YouVersion Logo
Search Icon

G̣azalu’l G̣azalát 6

6
1Terá mahbúb kaháṉ gayá?
Ai ‘auratoṉ meṉ sab se jamíla,
Terá mahbúb kis taraf ko niklá,
Ki ham tere sáth us kí talásh meṉ jáeṉ?
2Merá mahbúb apne bostán meṉ balsán kí kiyáriyoṉ kí taraf gayá hai,
Táki bág̣oṉ meṉ charáe, aur sosan jama‘ kare.
3Maiṉ apne mahbúb kí húṉ, aur merá mahbúb merá hai,
Wuh sosanoṉ meṉ charátá hai.
4Ai merí piyárí, tú Tirzah kí mánind ḳhúbsúrat hai,
Yarúshalem kí mánind ḳhushmanzar,
Aur ‘alamdár lashkar kí mánind muhíb hai.
5Apní áṉkheṉ merí taraf se pher le,
Kyúṉki wuh mujhe ghabrá detí haiṉ.
Tere bál bakriyoṉ ke galle kí mánind haiṉ,
Jo koh i Jili‘ád par baiṭhí hoṉ.
6Tere dáṉt bheṛoṉ ke galle kí mánind haiṉ,
Jin ko g̣usl diyá gayá ho;
Jin meṉ se har ek ne do bachche diye hoṉ,
Aur un meṉ ek bhí báṉjh na ho.
7Terí kampaṭiyáṉ tere niqáb ke níche
Anár ke ṭukṛoṉ kí mánind haiṉ.
8Sáṭh rániyáṉ aur assí harameṉ,
Aur beshumár kuṉwáriyáṉ bhí haiṉ.
9Par merí kabútarí, merí pákíza benazír hai;
Wuh apní máṉ kí iklautí;
Wuh apní wálida kí láḍlí hai.
Beṭiyoṉ ne use dekhá, aur use mubárak kahá;
Rániyoṉ aur haramoṉ ne dekhkar us kí sitáish kí.
10Yih kaun hai jis ká zuhúr subh kí mánind hai,
Jo husn meṉ máhtáb,
Aur núr meṉ áftáb,
Aur ‘alamdár lashkar kí mánind muhíb hai?
11Maiṉ chilg̣ozoṉ ke bág̣ meṉ gayá,
Ki wádí kí nabátát par nazar karúṉ,
Aur dekhúṉ ki ták meṉ g̣unche,
Aur anároṉ meṉ phúl nikle haiṉ, ki nahíṉ.
12Mujhe abhí ḳhabar bhí na thí, ki mere dil ne
Mujhe mere umará ke rathoṉ par chaṛhá diyá.
13Lauṭ á, lauṭ á, ai Shúlamít,
Lauṭ á, lauṭ á, ki ham tujh par nazar kareṉ.
Tum Shúlamít par kyúṉ nazar karoge,
Goyá wuh do lashkaroṉ ká nách hai?

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in