se mag̣rib tak ek baṛí wádí ho jáegí; kyúṉki ádhá paháṛ shimál ko sarak jáegá, aur ádhá junúb ko. 5Aur tum mere paháṛoṉ kí wádí se hokar bhágoge; kyúṉki paháṛoṉ kí wádí Ázal tak hogí; jis tarah tum sháh i Yahúdáh ‘Uzziyáh ke aiyám meṉ zalzale se bháge the, usí tarah bhágoge; kyúṉki Ḳhudáwand merá Ḳhudá áegá, aur sab qudsí us ke sáth. 6Aur us roz raushní na hogí, aur ajrám i falak chhip jáeṉge. 7Par ek din aisá áegá jo Ḳhudáwand hí ko ma‘lúm hai: wuh na din hogá, na rát; lekin shám ke waqt raushní hogí. 8Aur us roz Yarúshalem se áb i hayát járí hogá; jis ká ádhá bahr i mashriq kí taraf bahegá, aur ádhá bahr i mag̣rib kí taraf; garmí sardí meṉ járí rahegá. 9Aur Ḳhudáwand sárí dunyá ká bádsháh hogá: us roz ek hí Ḳhudáwand hogá, aur us ká nám wáhid hogá. 10Aur Yarúshalem ke junúb meṉ tamám mulk Jiba‘ se Rimmon tak maidán kí mánind ho jáegá, par Yarúshalem baland hogá; aur Binyamín ke pháṭak se pahle pháṭak ke maqám ya‘ní kone ke pháṭak tak, aur Hananel ke burj se bádsháh ke angúrí hauzoṉ tak, apne maqám par ábád hogá. 11Aur log is meṉ sukúnat kareṉge, aur phir la‘nat mutlaq na hogí; balki Yarúshalem amn o amán se ábád rahegá. 12Aur Ḳhudáwand Yarúshalem se jang karnewálí sab qaumoṉ par yih ‘azáb názil karegá, ki khaṛe khaṛe un ká gosht súkh jáegá; aur un kí áṉkheṉ chashmḳhánoṉ meṉ gal jáeṉgí, aur un kí zabán un ke muṉh meṉ saṛ jáegí. 13Aur us roz Ḳhudáwand kí taraf se un ke darmiyán baṛí halchal hogí; aur ek dúsre ká háth pakṛeṉge, aur ek dúsre ke ḳhiláf háth uṭháegá. 14Aur Yahúdáh bhí Yarúshalem ke pás laṛegá; aur irdgird kí sab qaumoṉ ká mál, ya‘nísoná chándí aur libás, baṛí kasrat se faráham kiyá jáegá. 15Aur ghoṛoṉ, ḳhachcharoṉ, úṉṭoṉ, gadhoṉ, aur sab haiwánoṉ par bhí jo un lashkargáhoṉ meṉ hoṉge, wuhí ‘azáb názil hogá. 16Aur Yarúshalem se laṛnewálí qaumoṉ meṉ se jo bach raheṉge, sál ba sál Bádsháh, Rabb u’l afwáj, ko sijda karne aur ‘íd i ḳhiyám manáne ko áeṉge. 17Aur dunyá ke un tamám qabáil par, jo Bádsháh Rabb u’l afwáj ke huzúr sijda karne ko Yarúshalem meṉ na áeṉge, meṉh na barsegá. 18Aur agar qabáil i Misr jin par bárish nahíṉ hotí na áeṉ, to un par wuhí ‘azáb názil hogá, jis ko Ḳhudáwand un g̣airqaumoṉ par názil karegá, jo ‘íd i ḳhiyám manáne ko na áeṉgí. 19Ahl i Misr aur un sab qaumoṉ kí jo ‘íd i ḳhiyám manáne ko na jáeṉ, yihí sazá hogí. 20Us roz ghoṛoṉ kí ghanṭiyoṉ par marqúm hogá, Ḳhudáwand Ke Liye Muqaddas; aur Ḳhudáwand ke ghar kí degeṉ mazbah ke piyáloṉ kí mánind muqaddas hoṉgí. 21Balki Yarúshalem aur Yahúdáh meṉ kí sab degeṉ Rabb u’l afwáj ke liye muqaddas hoṉgí: aur sab zabíhe guzránnewále áeṉge, aur un ko lekar un meṉ pakáeṉge; aur us roz phir koí Kan‘ání Rabb u’l afwáj ke ghar meṉ na hogá.

Actualmente seleccionado:

Zakariyáh 14: URDR55

Destacar

Compartir

Copiar

None

¿Quieres guardar tus resaltados en todos tus dispositivos? Regístrate o Inicia sesión