ইউভার্শন লোগো
সার্চ আইকন

Zabúr 22

22
BÁÍSWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr meṉ Yahowáh ká sádiq banda, jo sakht musíbat meṉ mubtalá hai, pahle is dalíl se madad i iláhí kí duạ́ kartá hai, ki main ahd i fazl meṉ Ḳhudá se kháss taạlluq rakhtá húṉ (1—10); aur dúsre is dalíl se, ki main niháyat ḳhatre meṉ húṉ (11—21); aur us jalíl samare ká bayán kartá hai jo is duạ́ ke jawab meṉ diyá jáegá (22—31).
Sardár Mug̣anní ke liye; Sahar ke G̣azál#G̣azál, yạne, harní se satáyá húá sádiq shaḳhs; aur Sahar, yạne, subh se us ka rát kí musibat ke bạd riháí páná murád hai. kí nisbat; Dáúd kí Zabúr.
1Ai mere Ḳhudá, Ai mere Ḳhudá, tú ne mujhe kyún chhoṛ diyá hai?#Matí 27:46; Markus 15:34. Tú kyúṉ merí naját aur mere karáhne kí bátoṉ se dúr khaṛá rahtá hai? 2Ai mere Ḳhudá, maiṉ din ko pukártá húṉ, aur tú jawab nahíṉ detá; aur rát ko bhí, aur mujhe ḳhámoshí nahíṉ hai. 3Aur Tú Isráíl kí hamdoṉ meṉ sukúnat karnewálá quddús hai. 4Hamáre báp dádoṉ ne tujh par tawakkul kiyá; unhoṉ ne tawakkul kiyá, aur tú ne unheṉ chhuṛáyá. 5Unhoṉ ne tujh ko pukárá, aur chhuṛáe gae; unhoṉ ne tujh par tawakkul kiyá, aur sharminda na húe. 6Par maiṉ kíṛá húṉ, aur na insán; ádmíoṉ ká nang, aur ummat ká ạ́r. 7Mere sáre dekhnewále mujh par haṉste haiṉ; wuh yih kahte húe hoṉṭh bichkáte aur sir hiláte haiṉ: 8ki “Yahowáh par ḍál de! Wuh use chhuṛáegá, us kí riháí karegá, kyúṉki us se ḳhush hai.” 9Kyúṉki Tú hí pet se mera nikálnewálá thá, merí má kí chhátíoṉ par mujhe ịtimád denewálá. 10Rihm se maiṉ tujh par ḍálá gaya; merí má ke pet se mera Qádir i Mutlaq Tú hí hai.
11Mujh se dur na rah, kyúṉki tangí nazdík hai; aur is liye, ki koí madadgár nahíṉ. 12Bahut se bailoṉ ne mujhe gherá hai, Basaniya ke sáṉṛoṉ ne mujhe iháta kiyá hai. Unhoṉ ne, 13pháṛne aur garajnewále sher hoke, mujh par apná muṉh phailáyá hai. 14Maiṉ pání ke mánind unḍelá gayá húṉ, aur merí sárí haḍḍíáṉ alag ho gaíṉ; mera dil mom ke mánind ho gayá, merí antṛíoṉ ke bích meṉ pighal gayá. 15Merí qúwat ṭhíkre ke mánind ḳhushk ho gaí, aur merí zabán mere tálú se lag gaí, aur maut kí ḳhák meṉ tú mujhe utáregá. 16Kyúṉki kuttoṉ ne mujhe gherá hai; badkároṉ kí jámáạt ne mera iháta kiyá, unhoṉ ne mere háthoṉ aur mere páṉwoṉ ḳo chhedá hai.#22:16 Yá yih, ki “badkároṉ kí jamáạt ne mera, balki sher ke mánind mere háthon aur mere páṉwoṉ ká iháta kiyá hai.” 17Maiṉ apní sárí haḍḍíoṉ ko gin saktá húṉ, wuh tákte rahte aur mujhe ghúrte haiṉ. 18Wuh mere kapṛe ápas meṉ bánṭá cháhte haiṉ, aur mere libás par qurạ ḍálá cháhte haiṉ.#Matí 27:35; Markus 15:34; Lúká 23:34; Yúhanná 19:23, 24. 19Par Tú, Ai Yahowáh, dúr na rah; Ai merí qúwat, merí madad ke liye jaldí kar! 20Merí ján kí talwár se, aur merí wahída kí kutte ke háth se riháí kar. 21Mujhe sher ke muṉh se bachá, aur tú ne arnoṉ ke síngoṉ se merí suní hai. 22Maiṉ apne bháíoṉ se tera nám bayán karúṉgá, jamáạt ke darmiyán terí hamd karúṉgá. 23“Ai Yahowáh ke ḍarnewálo, us kí hamd karo! Ai Yạqúb kí sárí nasl, us kí tạzím karo! Aur, Ai Isráíl kí sárí nasl, us se ḳhauf rakho! 24Kyúṉki us ne musíbatzada kí musibat kí tahqír nahíṉ kí, aur na us se nafrat rakhí, aur na us se apná muṉh chhipáyá hai; aur jab us ne us kí duháí dí, tab us ne suná.” 25Terí taufíq se maiṉ baṛí jamáạt meṉ terí hamd karúṉgá; us ke ḍarnewáloṉ ke sámhne apní nazreṉ adá karúṉgá. 26Halím log kháenge aur ásúda honge; Yahowáh ke tálib us kí hamd karange. Tumhárá dil abad tak jítá rahe! 27Zamin kí sárí sarhaddeṉ tazkira karengí, aur Yahowáh kí taraf rujụ́ hongí; aur qaumoṉ ke sáre gharane tere sámhne sijda karange. 28Kyúṉki saltanat Yahowáh kí hai, aur wuh qaumoṉ par hákim hai. 29Zamin ke sáre moṭoṉ ne kháyá aur sijda kiyá hai; sáre ḳhák meṉ milnewále us ke huzúr jhukenge, aur wuh bhí jo apní ján ko nahíṉ bachá saktá thá. 30Nasl i áyanda us kí ịbádat karegí; ánewálí pusht ko Ḳhudáwand kí nisbat batláyá jáegá. 31Wuh wujúd meṉ áegí aur paidá honewálí ummat ko us kí sadáqat kí ḳhabar degí, ki us ne yih kiyá hai.

বর্তমানে নির্বাচিত:

Zabúr 22: URDRPS

হাইলাইট

শেয়ার

কপি

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in