Zabúr 21
21
IKKÍSWÍṈ ZABÚR.
Yih zabúr un sárí nịmatoṉ se nisbat rakhtí hai, jo Ḳhudá apne Masíh ko bakhshtá hai. Pahlí áyat se chhaṭhwíṉ áyat tak kalísyá Yahowáh kí taraf muḳhátib hokar us mihrbání ke liye, jo Ḳhudá ne bádsháh par zahir kí hai, us kí shukrguzárí kartí hai. Sátwín áyat meṉ kalísyá Yahowáh aur bádsháh donoṉ ka zamír i g̣aib meṉ zikr kartí hai. Áṭhwíṉ áyat se bárahwíṉ áyat tak kalísyá bádsháh kí taraf muḳhátib hokar us ko un chízoṉ ke liye, jo wuh fazl i iláhí se karegá aur páegá, mubárakbádí detí hai. Aur terahwíṉ áyat meṉ phir Yahowáh kí taraf muḳhátib hai, aur is áyat ká wahí mazmún hai jo is zabúr ke shurụ́ meṉ hai.
Sardár Mug̣anní ke liye; Dáúd kí Zabúr.
1Ai Yahowáh, bádsháh terí qúwat se ḳhush hogá, aur terí naját se kyá hí niháyat dilshád hogá! 2Tú ne us ke dil kí ḳhwáhish use dí hai, aur us ke laboṉ ká matlab us se dareg̣ nahín rakhá. Siláh. 3Kyúṉki tú khúbí kí barakatoṉ ke sáth us ke áge áegá, us ke sir par kundan ká táj rakhegá. 4Us ne tujh se hayát mángí, tú ne use ụmr kí darází abad-ul-ábád tak bakhshí. 5Terí naját se us kí ịzzat baṛí hogí; hashmat aur jalál tú us ke úpar rakhegá. 6Kyúṉki tú use tá abad barakateṉ ṭhahráegá; tú apne chihre se us ko ḳhushi se ḳhurram karegá.
7Kyúṉki bádsháh Yahowáh par tawakkul kartá hai, aur Haqq Tạálá ke fazl se wuh na ṭalegá.
8Tera háth tere sáre dushmanoṉ ko ḍhúnḍh nikálegá; terá dahná háth tere ạdáwat rakhnewáloṉ ko pakaṛ legá. 9Tú apní huzúrí ke waqt unheṉ átashíṉ tanúr ke mánind ṭhahráegá. Yahowáh apne g̣azab meṉ unheṉ nigal legá, aur ág un ko khá jáegí. 10Tú un ká phal zamín se, aur un kí nasl baní Ádam meṉ se nest o nábúd karegá. 11Kyúṉki unhoṉ ne terí zidd meṉ badí phailáí hai; unhoṉ ne aisá mansúba bándhá hai jise púrá na kar sakenge. 12Kyúṉki tú un kí píṭh dikhláegá, jab tú un ke rú ba rú apne chille ko charháegá.
13Ai Yahowáh, apní qúwat se baland ho! Ham terí qudrat kí hamd meṉ gáenge aur nag̣ma-saráí karenge.
বর্তমানে নির্বাচিত:
Zabúr 21: URDRPS
হাইলাইট
শেয়ার
কপি
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
Historical text first published in 1863, and maintained by the British and Foreign Bible Society.