Zabúr 7
7
Dáúd ká Shigáyún, jise us ne Binyamíní Kúsh kí bátoṉ ke sabab se Ḳhudáwand ke huzúr gáyá.
1Ai Ḳhudáwand, mere Ḳhudá, merá tawakkul tujh par hai:
Sab píchhá karnewáloṉ se mujhe bachá aur chhuṛá,
2Aisá na ho ki wuh sher i babar kí tarah merí ján ko pháṛe;
Wuh use ṭukṛe ṭukṛe kar de, aur koí chhuṛánewálá na ho.
3Ai Ḳhudáwand, mere Ḳhudá, agar maiṉ ne yih kiyá ho,
Agar mere háthoṉ se badí húí ho,
4Agar maiṉ ne apne mel rakhnewále se bhaláí ke badle buráí kí ho
(Balki maiṉ ne to use jo náhaqq merá muḳhálif thá bacháyá hai)
5To dushman merí ján ká píchhá karke use á pakṛe,
Balki wuh merí zindagí ko pámál karke miṭṭí meṉ
Aur merí ‘izzat ko ḳhák meṉ milá de. (Siláh.)
6Ai Ḳhudáwand, apne qahr meṉ uṭh;
Mere muḳhálifoṉ ke g̣azab ke muqábale meṉ tú khaṛá ho já,
Aur mere liye jág. Tú ne insáf ká hukm to de diyá hai.
7Tere chaugird qaumoṉ ká ijtimá‘ ho,
Aur tú un ke úpar ‘álam i bálá ko lauṭ já.
8 Ḳhudáwand qaumoṉ ká insáf kartá hai:
Ai Ḳhudáwand, us sadáqat o rástí ke mutábiq jo mujh meṉ hai merí ‘adálat kar.
9Kásh ki sharíroṉ kí badí ká ḳhátima ho jáe, par sádiq ko tú qiyám baḳhsh,
Kyúṉki Ḳhudá e sádiq diloṉ aur gurdoṉ ko jáṉchtá hai.
10Merí sipar Ḳhudá ke háth meṉ hai,
Jo rástdiloṉ ko bachátá hai.
11Ḳhudá sádiq munsif hai,
Balki aisá Ḳhudá jo har roz qahr kartá hai;
12Agar ádmí báz na áe to wuh apní talwár tez karegá:
Us ne apní kamán par chillá chaṛhákar use taiyár kar liyá hai.
13Us ne us ke liye maut ke hathyár bhí taiyár kiye haiṉ:
Wuh apne tíroṉ ko átishí banátá hai.
14Dekho, use badí ká dard i zih lagá hai;
Balki wuh sharárat se bárdár huá, aur us se jhúṭh paidá húá.
15Us ne gaṛhá khodkar use gahrá kiyá,
Aur us kháí meṉ jo us ne banáí thí ḳhud girá.
16Us kí sharárat ulṭí usí ke sir par áegí;
Us ká zulm usí kí khopṛí par názil hogá.
17 Ḳhudáwand kí sadáqat ke mutábiq maiṉ us ká shukr karúṉgá,
Aur Ḳhudáwand Ta‘álá ke nám kí ta‘ríf karúṉgá.
Currently Selected:
Zabúr 7: URDR55
Highlight
Share
Copy

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)