Paidāish 35
35
Baitel meṅ Yāqūb par Allāh kī Barkat
1Allāh ne Yāqūb se kahā, “Uṭh, Baitel jā kar wahāṅ ābād ho. Wahīṅ Allāh ke lie jo tujh par zāhir huā jab tū apne bhāī Esau se bhāg rahā thā qurbāngāh banā.” 2Chunāṅche Yāqūb ne apne ghar wāloṅ aur bāqī sāre sāthiyoṅ se kahā, “Jo bhī ajnabī but āp ke pās haiṅ unheṅ phaiṅk deṅ. Apne āp ko pāk-sāf karke apne kapṛe badleṅ, 3kyoṅki hameṅ yih jagah chhoṛ kar Baitel jānā hai. Wahāṅ maiṅ us Ḳhudā ke lie qurbāngāh banāūṅgā jis ne musībat ke waqt merī duā sunī. Jahāṅ bhī maiṅ gayā wahāṅ wuh mere sāth rahā hai.” 4Yih sun kar unhoṅ ne Yāqūb ko tamām but de die jo un ke pās the aur tamām bāliyāṅ jo unhoṅ ne tāwīz ke taur par kānoṅ meṅ pahan rakhī thīṅ. Us ne sab kuchh Sikam ke qarīb balūt ke daraḳht ke nīche zamīn meṅ dabā diyā. 5Phir wuh rawānā hue. Irdgird ke shahroṅ par Allāh kī taraf se itnā shadīd ḳhauf chhā gayā ki unhoṅ ne Yāqūb aur us ke beṭoṅ kā tāqqub na kiyā.
6Chalte chalte Yāqūb apne logoṅ samet Lūz pahuṅch gayā jo Mulk-e-Kanān meṅ thā. Āj Lūz kā nām Baitel hai. 7Yāqūb ne wahāṅ qurbāngāh banā kar maqām kā nām Baitel yānī ‘Allāh kā Ghar’ rakhā. Kyoṅki wahāṅ Allāh ne apne āp ko us par zāhir kiyā thā jab wuh apne bhāī se farār ho rahā thā.
8Wahāṅ Ribqā kī dāyā Daborā mar gaī. Wuh Baitel ke junūb meṅ balūt ke daraḳht ke nīche dafn huī, is lie us kā nām Allon-bakūt yānī ‘Rone kā Balūt kā Daraḳht’ rakhā gayā.
9Allāh Yāqūb par ek dafā aur zāhir huā aur use barkat dī. Yih Masoputāmiyā se wāpas āne par dūsrī bār huā. 10Allāh ne us se kahā, “Ab se terā nām Yāqūb nahīṅ balki Isrāīl hogā.” Yoṅ us ne us kā nayā nām Isrāīl rakhā. 11Allāh ne yih bhī us se kahā, “Maiṅ Allāh Qādir-e-mutlaq hūṅ. Phal-phūl aur tādād meṅ baṛhtā jā. Ek qaum nahīṅ balki bahut-sī qaumeṅ tujh se nikleṅgī. Terī aulād meṅ bādshāh bhī shāmil hoṅge. 12Maiṅ tujhe wuhī mulk dūṅgā jo Ibrāhīm aur Is'hāq ko diyā hai. Aur tere bād use terī aulād ko dūṅgā.”
13Phir Allāh wahāṅ se āsmān par chalā gayā. 14Jahāṅ Allāh Yāqūb se hamkalām huā thā wahāṅ us ne patthar kā satūn khaṛā kiyā aur us par mai aur tel unḍel kar use maḳhsūs kiyā. 15Us ne jagah kā nām Baitel rakhā.
Rāḳhil kī Maut
16Phir Yāqūb apne ghar wāloṅ ke sāth Baitel ko chhoṛ kar Ifrātā kī taraf chal paṛā. Rāḳhil ummīd se thī, aur rāste meṅ bachche kī paidāish kā waqt ā gayā. Bachchā baṛī mushkil se paidā huā. 17Jab dard-e-zah urūj ko pahuṅch gayā to dāī ne us se kahā, “Mat ḍaro, kyoṅki ek aur beṭā hai.” 18Lekin wuh dam toṛne wālī thī, aur marte marte us ne us kā nām Bin-ūnī yānī ‘Merī Musībat kā Beṭā’ rakhā. Lekin us ke bāp ne us kā nām Binyamīn yānī ‘Dahne Hāth yā Ḳhushqismatī kā Beṭā’ rakhā. 19Rāḳhil faut huī, aur wuh Ifrātā ke rāste meṅ dafn huī. Ājkal Ifrātā ko Bait-laham kahā jātā hai. 20Yāqūb ne us kī qabr par patthar kā satūn khaṛā kiyā. Wuh āj tak Rāḳhil kī qabr kī nishāndihī kartā hai.
21Wahāṅ se Yāqūb ne apnā safr jārī rakhā aur Mijdal-idar kī parlī taraf apne ḳhaime lagāe. 22Jab wuh wahāṅ ṭhahre the to Rūbin Yāqūb kī haram Bilhāh se hambistar huā. Yāqūb ko mālūm ho gayā.
Yāqūb ke Beṭe
Yāqūb ke bārah beṭe the. 23Liyāh ke beṭe yih the: us kā sab se baṛā beṭā Rūbin, phir Shamāūn, Lāwī, Yahūdāh, Ishkār aur Zabūlūn. 24Rāḳhil ke do beṭe the, Yūsuf aur Binyamīn. 25Rāḳhil kī launḍī Bilhāh ke do beṭe the, Dān aur Naftālī. 26Liyāh kī launḍī Zilfā ke do beṭe the, Jad aur Āshar. Yāqūb ke yih beṭe Masoputāmiyā meṅ paidā hue.
Is'hāq kī Maut
27Phir Yāqūb apne bāp Is'hāq ke pās pahuṅch gayā jo Habrūn ke qarīb Mamre meṅ ajnabī kī haisiyat se rahtā thā. (Us waqt Habrūn kā nām Qiriyat-arbā thā.) Wahāṅ Is'hāq aur us se pahle Ibrāhīm rahā karte the. 28-29Is'hāq 180 sāl kā thā jab wuh umrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar apne bāpdādā se jā milā. Us ke beṭe Esau aur Yāqūb ne use dafn kiyā.
Currently Selected:
Paidāish 35: GVR
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
Copyright © 2019 Urdu Geo Version. CC-BY-NC-ND