YouVersion Logo
Search Icon

G̣azalu’l G̣azalát 5

5
1Maiṉ apne bág̣ meṉ áyá húṉ, ai merí piyárí, merí zauja:
Maiṉ ne apná murr apne balsán samet jama‘ kar liyá:
Maiṉ ne apná shahd chhatte samet khá liyá;
Maiṉ ne apní mai dúdh samet pí lí hai.
Ai dosto, kháo, piyo:
Piyo, háṉ, ai ‘azízo, ḳhúb jí bharke piyo.
2Maiṉ sotí húṉ, par merá dil jágtá hai;
Mere mahbúb kí áwáz hai, jo khaṭkhaṭátá aur kahtá hai,
Mere liye darwáza khol, merí mahbúba, merí piyárí, merí kabútarí, merí pákíza;
Kyúṉki merá sir shabnam se tar hai,
Aur merí zulfeṉ rát kí búṉdoṉ se bharí haiṉ.
3Maiṉ to kapṛe utár chukí, ab phir kaise pahinúṉ?
Maiṉ to apne páṉw dho chukí; ab un ko kyúṉ mailá karúṉ?
4Mere mahbúb ne apná háth súráḳh se andar kiyá,
Aur mere dil o jigar meṉ us ke liye jumbish húí.
5Maiṉ apne mahbúb ke liye darwáza kholne ko uṭhí;
Aur mere háthoṉ se murr ṭapká,
Aur merí ungliyoṉ se raqíq murr ṭapká,
Aur qufl ke dastoṉ par paṛá.
6Maiṉ ne apne mahbúb ke liye darwáza kholá;
Lekin merá mahbúb muṛkar chalá gayá thá.
Jab wuh bolá to maiṉ behawás ho gayí:
Maiṉ ne use ḍhúṉḍhá, par na páyá;
Maiṉ ne use pukárá, par us ne mujhe kuchh jawáb na diyá.
7Pahrewále, jo shahr meṉ phirte haiṉ, mujhe mile,
Unhoṉ ne mujhe márá, aur gháyal kiyá;
Shahrpanáh ke maháfizoṉ ne merí chádar mujh se chhín lí.
8Ai Yarúshalem kí beṭiyo, maiṉ tum ko qasam detí húṉ, ki agar merá mahbúb tum ko mil jáe,
To us se kah dená, ki maiṉ ‘ishq kí bímár húṉ.
9Tere mahbúb ko kisí dúsre mahbúb par kyá fazílat hai?
Ai ‘auratoṉ meṉ sab se jamíla,
Tere mahbúb ko kisí dúsre mahbúb par kyá fauqíyat hai,
Jo tú ham ko is tarah qasam detí hai?
10Merá mahbúb surḳh o safed hai,
Wuh das hazár meṉ mumtáz hai.
11Us ká sir ḳhális soná hai,
Us kí zulfeṉ pechdarpech aur kauwe se kálí haiṉ.
12Us kí áṉkheṉ un kabútaroṉ kí mánind haiṉ,
Jo dúdh meṉ nahákar lab i daryá tamkanat se baiṭhe hoṉ.
13Us ke ruḳhsár phúloṉ ke chaman aur balsán kí ubhrí húí kiyáriyáṉ haiṉ;
Us he hoṉṭh sosan haiṉ, jin se raqíq murr ṭapaktá hai.
14Us ke háth zabarjad se murassa‘ sone ke halqe hain;
Us ká peṭ háthídáṉt ká kám hai, jis par nílam ke phúl bane hoṉ.
15Us kí ṭáṉgeṉ kundan ke páyoṉ par saṉg i marmar ke sutún haiṉ;
Wuh dekhne meṉ Lubnán, aur ḳhúbí meṉ rashk i saro hai.
16Us ká muṉh azbas shírín hai, háṉ, wuh sarápá ‘ishqangez hai.
Ai Yarúshalem kí beṭiyo,
Yih hai merá mahbúb, yih hai merá piyárá.

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in