Paidāish 36
36
Esau kī Aulād
1Yih Esau kī aulād kā nasabnāmā hai (Esau ko Adom bhī kahā jātā hai):
2Esau ne tīn Kanānī auratoṅ se shādī kī: Hittī ādmī Ailon kī beṭī Adā se, Anā kī beṭī Uhlībāmā se jo Hiwwī ādmī Sibaon kī nawāsī thī 3aur Ismāīl kī beṭī Bāsamat se jo Nabāyot kī bahan thī. 4Adā kā ek beṭā Ilīfaz aur Bāsamat kā ek beṭā Raūel paidā huā. 5Uhlībāmā ke tīn beṭe paidā hue, Yaūs, Yālām aur Qorah. Esau ke yih tamām beṭe Mulk-e-Kanān meṅ paidā hue.
6Bād meṅ Esau dūsre mulk meṅ chalā gayā. Us ne apnī bīwiyoṅ, beṭe-beṭiyoṅ aur ghar ke rahne wāloṅ ko apne tamām maweshiyoṅ aur Mulk-e-Kanān meṅ hāsil kie hue māl samet apne sāth liyā. 7Wuh is wajah se chalā gayā ki donoṅ bhāiyoṅ ke pās itne rewaṛ the ki charāne kī jagah kam paṛ gaī. 8Chunāṅche Esau pahāṛī ilāqe Saīr meṅ ābād huā. Esau kā dūsrā nām Adom hai.
9Yih Esau yānī Saīr ke pahāṛī ilāqe meṅ ābād Adomiyoṅ kā nasabnāmā hai: 10Esau kī bīwī Adā kā ek beṭā Ilīfaz thā jabki us kī bīwī Bāsamat kā ek beṭā Raūel thā. 11Ilīfaz ke beṭe Temān, Omar, Safo, Jātām, Qanaz 12aur Amālīq the. Amālīq Ilīfaz kī haram Timnā kā beṭā thā. Yih sab Esau kī bīwī Adā kī aulād meṅ shāmil the. 13Raūel ke beṭe Nahat, Zārah, Sammā aur Mizzā the. Yih sab Esau kī bīwī Bāsamat kī aulād meṅ shāmil the. 14Esau kī bīwī Uhlībāmā jo Anā kī beṭī aur Sibaon kī nawāsī thī ke tīn beṭe Yaūs, Yālām aur Qorah the.
15Esau se muḳhtalif qabīloṅ ke sardār nikle. Us ke pahlauṭhe Ilīfaz se yih qabāylī sardār nikle: Temān, Omar, Safo, Qanaz, 16Qorah, Jātām aur Amālīq. Yih sab Esau kī bīwī Adā kī aulād the. 17Esau ke beṭe Raūel se yih qabāylī sardār nikle: Nahat, Zārah, Sammā aur Mizzā. Yih sab Esau kī bīwī Bāsamat kī aulād the. 18Esau kī bīwī Uhlībāmā yānī Anā kī beṭī se yih qabāylī sardār nikle: Yaūs, Yālām aur Qorah. 19Yih tamām sardār Esau kī aulād haiṅ.
Saīr kī Aulād
20Mulk-e-Adom ke kuchh bāshinde Horī ādmī Saīr kī aulād the. Un ke nām Lotān, Sobal, Sibaon, Anā, 21Dīson, Esar aur Dīsān the. Saīr ke yih beṭe Mulk-e-Adom meṅ Horī qabīloṅ ke sardār the.
22Lotān Horī aur Hemām kā bāp thā. (Timnā Lotān kī bahan thī.) 23Sobal ke beṭe Alwān, Mānahat, Aibāl, Safo aur Onām the. 24Sibaon ke beṭe Aiyāh aur Anā the. Isī Anā ko garm chashme mile jab wuh bayābān meṅ apne bāp ke gadhe charā rahā thā. 25Anā kā ek beṭā Dīson aur ek beṭī Uhlībāmā thī. 26Dīson ke chār beṭe Hamdān, Ishbān, Yitrān aur Kirān the. 27Esar ke tīn beṭe Bilhān, Zāwān aur Aqān the. 28Dīsān ke do beṭe Ūz aur Arān the.
29-30Yihī yānī Lotān, Sobal, Sibaon, Anā, Dīson, Esar aur Dīsān Saīr ke mulk meṅ Horī qabāyl ke sardār the.
Adom ke Bādshāh
31Is se pahle ki Isrāīliyoṅ kā koī bādshāh thā zail ke bādshāh yake bād dīgare Mulk-e-Adom meṅ hukūmat karte the:
32Bālā bin Bor jo Dinhābā Shahr kā thā Mulk-e-Adom kā pahlā bādshāh thā.
33Us kī maut par Yūbāb bin Zārah jo Busrā Shahr kā thā.
34Us kī maut par Hushām jo Temāniyoṅ ke mulk kā thā.
35Us kī maut par Hadad bin Bidad jis ne Mulk-e-Moāb meṅ Midiyāniyoṅ ko shikast dī. Wuh Awīt kā thā.
36Us kī maut par Samlā jo Masriqā kā thā.
37Us kī maut par Sāūl jo Dariyā-e-Furāt par Rahobot Shahr kā thā.
38Us kī maut par Bāl-hanān bin Akbor.
39Us kī maut par Hadad jo Fāū Shahr kā thā. (Bīwī kā nām Mahetabel bint Matrid bint Mezāhāb thā.)
40-43Esau se Adomī qabīloṅ ke yih sardār nikle: Timnā, Alwah, Yatet, Uhlībāmā, Ailā, Fīnon, Qanaz, Temān, Mibsār, Majdiyel aur Irām. Adom ke sardāroṅ kī yih fahrist un kī maurūsī zamīn kī ābādiyoṅ aur qabīloṅ ke mutābiq hī bayān kī gaī hai. Esau un kā bāp hai.
Currently Selected:
Paidāish 36: GVR
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
Copyright © 2019 Urdu Geo Version. CC-BY-NC-ND